Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Mobile Se Railway Ticket Booking Kaise Kare

Hi friends kiya app online Railway Ticket Booking karna chahte hai tou app is post ko jarur padhe.ajj kal tou sabhi kam online he ho gaya hai,app ghar baite bahut sare kam online he kar sakte hai apke pass shift internet hona chahiye.Koi log internet bhi thick tarah se chala nahi pata aise mei app unko bhi online railway ticket booking kar de sakte hai.

MyGyanBlog readers app computer aur mobile dono mei railway ticket book kar sakte hai.Railway ticket booking keliye first apko IRCTC website mei registration hona padhega.Agor app computer mei registration karna chahe tou apko pan card,adhar card,aur apke address dalna padhta hai,matlab registration karne jo process hai wo long hota hai.

  • PAN Card Online Apply Kaise kare In Hindi
  • Google Drive Kiya hai Aur Iska Use Kaise Karte Hai

Mobile par registration karne ka jo process hai wo bahut he short hai,sabhi ke pass tou computer bhi nahi rehte lekin mobile tou har kisi ke pass tou rehta he hai Tou app mobile par bhi Online Railway Ticket Booking kar sakte hai.My readers mei apko mobile mei kaise ticket book karte hai iske bare mei jankari denge.

Mobile Se Online Railway Ticket Booking Kaise Kare

Dost mei apko screen shot ke sath batauga taki apko samajh ne mei easy ho.Tou chaliye start karte hai.

Step 1

Sabse pehle app apne play store se IRCTC ka apps ko download karke install kar lijiye.Install hone ke bad first apko is apps mei register hona padhega.Register process bahut he easy hai app asanise kar sakte hai.Register hone keliye ek mobile no aur ek email ki jarurot hota hai.Mobile no aur email par ek verification code bhejte hai apne account verify karne keliye.Apke IRCTC ka account verify hone ke bad ek 4 digit pin no generate karna padhta hai.Jab app us apps ko open karna chahege tab app us pin code ko dalna padhega jo apne khud banaya hai.

  • Gmail Par Email Account Kaise Banaye Iske Puri Jankari
  • Online Voice Typing Kaise Kare Janiye Hindi Me

Step 2

Successfully register hone ke bad app train ticket book karne keliye IRCTC ka apps ko open kijiye.App ko open karte he sabse upor Train Ticket Ka option milega app us options ko click kare.

Step 3

Train Ticket ka options mei click karne ke bad apke samne ek naya page open hoga jaha par apko kaha se kaha tak journey karna he likhna hai.

From – Kaha se apko jana hai us station ka nam likhe.

To – Kaha tak jana hai us station ka nam likhe

Journey date – koun sa date mei apko ticket chahiye.

Sabhi details submit karne ke bad app search train par click kar dijiye.

Step 4

Abhi apko koi sare train name aur train ka number apko dikhai dega.App koun sa train mei jana chahte hai usi train ko select karke click kare.Abhi apko kuch aisa options milega example – 1A, 2A,3A,SL

1A – First class AC

2A – Second class AC

3A – Third class AC

SL – Slipper

Abhi apko select karna hai ki app koun sa class mei journey karna chahte hai.Example app SL class mei janna chahte hai tou app SL par click kare.

  • WordPress Sidebar Categories Me Icons Kaise Add kare
  • WordPress Blog Me Google Adsense Ads Kaise Add Kare

Step 5

Abhi apke same ek naya page open hoga waha par app ticket book karne ke options milega.App book Now options ke niche aur upr dekhiye kouna date mei ticket available hai ya Witting.Agor ticket available hai tou Green color mei available likha rahega.Agor nahi hai tou app witting par ticket book karna padhega.

Step 6

Book Now par click karne ke bad ek naya page open hoga app waha pe apke details bharna hai,Agor apke sath 5 years ka children hai tou uska nam bhi likhna hai.apke details kiya kiya submit karna padhta hai niche likha hai.

  1. Apke Nam Likhna hai
  2. Age
  3. Gender
  4. Country
  5. Berth Preference

  • Free Sms Kisi Bhi Mobile No Par Kaise Send Kare
  • Internet Se Free Call Kaise Kare Puri Dunia Me

Apke details submit karne ke bad app Book Ticket Par Click kare.Karne ke bad apko payment options milega app waha se apke payment method select karke payment kar dijiye.Successful payment karne ke bad app apke register mobile no par PNR number ka massage ayega.Us PNR no se apke ticket ko kabhi bhi Print Kar sakte hai.PNR no se ticket print karne keliye app is links ko click kare Enter PNR No .uske bad apke pnr no dale apke ticket dikhai dega.

Tou Dosto Apko ye topic kaisa laga.Abhi app samajh gaye honge ki online railway ticket booking kaise kare jyada jankari keliye app niche video ko dekh sakte hai.

The post Mobile Se Railway Ticket Booking Kaise Kare appeared first on MyGyanBlog.



This post first appeared on MyGyanBlog, please read the originial post: here

Share the post

Mobile Se Railway Ticket Booking Kaise Kare

×

Subscribe to Mygyanblog

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×