Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Sant Kabir Das Ka Janm Kab Hua | Kabir Das Ka Jivan Parichay

Aaj ke blog me hum ek mahan poet and saint ke bare me baat karne ja rahe he, jinki shayari aur kavita ki log aaj bhi bahut aadar aur sanman karte hai. Hum baat kar rahe hain Kabir Das ji ki, jo ki ek mahan bhakti-kavi the. Kabir ji ke kavitao mein aaj bhi prem aur insaaniyat ki bhavana ubharati hai.  Kabir Das ji apne samay ke sabse prasiddh kaviyon mein se ek hai kyuki unke shabdo mese sachha prem or bhakti ubharti thi.

To chaliye ese ek mahan poet Kabir Das ji ke jeevan se jude kuchh rochak baatein jaate hain.

Table of Contents:

Kabir Das Ka Janm Kab Hua? (When Was Kabir Das Born?)

Mana jata hai ki Kabir Das ka janm 15th century ke madhya me hua tha. Anumanit hai ki unka janm 1398-1518 ke bich me koi saal me hua tha. Kabir Das ke jivan me bare me kafi kam saboot hai isliye hum unke janm tithi ke bare me ekdum satik jankari nahi jante hai. Lekin unki kavitaye aur purane grantho se hume ye malum chalta hai ki unka janm aaj se 600 saal pehle hua tha. Kabir Das ki koi jankari bhale hi hame satik na pata ho nekin un ki likhi hui kavita logo ko sadiyon tak yaad rahegi.

Kabir Das Ji Ka Janm Kahan Hua Tha? (Where Was Kabir Das Born?)

Jaise ke hamne aapko bataya ki Kabir Das ka janm aur mrityu ke bare me satik jankari nahi hai. Lekin aisa bataya jata hai ki unka janm Uttar Bharat (North India) ke Uttar Pradesh rajya ke Kashi (Varanasi) me hua tha. Kashi saher bharat ke prasidh dharmik sthalo mese ek hai jaha par Kashi Vishwanath mandir jaise Hinduon ke dharmik sthal aaye huye hai. Aisa bataya jata he ki unhone apne jivan ka adhikansh samay Kashi ke aaspas hee bitaya tha.

Kabir Das Ji Ki Mrityu Hui Thi? (When Was Kabir Das Died?) 

Mana jata hai ki Kabir Das ka mrityu 15 century ke antim dashak me hua tha. Lekin kuch log aisa mante hai kee unka mrityu 1518 CE me hua tha. Hum unke jeevan ke bare me koi bhi baat pakka nai keh sakte kyunki unke jeevan ke kayi varshon ka koi thos pramaan hamare paas  upalabdh nahi hai. Unka mrityu kab hua tha vo to satik pata nahi lekin ye baat to pakki hai ki Unke vichar aaj bhi hamare jeevan mein prabhavi hain aur hum unhe hamesha yaad rahege.

kabir Das Photo:

Kabir Das Ka Jivan Parichay (Kabir Das Life Story)

Kabir das 15th century ke ek mahan sant, samaj sudharak aur prasidh kavi the. Unka janm Uttar Pradesh ke Kashi sahar me hua tha. Mana jata hai ki unka janm ek kasai parivar me hua tha. Unka bachpan apni mata ke sath bade kasbe me gujara tha. Unhone bachpan me hi sahitya me maharat hasil karli thi. Unhone apna pura jeevan bhakti me aur samaj ko buri aadat se sudharne ke liye samarpit kar diya tha. Unki kavitayen vo samay me to prasidh thi hee, lekin aaj ke samay me bhi hum unke kavaitaye ke prabhav ko apne jeevan me dekh sakte hai.  

Also Read: How To Reach Bageshwar Dham Sarkar Chhatarpur | Dhirendra Shastri Biography

Kabir Das bachpan se hi bade adhyatmik the. Kabir Das ka janm ek muslim parivar me hua tha lekin ve pehle se hi Hinduism se bade prabhavit the. Vo mante the ki sabhi ishwar ek hi he or ve apni kavita ke madhyam se prem, shani or samanta par pravachan dete the. Unki kavitayen aam aadmi ke bich samaj sudharak keliye kafi prasidh thi.

Kabir Das ke janm ke bare me kayi vichar vimarsh hai. Unke kayi anuyayi mante hai ki ve satlok se prakash ke roop me dharti par aaye the aur unhone kamal ke phool par avtar liya tha. Aur vo log yeh bhi dava karte hai ki sant ashtanand is ghatna ke pratyaksh gavah the joki khud ese hi kamal ke phool par avtar liya tha. To kayi log esa bhi mante hai ki Kabir Das ek bachhe ke roop me lahartala zeel me Niru aur Nima namak muslim parivar ko mile the, bad me unhone hi Kabir Das ko pal posh ke bada kiya tha.

Kabir Das Kis Prakar Ke Sant The:

Kabir Das ek rahyasavadi sant or kavi the jo 15vi satabdi me bharat me raha karte the. Unhe bhakti andolan me sabse prabhavsali santo mese ek mana jata hai. Jinhone Bhagwan ke bhakti par jor diya or sadiyon se chal rahi jaatiwad ka jor se virodh bhi kiya tha. Ve sabhi dharmo me vishwas rakhte the or ve dharmik vibhajan se bade nakhun aur naraz the. Vo apni sadgi vale jeevan aur prabhavsali kavitaye ke liye keval bharat me hi nai lekin pure vishwa me prasidh the.

Kabir Das Ji Ke Dohe With Meaning(Kabir Das Ke Bhajan):

Kabir Das apne dohe ke liye pure vishwa me jane jaate hai. Kabir Das ne apne pure jeevan apne dohe ke madhyam se sabhi ko gyan diya. Unke dohe samaj ko santi aur prem ka bhav dene ka gyan dete hai. Unke doho ne samaj sudharne me badi madad ki thi. Unke dohe logo ke beech kafi prasidh the. Kabir Das ki kavitaye braj, bhojpuri aur avadhi jaisi boliyo se li gayoi thi. Kabir ne apne dohe ki rachna hindi bhasa me ki thi. Vo apne dohe ke madhyam se jeevan ke pahelu aur bhagwan ke prati unka aadar ko aahan karte the.

 To Yaha par kuch Kabir Das ke Famous dohe diye gye  hai:

“Dukh mein sumiran sab kare, sukh mein kare na koi

Jo sukh mein sumiran kare, toh dukh kahe ko hoi”

Translation: Sukh mein to sab yaad karte hai lekin dukh ke samay koi yaad nahi karta. Agar sukh ke samay ishwar ko yaad karoge to vo dukh ka samay aane hi nahi denge. 

“Jaise til mein tel hai, jyon chakmak mein aag

Tera saai tujh mein hai, tu jaag sake toh jaag”

Translation: Jaise til me tel aur chakmak pathar me aag hoti hai, isi tarah ishwar bhi tumhare andar hai, agar tum jaga sakte ho to unhe jaga lo.

“Kabira khada bazaar mein, maange sabki khair

Na kahu se dosti, na kahu se bair”

Translation:  Kabir bazar me khada hai sabka bhala chahta hai, na uski koi dosti hai aur na hi unkiu koi dushmani.

Is prakar ke dohe se ham Kabir Das ka dharmik Jeevan aur sabka bhala karne ki chah ke bare me jan sakte hai. 

Kabir Das ji ek ese sant the jinhone apne pure jeevan bhagwan ki bhakti karne me aur samaj ko sudhane me bita diya. Unke likhe hue dohe ke dwara aaj bhi ham apne jeevan ke bare me jan akte hai.

Read more about kabir – Wikipedia

FAQs About Kabir Das Ka Jivan Parichay Janm and Mrityu:

  • Kabir Das kon the?

    Ye blog Kabir Das ke bare me sab kuch batata hai isliye unke bare me janne keliye ye post dhyan se padhe.

  • Kabir Das Ka Janm Kaha Hua Tha?

    Lekin aisa bataya jata hai ki unka janm Uttar Bharat (North India) ke Uttar Pradesh rajya ke Kashi (Varanasi) me hua tha.

  • Kabir Das ke Guru Kon The?

    Kabir Das ne apna dharmik gyaan Ramanada nama guru se liya tha. Vo unhi ko apna guru mante the.

  • Kabir Das ki Patni ka Naam Kya Tha?

    Kabir Das ki patni ka naam loi tha.

  • Kabir Das ki beti ka Naam kya Tha?

    Kabir Das ki patni ka nam kamali tha.

  • Kabir Das Ka janm Kaha Hua Tha?

    Lekin aisa bataya jata hai ki unka janm Uttar Bharat (North India) ke Uttar Pradesh rajya ke Kashi (Varanasi) me hua tha.

Note:

All information mentioned above  About Kabir Das Ka Jivan Parichay Janm and Mrityu is taken from various reports and references and we do not take any responsibility to be completely accurate.

The post Sant Kabir Das Ka Janm Kab Hua | Kabir Das Ka Jivan Parichay appeared first on DupSup.



This post first appeared on DupSup: An Excellent Blogs With Lots Of Information, please read the originial post: here

Share the post

Sant Kabir Das Ka Janm Kab Hua | Kabir Das Ka Jivan Parichay

×

Subscribe to Dupsup: An Excellent Blogs With Lots Of Information

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×