Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Sarhad par kal raat.....

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola,
dekha Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maanoos the saareyChehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye, Haath dhulayeAangan mein aasan lagwaaye...
Aur tandoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye
Potli mein mehmaan merePichhale saalon ki faslon ka gud laaye the
Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tandoor abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka jaayka ab tak chipak raha tha
Khwab tha shayad!Khwab hi hoga! !
Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli
Sarhad par kal raat, suna hai Kuchh khwaabon ka khoon hua ha


(~Gulzar~)

Such beautiful words...simple yet touching. Every word leaves a mark. Every word tells a story of life. Every word hits deep down


This post first appeared on Coffee2a.m., please read the originial post: here

Share the post

Sarhad par kal raat.....

×

Subscribe to Coffee2a.m.

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×