Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Namaz Ke Faraiz

  

Namaz Ke Faraiz 

Namaz Ke Faraiz

Hamare Islam mai Namaz bahut hi important chiez hai, us kee fazilat bahut zada hai, yah total free hai, is mai koi chiez hum ko invest nahi karna hai, Namaz  allah tala ko bahut pasand hai, is ko chhorne ka gunaah bahut zada hai, us ko na padhne se aadmi Jahamnnam mai jaye ga, Quran Pak kee Sure Muddassir mai allah tala fharmate hai: kee jab Namaz na padhne wale log Jahannam mai chale jayen ge us ke baad un se sawal kia jaye ga kee: bhai! tum log jahannam mai kaise chale aaye? wah log jawab den ge kee hum namaz nahi padhte the.

  • Sure Muddassir: 42, 43
Is aayet se maloom hua kai namaz bahut hee zaruri cheez hai, Namaz padhne ka tarika, aur 5 time kee namazon ke bare mai hum alag alag article likh chuke hain, please niche diye gaye article ko padh le.

  • Kisi vi Namaz Ke Padhne Ka Tarika
  • Fajr Kee Namaz Ka Tarika
  • Zohar Mai Kitni Rakats Hain? Aur Un Ke padhne Ka Tarika
  • Asar Kee Namaz Kee Fazilat Aur Us Ke Padhne Ka Tarika
  • Magrib Kee Namaz Kaise Padhen?
  • Isha Kee Namaz Ka Tarika Aur Us Me Kitni Rakats Hain?

Is article mai hum aap ko namaz ke faraiz ke bare mai batane wale hain, yani wah cheezen jin ko namaz mai karna zaruri hai, jin ke begair namaz nahi hoti.

Namaz Mai Total 6 Farz Hain

Yahan hum aap ko un cheezon ke bare mai batayen ge jo namaz ke andar farz hai:

(1) Takbeer-e-Tahrima: yani pe Allahu Akbar kah kar namaz start karna.
(2)  Qayam: yani Farz, Wajib, aur Nazar kee namazon mai khada hona.
(3) Qirat: yani farz namaz kee  2 rakaton, aur Sunnat, Nafal aur Witr kee har rakat mai Quran Shareef se 3 chhoti aayat ya 1 badi aayet padhna, aur yah qirat Arabic language mai zaruri hai, kisi aur language us ka translation karke nahi padh sakte.
(4) Ruku karna.
(5) Sajda karna.
(6) Qada Akhira mai Jitni der mai Tashauhud padhte hain utni der baithna.

yah 6 cheezen namaz mai farz hain agar in mai se koi cheez chhoot jaye to namaz nahi hogi.


Namaz Ke 6 Farz Se Reated Dosre Masle

Unpadh Aur Goonga (mute) Namaz Kaise Start Kare?

Hum aap ko abhi bata chuke hai kee Takbeer Tahreema Farz hai, ab maan lia jiye kee koi aadmi bilkul jahil aur anpadh hai jo takbeer tahrima vi na janta ho, ya koi goonga hai, takbeer ke words us kee zaban se nahi nikalte to aise log apni namaz kaise strat karen ge? aur un kee namaz kaise sahi hogi?

us ka jawab yah hai kee aise logon ke liye zaban se takbeer ke words kahna zaruri nahi hai, only takbeer tahrima kee niyat hi se un kee namaz start ho jaye gi.


Begair Kisi Diqqat Ke Farz Namaz Baith kar Padhna Sahi hai yaa Nahi ?

Hum Aap ko yah vi Bata chuke hain kee Qayam yani khada hona namaz mai farz hai, is liye jo aadmi khade ho kar namaz padh sakta ho us ke liye Farz aur Wajib namaz baith kar padhna sahi nahi hai, jo log train ke safar mai begair kisi diqqat aur pareshani ke farz namaz baith kar padh lete hain un kee namaz sahi nahi hoti.
agar kisi aadmi ke per (foot) mai koi maar laga ho jis ki wajah se us ko khada hone mai takleef ho rahi ho wah aadmi baith kar namaz padh sakta hai.

Nafal Namaz Baith Kar Padh Sakte Hain

Qayam yani kahde ho kar namaz padhne ka masla Farz aur wajib se related hai, agar koi aadmi, nafal namaz begair kisi diqqat  ke baith kar padhna chahta ho to yah jayez hai,aur yah alag baat hai kee bina majboori baith kar namaz padhne ka sawab khade hone ke muqabale mai half half milta hai.

Sunnat e Muakkadah Ko Baith Ke Padhne Ka Masla ?

Jitni vi Sunnat e Muakkadha hain especially Fajr kee sunnat un ko  bina kisi pareshani ke baith kar padhna munasib nahi hai, kyun kee in sab ka darja nafal namazon se badha hota hai, aur farz aur wajib se kam hota hai, is liye un ke darje ka khayal karte huye un ko vi khade ho kar padha jaye.

Ruku Kee Halat Mai Takbeer Tahrima Nahi Mani Jaye Gi

Agar Koi aadmi masjid mai us time pachoncha hai jab imam ruku mai ja chuka tha, us ne jalti se ruku kar  ke takbeer tahrima kah li, to us kee namaz kee stating nahi mana jaye ga, is liye qayam yani kahde hone kee halat mai takbeer tahrima farz hai, ruku kee halat mai kahi gayi takbeer ka etbaar nahi, han agar wah pahle khade ho kar takbeer kah le us ke baad ruku mai chala jaye, aur imam abhi vi ruku mai ho to us kee namaz kee strating ho jaye gee, aur wah rakat ka pane wala vi mana jaye ga.

Muqtadi Ka Imam Se Pahle Ruku Mai Chale Jana

Namaz mai Ruku karna farz hai, is ko hum bata chuke hain, aur Muqtadi us aadmi ko kahte hain jo imam ke pichhe namaz padh raha ho, ab masla yah hai kee agar koi muqtadi imam se pahle ruku mai chala jaye, aur imam ke ruku mai jane se pahle wah ruku se khada ho jaye, to us ka yah ruku nahi sahi nahi hoga, use  imam ke sath ya imam ke baad ruku mai phir se jana pade ga other wise us kee namaz sahi nahi hogi.
Aur Agar Muqtadi Imam se pahle ruku mai gaya lekin wah ruku hi mai tha kee imam vi ruku mai chala gaye to is surat mai muqtadi ka ruku mana jaye ga kyun kee us ka ruku imam ke ruku ke sath ho gaya hai.

Baith Kar Namaz Padhne Wala Woh Ruku Kis Tarah Kare?

Agar koi aadmi kisi pareshani kee wajah se baith kar namaz padh raha ho to wah ruku mai apni peeth aur sar jhuka de to us ka ruku ho jaye ga, better yah hai kee wah itna jhuke kee us ka sar ghutnon ke samne aa jaye, us ko ruku mai apni sureen uthana zaruri nahi hai.

Ruku Ya Sajde Kee Halat Mai So Jana

Agar koi aadmi ruku ya sajde mai jate time jaag raha tha, phir wah so gaya aur baad mai jaag kar sar uthaya to us kee namaz ho jaye jaye gi, is liye kee ruku ya sajde mai jate aur uthte time wah jaag raha tha, jis se asal farz ada ho gaya, aur rahi baat ruku aur sajde kee tasbeeh kee to wah sunnat hain farz nahi hain.


This post first appeared on Masnoon Wazaif O Azkar, please read the originial post: here

Share the post

Namaz Ke Faraiz

×

Subscribe to Masnoon Wazaif O Azkar

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×