Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Paytm App kaise use kare safe tariko se - how to use paytm app new method

Paytm app kaise use karen - puri jaankari, how to use paytm app

Hello friends... Kya aap Paytm use nahi karna jante ya kya aap paytm ke baare me thoda bhaut to jante ho par pura nahi.. To aaj ke is post me aapko bataunga ki paytm app use kaise karen.

Guy aapko to pata hi hai India cashless hone wala hai aur ho bhi raha hai. To is cashless india me har payment digital tarike se ho raha hai. Digital payment ke liye abhi ka sabse best paytm app hai. Payment ke liye BHIM app bhi best hai lekin paytm me aap chhoti se chhoti transaction kar sakte hai. Money send kar sakte hai, mobile recharge, DTH recharge, bill payment, online shopping etc kar sakte hai.

Paytm App kaise use karen


Lekin hum se kayi logo ko pata nahi hoga ki paytm ko use kaise karte hai. Kyo ye payment related app hai to wo darte hai ki kahi hack na ho jaye ya kuch galat na ho jaye.
To aaj main aapko puri detail me bataunga ki ise kaise use karte hai.

Ise bhi padhe : BHIM App kaise use karen

Paytm kya hai..

Paytm ek online digital payment ka site hai aur app bhi. Paytm ke founder ka ye concept se paytm app aur site bana hai.
Paytm me hum har payment ka kaam kar sakte hai jaise mobile recharge, DTH recharge, electricity bill payment, water bill payment, ticket, flight booking, matlab payment ka har kaam kar sakte hai.

Kaise use karen paytm app

Paytm use karne ke liye sabse pahle Paytm App download kar le
Click here to download paytm app
Aap iska website bhi use kar sakte hai. Lekin app jyada better hai.

Install hone ke baad ise open kare.
Isme aapko new account banana hai account banane ke liye sabse niche diye 4 options home, mall, profile, notification me se profile option par click karen.

Paytm options


Sabse top par hello login to paytm milega uspar click kar den, Yaha aapko left me sign up ka button milega.
Sign up par click karen
Account banane ke liye pahle box apna 10 digit mobile number enter karen
Dusre box me apna email id enter karen. Aap bina email id ke bhi sign up kar sakte hai ye optional hota hai lekin aap jyada paiso se len-den karte hai to email id zarur lagaye.

Aur third box me password create kar le password bhi 8-12 digit ka number aur character ke sath.

Iske baad sign up button par click kar de. Aapne jo number diya tha us number par ek OTP aayega.
6 digit ka OTP code enter kare iske baad apna DOB, select kar name fill kar apna profile bana len. Ho gaya ban gaya aapka paytm account.

To ab baat aati hai ise use kaise karen

Aage ke feature ko use karne ke liye aapke paytm wallet me balance hona zaruri hai, jaise recharge ke liye. Paytm wallet me balance add karne ke liye aap Debit card, Credit Card ka use kar sakte hai.
Iske liye sabse pahle Add Money par click karen

Aap jitna Money add karna chahte hai utna enter kare aur process par click karen

Add Money to paytm wallet


Next aap apne card ke baare me information fill karen jaise Card number, Expry date etc. Aur process jar de.
Aap bilkul bhi tension naa le ye ek safe process se hoga. Aapke bank me registered mobile number me code aayega ki aap wakai me payment kar rahe hai ya nahi.
OTP code ko daale par hi aage process hoga. Aur OTP bhi one click me 2min me expire ho jayega. Itna hone par aapke paytm me money add ho jayega.

Ise bhi padhe :
Ek baar me 300 miss call dekar dosto ke sath karen prank
Pesa.net.in se 60,000 Rs per month kaise kamaye
OAN Card aur ATM Card me likhe huye numbers ki secret jaankariya

To inke feature ko kaise use karen

mobile Recharge
Sabse pahle home par jaye
Mobile recharge option par click karen.
Number enter karen, ye automatic network aur state ko select kar lega. Amount daal kar recharge button par click kar den. Ho gaya.

Same DTH ka bhi hai.

Electricity/Water Bill Payment
Home screen me hi aapko Electricity Bill option milega us par click karen
Apne electricity board ko select kar le aur aage ke instructions ko follow karen.

Flight/Movie Ticket Booking
Aap paytm se flight book kar sakte hai, movies ke liye ticket book kar sakte hai.
Aur bhi bahut se payment related work kar sakte hai bahut hi aasan tariko se, sath hi aap Promo code use karte hai to aapko discount bhi mil jata hai.

Shopping/Pay fee
Guys aap paytm se online shopping kar sakte hai, kisi bhi type ke product shop karne ke liye product name search karen waha jaa kar use buy kar sakte hai

Send karen money
Paytm se aap apne family/friend ya kisi bhi shop me money send kar sakte hai bina koi extra charge ke sath.
Money send karne ke liye sabse pahle
Home par jaye aur uppar me first option Pay par click karen jo page open hoga usne aapke Friend/Family ka paytm QR code ko camrea se scan karna hoga jab ye user ko fatch kar lega tab use money send kar sakte hai

Send money from paytm app


Paytm Mobile Number me Money send karne ke liye option pay me hi Second option Mobile par click kare.
Sabse pahle jisko money bhejna chahte hai uska paytm number type kare, jitna money send karna chahte hai amount type kare aur last me Apna name likh kar send kar de.

Receive Money
Paytm me aap money receive karenge iske liye zaruri hai ap apna paytm number share karen. Aap Code bhi generate kar share kar sakte hai. Apna QR code generate karne ke liye home par aaye aur Profile par click karen
Yaha upper left me click kar apna QR code generate kar sakte hai.

Agar aap paytm me new account bana rahe hai to humare is blog ko read karen.
Yaha aapko 28Rs ka Free Paytm cash+ Recharge mil sakta hai.


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

Paytm App kaise use kare safe tariko se - how to use paytm app new method

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×