Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blog ke template ko change ya upload kaise kare

Friends ab aapne apan ek blog bana liya he ab aapko apne blog ka design karna he iske liye sabse achha tarika he ek achhi Template, ek badhiya si Theme chune jisse visitor ko aapki site dekhne aur padhne me aasani ho .

Ye bhi padhe :-
1. Blog banane ke baad AdSense ke liye applay kab kare

2. Seo kya hai, SEO se traffic kaise increase kare

Blog me template kyo use kare -

Jab bhi aap blog banate he, blogger ki aur se kai saare basics template mojud hote he aur ham unhe aasani se laga bhi sakte he. Jinhe aap template section me jakar badal bhi sakte he . Fir ham dusre theme kyo use kare ?

Agar aapko Blogging me saflta pani he aur blogging ko apna carrier banana he to aapko ek achhi theme use karni hogi kyoki agar koi bhi visitor aapki site par aayega aur usko aapki site theme achhi nahi lagi to wo wapas nahi aayega isliye hame ek attractive theme lagani chahiye taki blog ka traffic increase hone me madad mile.
Ab aap samjh hi gaye honge ki hamare blog ke liye ek achhi, attractive aur good looking template ka hona kitna jaruri he.

 € -  Blog ke liye template download kaise kare :-


1. >  sabse pahle koi ek theme download kar le. Aap chahe to paise dekar ek achhi theme kharid sakte he, ya fir internet par yesi kai sites he jo aapko free template deti he. Jinhe aap aasani se download kar sakte he. 

* sabse pahle google par search kare free templates 

*  uske baad ek achhi si template choose karle aur use download kare.

*  ab aapne jo template download ki he wo zip hogi use pahle unzip karle.

* ab aapki template ready he . Aap ise apne blog par laga sakte he. 


Template ko blog me kaise lagaye :-



1. >  sabse pahle apne blogger account me login kare. Uske baad theme section me jaye. aap image me bhi dekh sakte he.

2. >  ab apni theme ka backup le, taki agar koi bhi galti hoti he to ham us theme ko wapas laga sake.



aapko apne right side me likha dikhega " backup / restore "  ua par click kare  aap chahe to aap image me bhi dekh sakte he.

3.-  Ab aapke samne ek popup window open hogi isme Download theme par click kare aur apni theme ka backup le.




Backup lene ke baad 'Choose file'  par jaye aur aapne jo theme download ki thi use chune aur upload kar de.

4 >  Congrets !!  Aapki theme change ho gai he . Ab aap chahe to apni website ko open kar dekh sakte he. Aapka blog naye template se khulega.


This post first appeared on Hindifire - Blogging, SEO, please read the originial post: here

Share the post

Blog ke template ko change ya upload kaise kare

×

Subscribe to Hindifire - Blogging, Seo

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×