Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Nayi Sawari ( Part 2)

Ji, aa gye hum, aap kaise hai? hum to thik hai. to jaise ki humne aapse kha tha pichle blog mai ki hum aapko Sunayenge apne safar mili kuch sawariyo ki chat pati bate. To cahliye shuru karte hai.

Ek din mujhe college se Ghar lautne mai der ho gyi, ji ha wo bat aisi hai ki, gahr ke bahar ke jitne kam hote hai wo aksar mujhe hi karne hote hai, aur unko pura karte huye ghar lautne mai hume aksar der ho jaya karti hai. 

Sham ka waqt tha traffic jyda hone ke wajh se bahot aaram se drive karte huye apne ghar ke raste par the ke achank se humari nazar  ek buddhi dadi maa par padi, jo ki 68 age ke lagbhag hogi,  wo bade tez kadmo se aage baddh Rahi Thi. Ab aap itna andaza to laga hi sakte hai ke iss umar mai koi kitna hi tez chal payega. 

Apni social work karne ki aadat se majbur hum khud ko rok nhi paye aur Humne apni scooty unke pass ja ke roki aur duptta chehre se hataya aur pucha dadi aapko khi chaurd du. Wo mujhe ajnabi ki tarah paa kar mujhse kha maine aapko nhi pehchana, mai aapko nhi janti. Maine bhi thoda haste andaz mai kha mai bhi aapko nhi janti, bs aapko aise jate dekha to socha help kar du. Wo boli beta aise kabhi kisi ne pucha nhi n to thoda sehm gyi thi. Maine kha koi bat nhi aap aaiye mai aapko ghar tak chaurd deti hu. 

Wo scooty par baithte huye boli ke mujhe dar lagta hai gadiyo par baithne mai, Maine unhe aashwashan dete huye kaha aap aaram se baith jaiye mai dhire hi chalaungi. 

Wo baithi aur phir maine scooty start ki aur hum aage badh gye. Unhone ek hath se scooty ko aur ek hath mai apne jhole ko sahej ke pakd rakha tha. Kehne lagi dusro ke ghar mai kam karne jati hu, jhadu, pocha, bartan karne. 

Maine kha itni umar m retirement hoti hai aap ghar par rahiye aaram kijiye, kyu taklif dena khud ko. Wo boli beta khud ke kamaye chaar paise jo aap puri zindagi jod ke rakhte hai n wahi aapki ijjat hai, jeb khali jha hui wahi sb sb kuch bhool jate hai beta. Jabtak zindgi mai hath pair chal rahe hai tab tak kam karna chahiye, chahe aapke pass lakh rupye ya aalishan ghar aur aisho aaram ki zindagi hi kyu  n ho. 

Kam karte rehne se sharir ko aaram bhi milta hai aur dimag bhi faltu bato se bacha rehta hai, kisi ke upar aap bojh banne se acha hai thoda kam kar ke chaar paise jod lu, aakhir apno ke hi kam aayega aur ghar ke ek kone mai pada koi kimti saman hi kyu n ho wo rakhe -rakhe khrab hi ho jata hai isliye kam karte rehna chahiye aur waise bhi beta aaj ki duniya mai log apna bojh khud utha le wahi badi bat hai. 

Mai bs unhe sun rahi thi, maine unse n hi deep m ja ke pucha n unhe apni ray de ke toka mai bs unke bato ke piche bhav ko padhne ki kosis kar rahi thi. wo boli 4 gharo mai kam karne, subh hi nikal jati hu aaj ek ghar m jara der ho gyi, abhi dadaji ki jyda umar ho gyi hai na to Raah Dekhe Baithe hoge, unse jyda chala phira nhi jata. Acha hua tu mil gyi warna aur der ho jati to dadaji pareshaan ho jate. 

 Padhai karti hai beta, aisa unhone pucha, Maine kha ha. Wo boli padh lena beta khub ache se lekin jha bhi jana nahi apne maa baap ko bhulna aur nahi apne saas sasur ko, kyoki tere pass jo hai aur jo hoga inhi se milega. Meri aakh bhar gyi unki bato se, kya karu thodi emotional jyda hu. Tabhi unhone kandhe pe hath rakh ke kha bs bs beta yhi rok de mera ghar bs iss gali ke piche h mai chal ke chali jaungi. Unhone mere sir par hath rakh ke kha khub tarakki kar beta, jati hu tere dadaji raah dekhe baithe hoge. 

Wo dadiji ne kam waqt mai, kam sabdo mai puri zindagi bhar ka gyan mujhe de diya.Unki bate kis aur ishara kar rahi thi ye mai to smjh gyi, par kya aapne bhi wo mehsoos kiya jo maine kiya... Apne vichar comment kar ke jarur batana. Milte hai agle blog mai, phir ek nayi sawari ke sath. Tab tak apna aur apno ka khyal rakhiye. 



This post first appeared on Feeding Trends, please read the originial post: here

Share the post

Nayi Sawari ( Part 2)

×

Subscribe to Feeding Trends

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×