Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Facebook page kaise banaye | फेसबुक पेज कैसे बनाये

Agar aap koi bhi business kartey he , ya karna chahte he to use promote karne ka sabse aasan aur free tarika Facebook he. Facebook ki madad se aap Apne business ko free me promote kar sakte he.
agar aap ek blogger he to aapke liye bhi Facebook page apne blog ko promote karne ka ek easy way he.



Facebook page kaise banaye :-


Step 1.  :-   sabse pahle apne fb account par log in kare.

Step 2.  :-  ab uper ki taraf ek ero ♂ ka nishan hoga uspar click kare aur new page par click kare.

Step 3.   Ab aapke samne ek new page khulega jisme aapko kis brand ka page banana he uske chune.

Step 4.  :-   ab ek aur page open hoga jisme apne page ka tittle likhe aur Get started pe click kare.

Step 5.  Ab apne page ki details bhare .

About page - yaha apne page ke bare me likhe.
Website - apni website bhare.

Ab save info pe click kare .

Step 6.  :-  ab apna photo upload kare aur save photo pe click kare.

Step 7.  :-  Save photo pe click karne ke baad ek new page open hoga jisme likha hoga Add to favourite aur skip.
Agar aap page ko favourite me jodna chahte he to uspar click kare nahi to skip kar de.

Step 8. :-  ab ek new page khulega jisme aap apni location, Age, Gender, interest, language ye bhare. Aur save par click kare.

Step 9. :-   Ab hamara Facebook page ban chuka he ab aap apne hisaab se ise run kar sakte he . Aur settings me jakar apne hisaab se apni settings save kar sakte he.


Agar aapko Facebook page banane me kahi bhi koi pareshani ho to comment kar jarur puche.

**  Also read -  Ghar baithe paise kamane ke 10 aasan tarike


This post first appeared on Hindifire - Blogging, SEO, please read the originial post: here

Share the post

Facebook page kaise banaye | फेसबुक पेज कैसे बनाये

×

Subscribe to Hindifire - Blogging, Seo

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×