Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blog Traffic Increase Kaise Kare 10 Seo Tips

Hi guys is post mei apko batauga ki apne blog ka traffic increase kaise kare.Bahut sare blogger hai jo apne blog mei traffic increase nahi kar pate aur aise blogger blogging mei fail jarur hote hai.Blog mei traffic he main important hai ek blogger keliye,agor bahut koshish karne par bhi agor blog mei traffic nahi ate tou blog ka admin blogging chor dete hai.

Blog banane se pehle ek blogger ko first time seo ke bare mei puri jankari hona chahiye tabhi apne blog mei traffic increase kar payege.my readers agor app bhi new blogger hai tou app onpage seo aur off page seo ke bare mei puri jankari hashil kar lijiye nahi tou bad mei traffic increase karne mei bahut he problem ho sakti hai.mei apko is post mei aise he kuch seo ka tips batauga jo apne blog mei traffic increase karne mei bahut he easy hogi.

  • Social Media Site Se Dofollow Backlinks Kaise Banaye
  • Google Analytics Code Ko Blog Me Kaise Add Kare

Blog Mei Traffic Increase Kaise Kare

  1. Useful Article publish kare.

Sabse main important he Article.Agor apke article viwers keliye use full hogi tou apke blog mei wohi viewers dubara ane ka chances rehega.Isiliye app apne blog mei aise kuch article publish kare jo viewers keliye useful ho.Example apke blog mei mujhe ek bahut he achha article padhne ko mila,aur wo article mere knowledge keliye bahut he jaruri hai tou mei dubara tou jarur apke blog mei view karuga kiyo ki apke blog mei mujhe achhi jankari mile.

  1. Article Mei Keyword Use Kare

Uske bad ata hai keywords,App apne blog mei jo bhi article publish karna chahte hai app Apke Article mei keywords use kare.Apke article mei koun sa keywords main target hai.Wohi keywords apne article mei kahi kahi use kijiye.Apke keywords 1% se leke 2.5 % jyada nahi hona chahiye.

  • High Pr Dofollow Blog Commenting Sites List | 2017
  • Apne Blog Ke Liye XML Sitemap Kaise Banaye
  1. Quality Backlinks

Apke blog mei backlinks banaye.Jitne sare backlinks honge apke blog search engine mei achhi result milega.Lekin app apne blog mei quality backlinks he banaye.Quality backlinks app quality site se he milte hai,Jaise ki jin blog ya tou website ke page rank ho aur traffic bhi high ho wohi quality site hai.

  1. H1 H2 H3 Heading mei keywords dale

H1 H2 H3 heading mei apke article ka keywords use kare.H1 wohi heading jo apke article ke title he.H2 aur H3 Heading artile ke bich me lagate hai.Heading mei isiliye keywords use karna chahiye kiyo ki google mei jab koi bhi keywords search karte hai tab google apke heading ke jo keyword hai,usko google ko bhi pata hona chahiye.taki apke blog bhi search engine mei dikhai de.

  1. Image ko keywords use kare

Jab bhi app ek article blog mei publish karna chahte hai tab app ek image jarur post mei dale.Ek image article ke keywords ke barabar hota hai.App pehle image ko achhi tarah se edit karke thora design de dijiye.Jab app post ko publish karnege tab app image ke alt mei apka jo maine keywords hai usko use kelijiye.

  • Robot.txt File Blog Me Kaise Add Kare In Hindi
  • SEO Kya Hai ? Search Engine Optimization Ki Jankari
  1. Social Site Mei Article Share Kare

Blog mei article publish karne ke bad apka article social site mei jarur share kijiye.Social site par share karne se pehle app social site mei ek page apne blog ke nam par jarur bana lijiye.Social site par apke article share karne par 50% traffic tou social site se ayega.

  1. Blog Mei Social Share Buttons add kare

Blog mei social share buttons add karna chahiye taki koi visitors apke blog post ko social site mei share karna chahte hai tou share kar sakte hai.Tab apke post social site par milne ke bad dusere visitors bhi ane ki chances rehte hai.

  1. Social Follow Buttons Add Kare

Social follow button bhi add kijiye taki social page ko bhi visitors follow kar sake. jab app apne blog mei post publish karenge tab apke post social site mei bhi wo dekh sakte.tab fir se wohi visitors apke blog view karega aur aise apke blog ka traffic increase hote rehnge.

  1. Article Minimum 300 words se jyada hona chahiye.

Apke article minimum 300 words mei hona chahiye.Apke blog ke article jinte long hogi utnahe seo keliye best hogi.Google sabhi post minimum 300 word mei hona pasand karti hai.app kosish kijiye ki apke article minimum 700 nahi tou 800 word mei ho.

  • Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hai
  • Apne Blog Traffic Kaise Badhaye Seo Tips For Bloggers
  1. Apke Article Copyright nahi hona chahiye.

Apke article copyright nahi honi chahiye.Copyright article site mei kabhi bhi traffic increase nahi hoti hai.kiyo ki jab koi bhi keywords google mei search karte hai tab copyright blog search engine mei nahi dikhai deta hai.Copyright blog ko google bahut niche rakhte hai taki koi bhi visitors aise site mei visit nahi kare.

Tou readers apko maine 10 tips bataya kaise apne blog mei traffic increase kar sakte hai.I hope ki mera ye post padhke apko achha laga.Mei apko duwa karta hu ki apke blog mei bhi bahut sare visitors aye aur app apne blog mei se bahut sare paise kamaye.Agor apko kuch bhi jankari chahiye tou app niche comment box mei jarur comment kare,taki apke confusion ko mei dur kar saku.

The post Blog Traffic Increase Kaise Kare 10 Seo Tips appeared first on MyGyanBlog.



This post first appeared on MyGyanBlog, please read the originial post: here

Share the post

Blog Traffic Increase Kaise Kare 10 Seo Tips

×

Subscribe to Mygyanblog

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×