Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Powerful Motivational Quotes and Shayari in Hindi

To ye rahe kuch motivational quotes and shayari in Hindi jo maine apni andaaz me present kiya hai aasha karta hu pasand aayega aapko. Roj subah repeat par sunne se aapki life bhi badal sakti hai. Ek baar sunkar dekhiye

Jab tum paida hue the to tum roye the,
jabki puri duniya ne jashna manaya tha.
Apna jiwan aise jiyo ki tumhari maut par puri duniya roye aur tum jashna manao.

Safalta hamara parichay duniya ko karwati hai aur asfalta hame duniya ka parichay karwati hai.

Jo sarfire hote hai, wo itihaas likhte hai, samajhdaar log to bas unke baare me padhte hai. Starfire Bano samajhdaaro ki kami Nahi hai is duniya me.

Safai dene me apna samay na barbad kariye kyoki log wahi sunte hai jo wo sunna chahte hai.

Kaamyaab log apne faisle se duniya badal dete hai aur nakamyab log duniya ke dar se apne faisle badal dete hai.

Har patang jaanti hai ki ant me kachre me jaana hai, lekin uske pahle aasmaan chukar dikhana hai.

Duniya me kuch bhi asambhav nahi hai, hum wo sab kar sakte hai jo hum soch sakte hai,
aur hum wo sab soch sakte hai
jo hamne aaj tak socha nahi.

Seese k saamne khade hokar bolo khudko – kyo banu main kisi aur ke jaisa,
jamane me jab koi mujhsa nahi.

Jinme akele chalne ka hausla Hota Hai, unke peeche ek din kaafila hota hai.

Bhid hamesha us raaste pr chalti hai jo raasta aasan hota hai, lekin iska matlab ye nahi ki bhid hamesa sahi raaste par chalti hai. Apne raaste khud chuniye kyoki aapko aapse behtar aur koi nahi jaanta.

Log kya kahege yeh sochkar jivan jeete hai, bhagwan kya kahege kya kabhi socha hai.

Ninda se ghabraakr apne lakshya ko na chhode, kyoki lakshya milte hi ninda karne walo ki raay badal jaati hai.

Duniya ka har shok paala nahi jaata, kanch ke khilono ko uchhala nahi jaata, mehnat karne se ho jaati hai mushkile aashaan kyoki har kaam taqdeer par taala nahi jaata

Ulfat ka aksar yahi dastoor hota hai, jise chaaho wahi apno se door hota hai, dil tootkar bikharta hai is kadar, jaise koi kaanch ka khilona choor choor hota hai.

सोच को बदलो, सितारे बदल जायेंगे।
नजर को बदलो, नज़ारे बदल जायेंगे।
कश्तियाँ  बदलने की जरुरत नहीं,
दिशाओं को बदलो, किनारे बदल जायेंगे।

6. ना पूछो कि मेरी मंजिल कहाँ है
अभी तो सफर का इरादा किया है
ना हारूंगा हौंसला उम्र भर
ये मैंने किसी aur से नहीं, खुद से वादा किया है

7. परिंदों को मंजिल मिलेगी यकीनन
ये फैले हुए उनके पर बोलते हैं
अक्सर वो लोग खामोश रहते हैं
ज़माने में जिनके हुनर बोलते हैं

Rakh hausla wo manzar bhi aayega
Pyase ke paas chal ke samandar bhi aayega
Thak kar na beth a manzil ke musafir. Manzil bhi milegi aur milne ka maza bhi aayega.

Also Checkout:

11 Short Motivational Stories in Hindi with Moral

Motivational Success Stories in Hindi | Nothing Impossible

Life Changing True Motivational Story with Message

Inspirational Life Story in Hindi Language for Entrepreneurs

Real Life Inspirational Stories in Hindi with Moral

Very Short Moral Stories for Children in Hindi | करोड़पति Story

Moral Stories in Hindi | क्या आप ऐसे सोच सकते हैं?

Hindi Short Stories with Moral Values for Kids

Moral Stories in Hindi for Class 7 | Short Story

Moral Stories in Hindi for Class 8, 9 | Short Story

The post Powerful Motivational Quotes and Shayari in Hindi appeared first on Hindi Kahani.



This post first appeared on Hindi Kahani, please read the originial post: here

Share the post

Powerful Motivational Quotes and Shayari in Hindi

×

Subscribe to Hindi Kahani

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×