Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Amazing Trick, Jio SIM me kaise use karey Free Callertune

Jio me kaise activate karen free callertune service

Helo guys welcome to iTrickGuru
Friend aapko to pata hi hai ki jio ne pure india me abhi dhoom macha key rakha hai, har kisi ke pass dekho to sirf jio hai, jio ne to sabhi networks ka band baza ke rakh diya hai. jio ek ke baad ek service launch kar raha hai wo bhi bilkul free. Aur sabhi iska fayada bhi utha rahe hai.

To aise hi abhi jio ne free callertune service ko launch kiya hai jiske baare me shayad sabhi logo ko pata nahi hai aur mere ko bhi aaj hi pata chala hai isliye aap logo ke sath share kar raha hu.

Kya hai callertune

Guys aajkal har mobile rakhne walo ko pata hai ki ye callertune hai kya, Callertune service se aap apne favorite song ko apne caller ko suna sakte hai. Matlab aapko jo bhi call karega, aapke favorite song ko sunega. Callertune me aapko koi aapka favorite song sunayi nahi dega lekin aapko call karne walo ko bekaar ki trin-trin ki jagah ye sing chalega.



Friends Agar aap dusre network jaise Vodafone, Airtel, !dea me Callertune activate karate hai to aapko iske charge dena padta hai. Callertune ka 30 Rs 30 din ke liye aur Song downloading Charge 15 Rs. Matlab 45 Rs me aapko 1 month ke liye ye service milega. Lekin aap jio user hai to ise free me activate kar sakte hai... Process niche hai.

Kaise activate karey jio me Callertune service

  • Jio me Callertune service activate karne ke liye sabse pahle Jio4GVoice app install karen Ye aapko Google Play Store me aasani se mil jayega free me.

    ya aap is link par click kar bhi app download kar sakte hai
    ↓↓↓↓↓↓↓
    Click here to install Jio4GVoice App
  • Jio4GVoice App install kar Open kare, ye automatic aapke device me lage jio sim se registration kar lega.

  • Agar aapka mobile marshmallow updated hai to ye aapse kuch permission mangega, sabhi permission ko allow kar dey, Android lollipop me ye permission nahi mangta.

    Next aapko Jio4GVoice App ko default messaging app banane bolega, aap ise Default bana bhi sakte hai aur nahi bhi.



  • Aapko App ke andar teen option milega.
    Call, message aur Contacts name ka.
    Aapko message wale section me jana hai.
    Aur ek sms create kar jio ke number par send karna hoga



  • Message ke liye type kare JT aur ise 56789 par send kar dey.
    Thodi derr me aapko ek sms aayega ki aap kis type ke song ko apna Callertune banana chahte hai Bollywood Song,
    Regional song, ya
    International Song,

  • Aapko us number ko send kar dena hai
    Jaise
    Bollywood song ke liye 1 send karey Ya International song ke liye 3

    Thodi derr me aapko song ka list mil jayega jise aap select kar use apna Callertune bana sakte hai.

    Select karne ke liye aapko us song ke number ko send karna hoga jaise aapne upper kiya tha song type selection ke liye.

    Agar aapko direct kisi song ko search karna ho to apne song ke first 3 word ko type kar send kar dena hai (Mini 40 Char)
    Ya kisi movie, album, ya kisi singer ke song ko search karne ke liye
    MOVIE Movie Name,
    ALBUM Song Name
    SINGER Singer name type kar 56789 par send kar dena hai.
    Bas ho gaya apka kaam aapko ye 30 days ke free mil jayega.
    So Friends Enjoy this free service, And dont forget to share this post.. Thanks For Visiting, Keep Visiting...


  • This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

    Share the post

    Amazing Trick, Jio SIM me kaise use karey Free Callertune

    ×

    Subscribe to Itrickguru

    Get updates delivered right to your inbox!

    Thank you for your subscription

    ×