Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Saudi Arab me rahne wale expatriates ke liye 10 best apps

saudi arab me rehne wale expatriates ke liye 10 most popular applications jisse android aur ios dono me istemaal Kar Sakte Hai. isme se kuch saudi goverment ka official applicatins hai. aur kuch apps aapke jarurat ke hisab se hai jaise - banking apps, telecom companies, online shopping, texi booking etc. aap in applications ka use Karke bhuat se kaam ko aasani se kar sakte hai. ye sabhi apps google play store me avialable hai. aap niche diye huye links par click karke in applicatons ko free me download kar sakte hai.

Best  mobile applications for Expatraites

1 - Saudi e - Government
E - government application saudi government ke national portal ke liye banaya gaya hai. Is app se aap apne mobile par saudi arab ki postal services ko aasani se padh sakte hai. ye application abhi sirf arabic language me available hai. umeed hai aage chal kar isme aur languages ko add kiya jayega.

Saudi e - Goverment App Yaha click karke download kare.



2 -  Absher
Absher Ministry of Interior ka official eServices Mobile Application hai.Saudi government ne is application ko citizens aur expatriate dono ke liye banaya hai. Ye app Arabic aur  English dono language  me available  hai. Is appka maddat se aap bhuat si jankariya  aasani  se pa sakte hai. Jaise -

1 - Issue/Cancel Final Exit Visa
2 - Issue/Cancel Exit-Re-Entry Visa
3 - Renew Driving License
4 - Renew Vehicle Registration
5 - Issue/Renew Iqama
6 - View Travel Record
7 - View Traffic Violation Details
8 - MOI Office Locations
9 - Query Available Funds
10 - Fingerprint Enrollment Status
11- Query Hajj Eligibility
12 - Query Iqama Validity
13 - Query Health Insurance
14 - Query New Arrived Labors
15 - Query Traffic Violations
16 - Exit/Re-Entry Visa Status
17 - Labor Re-Entry Status
18 - View and extend visitor visa
19 - View MOI events
20 - View MOI announements

Aur bhi bhuat se features is me hai. absher application ka use karne ke liye aapko pahle is par apna account bana padata hai.

Absher app yaha click karke Download kare.



3 - Mofa
Mofa Ministry of Foreign Affairs of Saudi Arabia official application hai. saudi ministry ki services tak pahuchane ke liye ek acha channel hai. Apne company ya kafeel ka color online kaise check kare.



4 - Muslim Pro
muslim pro world ke sabhi musalmaan ke liye sabse acha application hai. is app me aapko bhuat se festures milte hai jaise - Quran with Arabic scripts, phonetics, translations and audio recitations as well as a Qibla locator, an Islamic Hijri calendar, a map of halal restaurants, Mosques etc aur jada features ka use karne ke liye aap isko buy  kar sakte hai.

Muslim pro yaha click karke Download kare.



5 - Banking Apps
saudi arabia sabhi bank ne apna - apna application banaya huya hai. taaki wo apne apne clients ko aur achhi services provide kar sake. aap in apps ki maddat se bina bank visit kiye huye. apne account balance ka inquire, Money Transfers SADAD, governmental payment,  Mobile recharge, Credit card Payment aasani se kar sakte hai. Al Rajhi Bank account phone call se kaise update kare.

Al rajhi app yaha click karke download kare.
ANB app yaha click karke download kare.
Alinma bank app yaha click karke download kare.
NCB app yaha click karke download kare.



6 - Telecom companies
stc mobily aur zain  saudi ka sabse popular  network hai. Jiska  use  sabhi karta hai. Isliye  ye sabhi  companies apne costumers  ko aur  jada services  provide  karne ke liye ek application  banaya  huya hai. Jisse ye apne costumers  ko latest  offers dete rahte  hai. Aap apne phone me in apps ko download  karke latest  offers  aur services pa sakte hai.

STC app yaha click karke download kare.
zain app yaha click karke download kare.
mobily app yaha click karke download kare.

Iqama par kitne Sim card ragister hai. Online kaise check kare.
india, pakistan, bangladesh, nepal mobile balance kaise send kare.



7 - Online shoping
Aaj ke time me online shopping bhuat hi tez se badh raha hai. Aur yesa hona bhi chahiye . Kyuki isse time ki bachat hoti hai aur saath saath aapka man chaha products aapke ghar baithe mil jata hai. sauq aur wadi saudi ki famous online shopping sites hai. Aap bhi inka application download karke apne phone se online shopping kar sakte hai.

Sauq app yaha click karke download kare.
wadi app yaha click karke download kare.



8 - Online food
online shopping ke Jaise hi online food order bhi famous ho gaya hai. Aap bhi online se apna favourites foods order kar sakte hai. Iske liye aapko hello talabat app ka use kar sakte hai . is app se aap har tarah ka khana order karke maga sakte hai.

Talabat app yaha click karke download kare.



9 - Texi booking apps
Creem aur uber middile east ki sabse ache texi service provide karati hai. agar aap airport, shopping mall, hotal ya aur kahi jana ho. bas aapke ek call se uber aur creem ki texi aapke bataye huye loacation pahuch jati hai. in apps ki maddat se aap advance me bhi texi ki booking kar sakte hai.

Careem app yaha click karke Download kare.
Uber app yaha click karke Download kare.



10 - google map
Gaagle map google ka bana hua ek application hai. is ke paas her country ka exact map hota hai. hum google map ka jadatar use raste ko search karne ya traffic ke pata karne karte hai. aap google map ka use karke kisi bhi anjan jagah bhuat aasani se pahuch sakte hai. waise google map ka sabse jada drivers karte hai. yeh app her pahle se hi hota hai. agar aapke paas nahi hai to play store me jakar ise download jarur kare.                                                    

Google map app yaha click karke Download kare.



Aap in 10 applications se bhuat se kaam aasani se kar sakte hai.
Aapko yeh post kaisa laga comment karke jarur bataye. aur is post ko share jarur kare. taaki sabhi logo ko iske bare malum ho jaye.


Ise bhi padhe:
United Arab Emirates ka visa online kaise check karen.
Qatar ka visa status online kaise check kare.
oman ka visa online kaise check kare.
Bahrain ka visa status online kaise check kare.



This post first appeared on Latest Tech Gyan, please read the originial post: here

Share the post

Saudi Arab me rahne wale expatriates ke liye 10 best apps

×

Subscribe to Latest Tech Gyan

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×