Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Requirement Of Adsense Account

Adsense Account per apply kerne se phele kya cheeze zaruri hai?

sab se phele hum tazkara karay gay un zaruri cheezo ka jin ka Adsense k liye hone behad zaruri hai
1.Ek adad professional design website ya blog.
2.English me tehreer karda mawaad.
3.Ap ki website google search index me shamil ho. 
Yad rahe k urdu zaban me mojood website ko google advertising k liye abi tak manzur nhi karta.Ager ap ko website banani nhi ati,tab b ap google se kama sakte hai.Internet per hazaro log "blog" k zariye kama rahe hai.kafi website hai jo ap ko free me blog banane ki saholat deti hai.jin me google ki hi ek site www.blogger.com ya www.blogspot.com boht famous hai.is k elawa www.wordpress.com b kafi famous hai.ap in me intehayi asani se web blog bana sakte hai.Blog ko banane k tarike kaar ap ko internet se aram se mil jaye ga wagerna google per search kar le ap ko mukammal tarika kaar mil jaye ga.
Dusri ahem bat ye k ap ki website per mojood mawaad english zuban me mojood ho.kyu k ap k pas is waqt google adsense ka account mojood nhi hai.is waja se ap ko ek adad aisi website ya blog banana parhe ga jo k mukammal english zuban me mojood ho.google adsense k account me apply karne k bad takriban 1 hafte k ander ap ko account mil jaye ga.lekin ager blogspot.com k zariye blog bana ker apply kiya jaye to phir adsense account ap ko jald hi mil jaye ga.yad rahe k blog ki surat me ap k blog me kam se kam 20 25 post mojood ho or ap ka blog 90 din purana ho.
Ager ap ki english improve nhi hai ya ap ko bilkul b english nhi ati,tab b ghabrane ki koi bat nhi.internet per hazaro aisi website mojood hai jo k ap ko her mozu per hazaro article ki behtreen tehreer muft me muhayya karti hai.jo k ap apni website per laga sakte hai in me se chand yaha pesh ki jati hai.

1.www.myarticlezine.com
2.www.keywordaccess.com
3.www.1888articles.com

mazeed k bare  me ap google per search kar k maloom kar sakte hai.
teesre number per ahem or zaruri bat ye hai k ap ki website ya blog google search index me mojood ho,yani k ager koi google per search kare to ap ki site b google search result me dikhai de.ager ap ne kisi free web hosting k zariye site banai hai,or sub domain per mushtamil website hai  to phir imkaan hai k ap ki site google search index me shamil na ho.blog ko google khud ba khud search index me shamil kar leta hai or .com .net or diger top level domain name ko b google khud ba khud index me shamil kar leta hai.ager ap ki site kisi free hosting server per banai gai hai to phir ap ko apne tor se apni site ko google per shamil karana hoga.is ka behtreen tarika kaar ye hai k ap kisi aisi website per apna link de jo google per phele hi shamil ho takriban 1 hafte k ander ap ki site b google search index me shamil ho jaye gi.is ka behreen tarika kaar yehi hoga k ap internet per mojood forum sites per apni site ka introduction ya phir link hi de de.is tarha ap ki site jald hi google k index me shamil ho jaye gi.
Google adsense ka account lene k liye behter hoga k ap www.blogspot.com ya www.wordpress.com per blog banaye kyu k is tarha ap ko page design nhi karna paray gay kyu k google ki team akser site ko is waja se na manzoor kar dete hai kyu k un k design professional ya phir google adsense friendly nhi hote.
Dusri ahem baat ye hai k ek dafa adsense account milne k bad ap apni hazaro sites per b google ki advertising kar sakte hai jin me urdu sites b shamil hai.


This post first appeared on ADSENSE AND SEO TRAINING IN URDU, please read the originial post: here

Share the post

Requirement Of Adsense Account

×

Subscribe to Adsense And Seo Training In Urdu

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×