Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

YouTube Channel Kaise Banaye? Step By Step 2020

YouTube Channel Kaise Banaye - Present time me Youtube bahut popular hota ja raha hai. Isliye yahan par logon ki sankhya badh rahi hai. Youtube ek social networking site and app hai. Jiske bare me shayad hi koi aisa insaan hoga jo nahi janata hoga.

Entertainment aur time pas karne ke liye pure world ke log apne man ke anusar alag alag platform ka use karte hai, jisme se ek platform YouTube bhi hai. Is par bahut si language ke videos dikhai jati hai.



Jyadatar log youtube ka use Movies, Songs, Cartoon and funny videos etc.. dekhne ke liye karte hain. Kyon ki yahan almost word ki sari videos dekhne ko milti hai.

Maybe Aapko pata nahi hoga ki youtube channel baakar aap yahan se hajaron nahi lakhon money ki online earning kar sakte hain. Internet bahut hi kam paise me hame good online work karne ki service provid karvata hai. 

Jab bhi ham youtube ko open karte hain to hamen vahan par bahut si Categories ke videos show hote hai. Yah sab kon karta hai aapke mind me saval aaya hoga. Youtube par videos upload aapke aur hamare jaise log hi karte hai. Agar aapko bhi video upload karna hai to aapke pas ek youtube channel hona chahiye. Isliye ham aapko is article me youtube par account kaise banaye uske bare me bata rahe hai.

Youtube Kya Hai
YouTube Se Paise Kaise Kamaye




YouTube Channel Kaise Banaye?


Youtube channel create karna jitna aap soch rahe hain utna hard nahi hai bahut hi easy hai. Sabse pahle aapke pas apna ek google account hona jaruri hai kyonki iske bina youtube par account nahi ban sakta. Google account means gmail ya email id.

Youtube ne 2020 me bahut new update diye hai aur usme isne new channel create karne par bhi ek update launch kiya hai. Ham aapko 2 tariko se youtube par account create karke batayenge. 


Mobile Phone Se YouTube Channel Kaise Banaye? 


Mobile se aap bahut hi aasani se channel ko create kar sakte hain. Aapko kuchh bhi nahi karna hai sirf simple steps ko follow karna hai. 


Step 1


Agar aap apne mobile me youtube channel create karna chahte hain to aapke mobile phone me youtube app already install hogi.

Nahi hai to play store ko open karna hoga. Uske bad vahan par search box me YouTube likhkar search karna hai. Ab app download kar leni hai.


Step 2


Jaise hi aap youtube app ko open karte hai to first aapko apne Google Account ko login kar lena hai. Agar pahle se hi Log in kar diya hai to upar jo Icon dikhai dega us par click kar dena hai.

Click karte hi aapko Your channel likha hua dikhai dega us par click kar dena hai.

Ab aapke samne ek bada box open hoga usme aapko first name and last name me apni Channel Name likhna hai. Yah sab karne ke bad CREATE CHANNEL likha hua dikhai dega us par click kar dena hai.


Is tarah se aap bahut kam time me apne mobile phone me youtube channel bana lenge. Channel ko customize kis tarah se karte hain us par ham new article me batane vale hai. 


PC Or Laptop Me YouTube Channel Create Kaise Kare? 


Hamne upar mobile phone se channel create karke bataya hai. Agar is tarah se aapko sahi nahi lagta hai to jis tarah se pc or laptop me youtube account create karte hain thik usi tarah aap bhi apne phone me channel bana sakte hai.


Step 1


First aapko koi bhi Browser ko open kar lena hai. Jaise ki chrome browser usme aapko youtube.com likhkar search karna hai.

Laptop ya PC me kar rahe hai to koi problem nahi hai lekin phone se kar rahe hai to 3 dot lines par click karke Desktop site ka ek option hoga us tick kar dena hai.

Aapne google account log in nahi kiya hai to log in kar dena hai. Uske bad aapko right side me Logo Icon dikhai dega us par click kar dena hai.



Step 2


Logo par click karte hi aapko jo options dikhai denge unmen se Create a channel likha hoga us par click kar dena hai.

Uske bad aapke samne ek box dikhai dega. Vahan par GET STARTED likha hoga us par click kar dena hai. Jab tak aap is par click nahi karenge tab tak aage ki process open nahi hogi.



Step 3


Youtube ki taraf se new update aaya hai isliye pahle direct channel ka name aata tha. Lekin ab niche jo image hai us tarah dikhai dega. Aapko paresan hone ki koi jarurat nahi hai kyon ki ham aapko inke bare me achhi tarah se samjayange.


1) Use Your name - Is ke niche Select likha hai us par aap click karte hain to aapke google account me jo name hoga usi name se aapki channel create ho jayegi.

Agar aap is option ko Select karte hai to aapko name likhne ki jarurat nahi padegi apne aap hi aapki youtube channel ban jayegi.

Jab aap channel create kar lete hain uske bad jo new page open hoga usme aapko apni Channel ka description and Social link add karna hai to kar sakte hain aur Save and Continue par click kar dena hai.

Ya fir aap chahe to yah information bad me bhi add kar sakte hain. Uske liye aapko Set up later par click kar dena hai.

2) Use a custom name - Is ke niche Select likha hai us par aap click karte hain to aap apni marji ke anusar jo bhi name apni channel ka rakhna chahte hai vo rakh sakte hain.

Agar aap is option ko Select karte hai to aapko vahan channel ka name likhna hai aur uske niche chota box dikhai dega us par tick kar dena hai. Uske bad Create par click kar dena hai. Aapka youtube channel ban jayega.

Is tarah se aap apne laptop me bhi youtube channel create karke ghar baithe achhi videos banakar upload kar sakte hain. 

YouTube Channel Monetization New Rules In 2020 
Subscriber Ko Hide Kaise Kare 
Youtube Channel Hack Hone Se Kaise Bachaye 


Things to keep in mind after creating a YouTube channel


Jab aap log ek professional youtube channel bana lete hain lekin youtube ki kya policy hai us bare me bhi hame knowledge honi bahut jaruri hai. Nahi to kabhi bhi youtube hamari channel ko delete kar sakta hain. 

Ek bat ka khas dhyan de ki kabhi bhi kisi dusre ka video apni channel par upload nahi karna hai. Kyoki yah karne se aapki channel par Copyright Strike aa sakta hai.

Aap ko kisi bhi Adult category vala content videos post nahi karni hai.

Aapne jo bhi videos banai hai vo kisi dusre log ya dharm ke khilaf nahi honi chahiye varana aapko bahut badi problem ko face karna pad sakta hai.

Videos upload karne se pahle aapko youtube community guidelines ko ek bar jarur read kar lena hai.

YouTube Video SEO Kaise Kare
Youtube Channel Par Subscribers Kaise Badhaye



Conclusion


Friends hamne aapko mobile phone and pc or laptop me youtube account create karke bataya hai aur is article me YouTube Channel Kaise Banaye us bare me aapne puri jankari stop by step prapt ki hai. Ummid karte hai ki aapko yah article helpful lagega. Agar aap hamari help karna chahte hain to ise social media jaise ki whatsapp par jarur share karen. 


Tags

youtube channel 
create youtube channel 
youtube channel kaise banaye 
how to create youtube channel 
mobile se youtube channel kaise banaye
how to make youtube channel 
youtube channel kaise khole



This post first appeared on Teach Bhawani Singh - Latest Tips, please read the originial post: here

Share the post

YouTube Channel Kaise Banaye? Step By Step 2020

×

Subscribe to Teach Bhawani Singh - Latest Tips

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×