Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Common Sense Urdu Questions with Answers

There is a great sayings that Common sense in not very common. And it is so true in many cases. Common Sense Questions with Answers" is a fun collection of simple yet thought-provoking questions that test your everyday knowledge and reasoning. Whether you're looking to challenge yourself or have a friendly quiz with friends, these questions cover a variety of topics that everyone can relate to. With straightforward answers provided, it's a great way to have fun while sharpening your common sense skills!

Mahira aik building mein dakhil hoi jo books se bhari hoi thi. Mahira ne counter par aik book rakhi, 200 Rs. diye aur bina book building se bahir aa gaye. Us ne aisa kyun kiya?

See Answer

Wo building aik library thi. Us ne book counter par wapis ki aur book perhnay ke 200 Rs. diye.

Agar ap gari ke andar lock ho jayen aur ap ke pass sirf aik machis ke teeli ho tou ap kaisay bahir niklaen gay? Ye common sense paheliyan me se aik different Paheli hai. Shayed ap car door open karen ke science sochnay lagen but wait its not related to Mechanical Engineering you just have to use your common sense to answer. Rocket science nahi hai bhai bohat hi asan hai. English version is paheli ka ye hai. Suppose, you are locked inside the car and you have only 1 match stick. How would you get out of the car?

See Answer

Simple.Just open the door and get out. Because you are locked inside.

Aik Jurab (Socks) ke sath humesha kya hota hai ?

See Answer

Dosri Jurab

Umair aur Fareeha ne sarak (Road) par kyun ki ? Han ji ye hoi na Damagh ka Dahi karnay wali Paheli. Bhai humen kya pata ke Umair aur Fareeha ne sarak kyun par ki? Matlab sanu ki...!! Wait a minute. Ye kahi common sense wali science tou nahi hai is me bhai. Socho socho

See Answer

Sarak ki dosri taraf janay ke liye. Simple?

This urdu riddle for kids will test their IQ level. Wo konsa saval hai jiska jawab humesha mukhtalif (different) hota hai?

See Answer

Abhi kya time hai? / Apka kya naam hai? / Ap kab paida hoay?

Woh kya cheez hai jo duniya ka har insan subah neend se jagnay se pehlay kerta hai? Bohat hi easy urdu riddle hai.

See Answer

Eyes Open (Ankehn Kholta Hai)

Woh kya cheez hai jis mein se bohat saray soorakh honay ke bawajood bhi pani nahi girta. Mere khayal se is phali ka jawab badal (Clouds) hai. Ap kya kehtay hain? Comments mein batayen.

See Answer

Sponge

Pakistan aur India ki Paheli. Bharti (Indians) , Pakistaniyon se zayada kahan kyun khatay hain? Lo bhaiya. Pakistan vs India match tou dekha aur suna tha. Pakistan Aur India ki paheli bhi aa gaye. Ye Paheli ki Duniya walay kuch bhi banatay hai. Laykin ye bat manany wali hai ke baray hi Genius aur Common sesne rakhnay walay log hain. Kya kamal Urdu / Hindi Common sense paheliyan aur questions with answers banatay hain.

See Answer

Kyunki Bhartiyon ki tadad 1 Arab (1.3 Billion) hai aur Pakistaniyo ki 22 Crore (220 Million) hai.

Aik admi aik ankh se 2 kilometer door tak dekh sakta hai. tou batayen ke 2 ankhon se wo kitna door dekhay ga? Is paheli ke title mein hi iska jawab chupa hai. Wese kehtay hain Common sense is not so common :p .

See Answer

2 anhko se bhi 2 kilo meter hi dekha ja sakta hai

Ye Aik common sense urdu hindi paheli hai. Bataye, 10 rupay ke currency note ko bina choye (Touch kiye) kis terhan chota kiya ja sakta hai?Ye hoi na dimag ka dahi kernay wali paheli. Think out of the box to find out the answer.

See Answer

20 Rs. ka note sath rakh kar

Ye kafi tricky mind boost paheli hai.Agar zameen mein aik soorakh karnay mein adha ghanta lagta ho, tou adha soorakh karnay mein kitna waqat lagay ga?Paheli ka English version ye hai. Hint ye hai is riddle ki. It's not a mathematical riddle it is a mind riddle.If it takes half an hour to dig a hole how long will it take to dig half a hole?

See Answer

Adha Sorakh Nahi hota

Give a try to Guess the Country Name


This post first appeared on Urdu Hindi Riddles Paheliyan With Answers 2023, please read the originial post: here

Share the post

Common Sense Urdu Questions with Answers

×

Subscribe to Urdu Hindi Riddles Paheliyan With Answers 2023

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×