Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Facebook Dusre Phone Me Kaise Chalaye

How to use Facebook account on another device yani ki facebook dusre phone me kaise chalaye iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur apne facebook account ko apne hi other phone me istemal karna chahte hai aur nahi jante ki apne fb account ko another device me kaise access karte hai to ye post aapke liye hi hai.

Facebook account ko aap multiple devices me use Kar Sakte Hai iske liye apne phone se logout bhi nahi karna hoga aap ek sath apne dusre phone me bhi apne fb account ko login karke use kar sakte hai lekin iske liye apne phone number or email id ke sath aapko facebook ka password ki jarurat padegi bina iske aap other device me facebook ka use nahi kar payenge.

Apne other device me fb account login karne ka process puri tarah se secure hota hai kyuki iss process me apni login details ke sath sath ek security code ki bhi jarurat hoti hai jo aapko pehle apni facebook app me generate karna hoga fir aap easily apne kisi bhi other device me apne fb account ko access kar sakte hai, kya hai ye process aur kaise facebook account ko multiple devices me use kar sakte hai aaiye step by step janate hai.

  • Facebook Archive Post ko Recover Kaise Kare
  • Messenger Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

Facebook Dusre Phone Me Kaise Chalaye

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare

3 Ab next interface me Settings and privacy option par click kare

4 Iske baad kuch or options unhide ho jayenge inme Code generator option par click kare.

5 Ab ek Security code generate ho jayega jo ki 60 seconds tak valid hoga aur 60 seconds ke baad new code fir se automatically generate ho jayega, iss beech dusre device me iss code ka use kar lena hai.

6 Ab apne dusre phone me Chrome browser open kare, aap chahe to koi dusra browser bhi use kar sakte hai.

7 Browser open karne ke baad facebook site open kare.

8 Ab fb login page me pehle apna Phone number ya email address aur password enter karke Continue option par click kare.

9 Iske baad next interface me facebook app me generated Security code enter karke Continue option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad aapko facebook account dusre device me login ho jayega aur ab aap apne dono alag alag devices me apna facebook account use kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki multiple devices me facebook kaise use karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

The post Facebook Dusre Phone Me Kaise Chalaye appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Facebook Dusre Phone Me Kaise Chalaye

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×