Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blogspot Blog Me Https Enable Kaise Kare | Security Tips

Blogspot Blog Ki Security Badhane Ke Liye Https Enable Kaise Kare Hello Friends hamari website Teach Bhawani Singh me aapka welcome hai. Blogger ke blog ko secure karna bahut jaruri hai kyon ki hack hone ke chances bahut jyada hai.



Jaise ki aap sab yah to jante hi honge ki blogger platform google ka hai aur yah hamen free me website create karne ki service provide karvata hai. Isliye iski security badhane ke liye google ne ek feature diya hai jise https kahte hai. 

Https ko aapne bahut bar dekha hoga lekin kabhi bhi us par gaur nahi kiya hoga. Google kabhi nahi chahta ki uski service ko koi aasani se hack kar le isliye aap iski help se apne blog ko secure rakh sakte hain. Chaliye friends ham sab jan lete hain ki "Apne Blogspot Blog Ki Security Badhane Ke Liye Https Kaise Enable Kare" Lekin pahle ham Http kya hai iske bare me thodi bahut information le lete hain.




What Is HTTP And HTTPS ?


HTTP ka full from name "Hyper Text Transfer protocol" Yah worldwide web me data communication ka aadhar hai. Yah web browser ke liye standard facilities ko provide karta hai. Jo users ko Internet par jo bhi information chahiye hoti hai usko exchange karne ki facilities provide karvata hain. 

HTTPS ka full from name "Hypertext Transfer Protocol Secure" Yah vo protocol hai jahan Encrypted Https data ko secure connection par transferred kiya jata hai. Yah website ke data connection ko secure rakhta hai aur sites ki privacy ko bhi maintained karta hai. 

Iska name se hi aap achchhee tarah se samajh gaye honge ki yah kya hai aur aap jab bhi kisi bhi website ko open karte hain to in dono me se ek ko aapne dekha hi hoga.


Apne Blogger Ke Blog Ki Security Badhane Ke Liye HTTPS Kaise Enable Kare? 


Blog ki ham jitanee jyada security karenge utna hamare liye sahi rahega. Kyo ki ise create karne me hame bahut time lagta hai aur is par ham jo bhi post upload karte hain agar vo achanak delete ho jaye to hame kaisa lagega.

Ham achchhee tarah se samjha saktana hain. Isliye iski security badhane ke liye https active kis tarah se karte hain uske bare me ham jo bhi steps batate hai use aapko follow karna hai.


Step 1


First aapko blogger.com website par jakar apne blogger account ko login karke dashboard open kar lena hai.


Step 2


Dashboard par aane ke bad aapko Settings par click karna hoga.


Step 3


Settings par click karne ke bad Basic par already click hoga.


Yahan HTTPS availability likha hai uske samne No hoga aapko us par click karke Yes select kar lena hai. 

Agar aap free blogspot ke domain ko use kar rahe ya custom domain use aap is option ko enable karke aap apne blog ko visit karenge to Https ke sath hi blog open hoga. 

Future me aap ise disable karna chahte hain to https availability ko Yes ki jagah No ko select kar lena hai.

Blog Website Hack Hone Se Kaise Bachaye
Google AdSense Account Disabled Or Hack Hone Se Kaise Bachaye



Conclusion


Friends ummid karte hain ki aapko yah article Apne Blogspot Blog Ki Security Badhane Ke Liye Https Kaise Enable Kare pasand aayega. Jisme hamne aapko blog ki security incarege karne ke liye yah tips batai hai. Agar aapka isse relative jo bhi saval hai vo aap comment box me puchh sakte hain.


Tags

https enable 
https security enable kaise kare 
https enable kaise kare 
blogger blog me Https Kaise Enable kare
how to enable https on blogger
blogspot blog me https kaise enable kare
how to activate https in blogger
teach bhawani singh 
blogspot security tips 



This post first appeared on Teach Bhawani Singh - Latest Tips, please read the originial post: here

Share the post

Blogspot Blog Me Https Enable Kaise Kare | Security Tips

×

Subscribe to Teach Bhawani Singh - Latest Tips

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×