Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Google AdSense Account Disabled Or Hack Hone Se Kaise Bachaye

Adsense Account Disabled Hone Se Kaise Bachaye Friends aap ke pas blog ya website aur youtube channel hai to Google AdSense ka approvel bhi hoga. Lekin aapne kabhi yah socha hai ki google adsense hi hack ya disable ho jaye to kya hoga? Aapne jitni bhi mehnat ki hogi vo sari bekar chali jayegi. Isliye hame uski safety banaye rakhna bahut jaruri hai.



Aapko to pata hi hoga ki is technology ke time me hackers badhte hi ja rahe hai aur logon ko pata bhi nahi chalta kab unka adsense account hack ho jata hai. Adsense ka approvel lena kitna hard hai yah to aap jante hi he aur jab hame iska approval mil jata hai tab hamen kitni khushi hoti hai jiska koi thikana nahi rahata. Agar vahi na rahe to ham earning nahi kar payenge.

Adsense hack disable kyon hota hai aur kin reasons se hota hai. In sab point ke bare me ham is article me bat karne vale hai.




Google Adsense Account Disabled Hone Se Kaise Bachaye


Hamare pas adsense account hai to uski safety karna bahut jaruri hai. Aap new user hai aur aapko pata nahi hai ki adsense suspend kyo hota hai. Adsense disabled hone ka reason ham svayam hai. Kyoki ham log sirf earning par hi focus rakhte hai. 

Adsense account ko disabled and hack hone se bachane ke liye hamne niche jo bhi tips bataye hai unhe aapko follow karna hai. Agar aap is par dhyan nahi denge to google adsense account ko safe nahi rakh payenge.

Adsense Account Approve Kaise Karaye
Google AdSense Account Me Ads.txt Error Ko Fix Kaise Kare 


Strong Password


Aapne jis bhi Gmail id se apna adsense account create kiya hai us gmail ya email id ke password ko bahut strong rakhna hai. Bahut si achhi high security vali website google par hai jo hame strong password provide karti hai. Aap chahe to uski help le sakte hai. Jab aap aapni gmail id par password rakhte hai vo kabhi normal password nahi hona chahiye balki 16 words ka strong password rakhna chahiye.

Ham strong password ko rakhte hai to hackers aasani se hamare gmail ya email ko hack nahi kar payega. Ab aap samajh gaye honge ki password kitna important hota hai.


Google Account 2 Step Verification


Google 2 step verification ka matlab hai ki aapne jo bhi gmail id google adsense account me use ki hai. Use google me login karke two step verification ko enable kar dena hai. Isse aapko yah fayda hoga ki jab bhi koi insan aapki permission ke bina aapke gmail account ko open karne ki koshish karta hai to aapke gmail par ek security mail milega jisse aap alret ho jayenge.

Aap turant hi samajh jayenge ki aapke account ko koi hack karne ki koshish kar raha hai. Google 2 step verification ko enable kaise karna hai uske liye hamne ek article likha hua hai aapko use padhna hai. 

Google Gmail Account Me 2 Step Verification Enable Kaise Kare


AdSense Policy 


Adsense ki kya policy hai use aapne abhi tak read nahi kiya hai to read kar lena bahut jaruri hai. Kyoki vahan par sab kuchh likha hua hai ki aapka adsense account disabled kyo hota hai. 

Jo new publishers hote hain vahi log adsense ki policy ko nahi read karte hai. Agar aap ise ignore karte hain to aapka hi nuksan hoga. Isliye sabse pahle Adsense Policy ko read karna bahut jaruri hai. 


Invalid Activity


Invalid activity yah hai ki aapne jahan par bhi google adsense ki ads lagai hui hai jaise ki Blog Website ya fir YouTube channel. Vahan par jo ads show ho rahi hai us par click bahut jyada aa rahe hai to Google adsense ko pata chal jata hai ki yahan par kuchh invalid activity ho rahi hai.

Aapko jab bhi lage ki mere account me click bahut jyada aa rahe hai aur aap us par dhyan bhi nahi dete hain to aapka adsense account 100 presents suspend ho jayega. Isliye jab bhi invalid click ho to kuchh dinon ke liye adsense ki ads ko band kar dena hai. Fir apne aap hi sari problem solve ho jayegi.


Self Click


Jo log new hote hai vo log jyada earning karne ke liye apni ads par khud hi click karte hain ya apne friends se karvate hai. Kuchh din achhi earning hogi lekin bad me adsense team se email milta hai ki aapka aapka account suspend ho gaya hai.

Isliye me aapko yahi recommend karta hun ki self click nahi karna hai, apni ads ko khud ke PC ya mobile me nahi dekhna hai aur kisi ko bhi ads par click karne ke liye bolna nahi hain.


AdSense Page CTR


Adsense CTR ka full from yah hai Click Though rate. Iska means saral bhash me samjhe toh hamari ads par jo click hota hai us anusar CTR generat hota hai. Jaise ki hamare pas ek website hai us par adsense ki ads show hoti hai. Website ki traffic ke hisab se hame 100 impressions mile hai aur us par 15 click huye hai. To hamare account me Page CTR 15% ho jayega. Yah lagatar 4 ya 5 din tak rahta hai to hamare liye khatra sabit ho sakta hai.

WordPress me website hai to usme bahut se aise plugins hote hai jisko activete karke jo bhi visiters 2 ya usse jyada click karta hai to use ads dikhai nahi degi. Lekin Blogger me aisa kuchh bhi nahi hai. Isliye jab bhi 10% se jyada CTR incarege ho raha hai to turant ads ko band kar dena hai. Agar YouTube Channel me CTR ki problem aa rahi hai to usme bhi ads ko deactivate kar dena hai.


Copyright Content 


Hamne website to create kar li lekin us par ham jo articles publish karte hain vo copyright hai to kya hoga. Adsense ki policy ke anusar hamari site par copyright content hai to hame kabhi bhi adsense ka approvel nahi mil sakta. Agar mil bhi jata hai to jaldi hi disabled ho jayega.

Ham jo articles lukhte hai use aapko check karna hai ki is article par kitna copyright content hai to use aap Smal SEO tools ki help se kar sakte hain. Kyo ki aap check karenge to aapka account kabhi suspend nahi hoga. 


VPN


Vpn means virtual private network. Yah alag alag location ko provide karti hai. Jaise ki hamne koi bhi vpn apne phone me open kiya hai aur usme United States ki location select ki hai to vpn hamari location ko united states me dikhayega. Jo Log jyada earning karne ki lalach me ya kisi ke kahne par vah log vpn ka use karke apni ads par khud hi click karte hain ya fir dusro se karvate hai.

Yah karne se earning to achhi hogi lekin jyada din nahi reh payegi. Kyoki adsense team ko pata chal jata hai ki yahan par vpn ka use ho raha hai. Kuchh dono bad adsense suspense ka message mil jata hai. Isliye aapko adsense account ko safe rakhne ke liye kabhi bhi vpn ka upyog nahi karna hai. 


Auto Ads


Adsense team ne September 2019 me auto ads ka update diya tha. Yah isliye kiya gaya hai kyon ki bahut se users invalid activity karke logon ke account ko suspend karva dete the. Agar aap apni website par auto ads ko enable karte hain to aapko hi fayda hai. 

Jab bhi aapke account me click jyada aa rahe hai aur CTR badhta ja raha hai to aapne auto ads ko apne site par lagai hai use remove kar dena hai. Aapka jyada time bhi nahi west hoga aur account me bhi koi problem nahi aayegi.


Paid Traffic 


Aap jayad traffic ki lalch me jo website paid traffic provide karvati hai. Us par chale jate hai. Yahan se aapko traffic to milega lekin vo invalid traffic kahlata hai. Kyoki google kabhi bhi paid traffic ko accept nahi karta.

Ho sake to kabhi is tarah ki galti na kare varna aapka adsense account disabled ho jayega. Fir aap kuchh bhi nahi kar payenge.


Do Not Login Your Account In Another Phone Or PC. 


Gmail id ko dusro ke phone ya pc me login nahi karna hai. Jaise ki aap kahin par bhi jate hai aur apne PC ya Phone ko ghar par rakhkar aaye hai. Aap chahte hai ki muje mere adsense account me kitni earning hui hai use dekhna hai. Ab aap apne kisi bhi friend ke phone ya laptop me apni gmail id ko login karte hain to aapka sara data aaoke friend ke pas chala jata hai. 

Agar aap sara data remove kar dete hain to koi problem nahi hai. Kuchh log is tarah ki galti karte hain ki apni id ko to logout kar dete hain lekin data ko remove karna bhul jate hain ya fir use ignore kar dete hai. Aapko yah galti bilkul nahi karni hain. 

Disabled Adsense Account Delete Kaise Kare 
YouTube Channel Hack Hone Se Kaise Bachaye 



Conclusion


Friends ummid karta hun ki aapko Google AdSense Account Disabled Or Hack Hone Se Kaise Bachaye yah article jarur pasand aayega. Aap yahan se achhi earning aur apne blog ki value increase karna chahte hai to adsense ki policy ka aapko palan karna hoga. Is article se related aapka koi bhi question hai to comment box me puchh sakte hain. Agar yah information helpful hai to ise social media jaise ki whatsapp par jarur share karen. 


Tags

adsense account disabled 
google adsense safety tips in hindi 
google adsense account disabled 
safe adsense kaise rakhe 
adsense security tips 
google adsense hack hone se kaise bachaye 
suspend google adsense account 
adsense disable hone se kaise bachaye 
adsense account disabled kyo hota hai 
teach bhawani singh 
adsense account disabled hone se kaise bachaye 
google adsense invalid activity se kaise bachaye 



This post first appeared on Teach Bhawani Singh - Latest Tips, please read the originial post: here

Share the post

Google AdSense Account Disabled Or Hack Hone Se Kaise Bachaye

×

Subscribe to Teach Bhawani Singh - Latest Tips

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×