Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

ShaYari

Tags: nahi mujhe yaad

ShaYari



Sabne kaha ishq dard hai,
Humne kaha ye dard Kabul hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji Nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna Kabul hai

Kaash tum Mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.

Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.

Ishq wale ankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete hai,
rota to aasma bhi hai Pyaar k liye,
par log use barsat samajh lete hai.

Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai

Khoob aati hai jab
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar K aati hai

Taare aasman me hi chamkte hai,
Badal itne dur hai, phir bhi baraste hai,
Hum bhi kitne ajib hai,Tum Dil me rehte ho,
aur hum tumse milne ko taraste hai

Aasman se uncha koi nahi,
Sagar se gahra koi nahi,
Yun to mujhko sabhi Pyare hai,
par aapse Pyara koi nahi

Aaj us khuda ki shararat samajh me aai,
is dharti par aapki maujudgi samajh aai,
Aapko is dharti par bhejna us khuda ka bahana tha,
Kyo ki hamare lie aapko aana hi tha.

Kismat me jiski aap, use jindgi se kya chaahiye,
Dhadkan me jinki aap, use dunia se kya chaahiye,
Hum to jite hai aap k liye, warna in saanson se kya chaahiye.

Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay,
Hum apko yaad karen aur apko khabar ho jay,
Aaj kuda se itni hi dua hai, aap jo bhi chaho vo haqiqat ho jay.

Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai,
teri har baat mujhe bahka jati hai,
Saansen to bahut der leti hai aane jane me,
Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.

Maine khuda se ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
khuda ne kaha maut to tujhe de dun,
par uska kya jisne har dua me teri jindgi mangi.

Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahut hui
ab lab se karo ikrar…

Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon

Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.

Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.

Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla.

Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi…
mere paav mein zanjir nazar aayi..
gir pade aansu aankh se…
aur har ek aansu mein aapki taswir nazar aayi.

Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..

Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.

Ehsas Bahut Hoga Jab Chhor K Jaenge,
Roenge Bahut Magar Aansu Nahi Aaenge,
Jab Sath Na De Koi To Awaz Hume Dena
Aasman Per Bhi Honge To Laut K Aaenge.

kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k baad.

Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe…..
Dil me basa k hum kisi ko Bhulate nahi..

Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..

Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.

Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.

Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..

Sham dhali, raat aayi Dil dhadka  
Fir Tumhari yaad aayi,
Aankho ne mehsus kiya us hawa ko
jo tumhe chukar hamare pass aayi.

Yaad mein teri aanhe bharta hai koi,
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai…..
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai……..
par milne k baad judaai se darte hain

Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.

Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…

Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
ki Aapne fir se muskura diya.

Bina dard ke ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paye bhi nahi jate.

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki,
Hum to behosh youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki.

Badi Muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!

ek nazar teri kaher dhati hai,
ek teri chal lehrati hai,
dua dete hain hum jab tu aati jati hai,
girten hain log aur tu hasti jati hai…


Na gujarna eid k din kisi masjid k pas se,
kahin log chand samajh kar roja na tod de,
hokar khafa khuda tumse kahi…..
Chand jaise chehre banana na chhor de.

Tanha khud ko kabhi mat hone dena,
apno ko kabhi rone mat dena,
aap bahut khaas hain hamare liye…..
Is khayaal ko apne se kabhi juda hone mat dena…..!

Hamari har khata pe naraz na hona,
apni pyari C muskurahat ko kabhi na khona,
Sukun milata hain dekh kar aapaki muskurahat,
hume maut bhi aaye to bhi mat rona.

Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai,
Aise hi Mohabbat ki shuruwat hoti hai…..
Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum,
Pata nahi kab din kab raat hoti hai….

Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte…..!

Aankhon ki gehraayi ko samajh nahi paate,
Hoth he magar kuch hum keh nahi paate,
Apni Dil ki baat kis tarah kahe tumse,
Tum wahi ho jinke bina hum reh nahi paate.

Mehakti baharo me tumhe Phuulon ki tarah dekha hai,
Baraste Sawan me tumhe Buundo ki tarah dekha hai,
saja rakhe hai jo khwab apni zindagi ki raho me,
un raho me tumhe apni Dulhan bane dekha hai.

Phuulo ki tarah hansti raho,
Kaliyoun ki tarah muskurati raho,
Khuda se sirf itna mangta hoon…..
ki tum mujhe hamesha yaad aati raho.

Dunia jise neend kehti hai,
jane wo kya cheez hai,
Aankhe to hum bhi band karte hai….
par wo aap se milne ki tarkeeb hai.

Mere chehare ki hansi ho tum,
Mere Dil ki har khushi ho tum,
Mere hontho ki mushkan ho tum,
Dhadakta hai mera ye Dil jishke liye…..
woh Meri Jaan tum ho tum.

Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar,
Mujhe tho us sham ka intezar hai,,,,,
jo aaye tume saath lekar.

Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko
Mere Sanam Tumne Dhadakna Sikha Diya
Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko
Gum Me Bhi Muskurana Sikha Diya.

tere chehre ne kuch aisa gazab dhaya hai,
ki tere Husn se aaj chand bhi sharmaya hai,
maang lete tujhe aaj uss khuda se,
par woh bhi aaj tera gulam nazar aaya hai!

Wo din din nahi, wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi, jis pal teri Yaad nahi,
teri yadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.

Zindagi ek phool hai 
aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, 
Aur Mehboob uski sarhad.

Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, 
Jalna Zameen Ko Parta Hai 
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, 
Tarapna Dil Ko Parta Hai.

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai

Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

Chand ki raton mein sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare

Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai,
Kadam chun chun kar rakhti ho…..
Phir bhi kamar balkha hi jaati hai…..

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte

Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar

Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai

Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko phod de.

Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!

Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.

Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!

Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta

Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari
To rona nahi Bus muskura dena…

Tamana Khuch Bhi Nahin
Ek Tere Deedar K bina,
Zindagi Adhoori Hai Meri
Tere Pyar K bina.

Bada arman tha tere sang jeewan bitane ka,
shikwa hai to bas tere khamosh reh jane ka,
Deewangi is se bad kar kya hogi,
aaj bhi hume intizar hai tere aane ka.

Hum aap ko kabhi khone nahi denge,
juda hona chaha to bhi hone nahi denge,
Chandni raton me ayegi meri yaad…..
meri yaad k wo pal aap ko sone nahi denge.

Hum ne her shaam chirago se saja rakhi hai,
par shart hawaon se laga rakhi hai,
na jane kis gali se aa jae mera sanam…..
hum ne her gali phuulon se saja rakhi hai.

Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai…..
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat banane ki.

khuda ne jab tumhe banaya hoga,
hajaro saal dekha hoga, lakho saal nihara hoga,
phir usne socha hoga tumhe swarg main rakh lu…..
lekin use mera khayal aaya hoga…..!

Nazro se shuru hota hai Pyaar,
do Dilo me ek sath panapta hai Pyaar,
Jo Mumkin nahi hai karna is duniya me,
Aise namumkin kaam bhi kar dikhata hai Pyaar.

Maut Pe Bhi Mujhe Yakeen Hai
Tum Per Bhi Aitabar Hai,
Dekhna Hai Pehle Kaun Aata Hai
Humein Dono Ka Intizar Hai.

Tum hansti ho mujhe hasane k liye,
Tum roti ho mujhe rulane k liye,
Tum ek bar ruuthkar to dekho…..
Mar bhi Jaunga tumhein manane k liye.

Yaad karte hain tumhein tanhayi mein,
Dil duuba hai gamo ki gehrayi mein,
humein mat dhundna dunia ki bheer mein,
hum Milenge tumhein tumhari parchayi mein.

Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai,
Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai,
Tu aayegi ye umeed hai mujhe…..
Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi hai.



This post first appeared on DiL To PaGal HAi, please read the originial post: here

Subscribe to Dil To Pagal Hai

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×