Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Android me developer option kya hai aur isko use kaise karen - part 2

Android me Developer option kya hai aur iske uses kya hai is post ka first part aapne padh liya hoga. Ab baari aati hai iske next part ki.. Aaj ke is post me hum fir developer option ke bache huye interesting options ke baare me janenge.
Agar aap directly is post par aa rahe hai to hum recommend karte hai ki sabse pahle aap iska first post read kare kyoki us post me bataya gaya hai ki developer option kya hai, ye kaha hota hai, is option ko enable/activate kaise karte hai etc.

Agar aap us post ko read kar chuke hai to ye post padhe



Developer option ko use kaise karen


Developer option ke 7 option aur uske uses ke baare me padh chuke hai ab iska next option hai..

#Window Animation Scale
#Transition Animation Scale
#Animator Duration Scale


Dosto ye teeno to alag alag options hai But teeno ka work thoda ek jaisa hi hai so ise humne ek hi option me include kar diya.
Is options se apne mobile ki animation speed ko badha ya ghata sakte hai,
Aap ise open karte hai to 5 different speed dekhne milega
Animation scale off
Animation scale 0.5x
Animation scale 1x
Animation scale 1.5x
Animation scale 2x
Animation scale 5x

By default to ye 1x me hota hai. Agar aap ise 10x me rakhte hai to animation ekdum slow ho jayega. Aap Jo koi bhi application open karenge to ye ekdum hi slow open hoga. slowly se launch hoga. Homescreen par aapne 2-4 apps ko folder me rakha hai aur agar aap ise open karte hai to ye slow open hoga jaise mobile hang ho gaya hai. Isse har window bahut hi slow ho jayega.

Agar aap ise 0.5x me rakhe hai to aapke mobile ka har app fast open hoga. Har window folder pahle matlab by default speed se bhi fast open hoga.

Ise aap 0.5x me rakhte hai to aapka mobile to fast hoga hi, battery bhi kaafi had tak save hoga. battery saving ke liye ye ek achchha option ho sakta hai.

Mobile ko voice se kaise chalye

#Force GPU Rendering

Iska full form Graphical Processing Unit hai.
Agar aap 3D game ke diwane hai to ye aapke liye hai ye aapke gaming experience ko badha dega. Game smoothly chalega.
Lekin main aapko ise activate karne nahi kahunga kyoki battery bahut hi jyada consume karta hai, Isse aapka GPU damage ya kharab bhi ho sakta hai.

#Simulate Color Space

Simulate Color space se aap apne Mobile screen ka color change kar sakte hai,
Default me to ye Disabled rahta hai.
Ab isme 4 alag alag color ka option hai
1 - Monochromacy - Isme aapka mobile color Black and White ho jayega
2 - Deuteranomaly - isme mobile red + green ho jayega.
3 - Protanomaly - mobile screen Red aur green karne ke liye
4 - Tritanomaly - blue + yellow karne ke liye

Aap apne according koi sa bhi color select kar sakte hai jo ki mobile ko new look deta hai.

Android me lage sensor aur uses

#Show CPU Uses

Isse activate karte hi apke mobile screen ke Right side CPU ka working dikhega.
Isse aapko CPU ke working ke bare me information mil jayega ki ye abhi kya work kar raha hai..
Mujhe to jyada kuch samjh nahi aaya but aap bhi try kare kya pata aapko samjh aa jaye.

#Show all ANRs

Jab aap ise activate karte hai to aapko use app ke bare me batayega jo thik se kaam bahi kar raha hai. Agar koi app kaam nahi kar raha hai to App Not Responding ka dialogue show karega.

#Do Not keep Activities

Agar ye option activate hai to aapke mobile me koi bhi activities ka history nahi rahega.

Agar aap kisi application par work kar rahe hai aur aur use chhod kar back ho rahe hai to apka wo history/task kill ho jayega.
Matbal Recent App par aapko koi bhi app nahi dikhega wo turant turant clear ho jayega. Dosto main to aapko ise activate nahi karne kahunga, kyoki kabhi kabhi zarurt padi to multiple task karna pad jata hai, Lekin ye aapko multitask karne nahi deta ye turant us recent app ko mita deta hai.
Agar aap ise activate karte hai to RAM to anytime free rahega but kabhi kabhi kuch apps work karna band kar degi jo background me chalta hai.

Deep, Dark web ke liye extra security tips

#Limit Background Process

Agar aapke mobile ke background par bahut se app running kar rahe hai to aap isme limit laga sakte hai.

Isme aapko 6 options milenge-
-Standard limit
-No background processes
-At most 1 process
-At most 2 Processes
-At most 3 Processes
-At most 4 Processes
Isme aap koi bhi option select kar sakte hai.

Lekin mai aapko standard limit me rakhne ki advice deta hu kyoki agar sabse jyada matab "At most 4 processes" option ko select karte hai to bhi ye bekar hai kyoki 4 se jyada to system ka hi app hai jo background process karte rahta hai, aur to apka kuch zaruri third party app bhi hai.. Aise me ye bas 4 app ko chhor kar sab background me process karne wale app ko off kar dega.

To ye tha "Developer option kya hai aur iske uses kya hai" ka second part. Is post ke part 1 aur oart 2 me lagbhag sabhi option include ho chuka hai jo ek normal user ke liye zaruri hai. Koi bhi option ko use karte time kuch bhi problem aaye to comments karke puchh sakte hai. Agar aapko ye post interesting aur helpful lagi ho to apne friend ke sath share zarur karen. Android trick related post padhne ke liye aap humare blog ko google+ me follow bhi kar sakte hai jiska link niche diya gaya hai. Thanks for visiting.

Recommend post:
5 tarike - App unfortunately has stopped problem fix karne ke liye
Marshmallow ya Samsung me font style kaise change kare
Bina coding ke Android apps bana kar kaise paise kamaye
Android ko eyes aur face se kaise control karen


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

Android me developer option kya hai aur isko use kaise karen - part 2

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×