Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Top 5 ways - App unfortunately has stopped problem kya hai kaise solve karen?

Tags: karen kaise nahi
Hey guys jaisa ki aap jante hai Aajkal har kisi ke pass smartphone hota hai. Aur un sabhi smartphones me maximum number Android phone ka hai. expensive smartphone jaise iPhone, ya blackberry ke phones, is type ke smartphone me software related jyada issue Nahi rahti lekin Android me software related kayi problems aati hai jo kisi user ke liye achha nahi hai. Android ke version marshmallow me bahut se smart features ke sath kayi problem bhi hai jaise Marshmallow mobile me fonts apps ka work na kar pana, ya Screen overlay detected problem aur aise hi bahut se problem hai jiska solution maine already apne blog me diya hua hai.
To aaj hum baat karenge ek naye problem ka jo hai App Unfortunately has stopped problem.
Kisi new installed app ko ya kisi app ke sath thoda fast work karne se app stop ho jata hai. Baar baar open karne ke baad bhi app open nahi ho pata aur home screen me phek deta hai. Aur sath hi ek message show hota hai [App Name] has unfortunately has stopped.

App unfortunately has stopped issue fix karen in top 5 method se


#Method 1 : Cache memory clear karen

App cache memory clean and clear karna is problem ka pahla solution hai. Cache kisi app ke dwara banaya gaya memory hota hai jisme kuch information ya kuch data rahta hai jise delete kiya jaye to ye issue fix ho jata hai
Kisi bhi mobile me cache kaise delete karen:
To uske liye.
1. Sabse pahle apne phone ki setting me jayen
2. Option Apps me click karen. Kisi mobile me ye App to kisi me Application to kisi me Application Manager name se hota hai.
3. Application me click karne ke baad us app ko search karen jisme ye problem hai.
4. App par click karen aur Clear cache button par click kar den.



Ye process pura hone par app dubara open karen. App successfully open ho jayega, koi issue nahi hoga.

Agar method app aapke device ke sath work nahi kar rahi hai. Method 1 use karne ke baad bhi ye issue hai to method 2 try karen

WhatsApp Status update kar kaise kamaye paise
WhatsApp aur Facebook par kaise share karen colorful message

#Method 2 : App data reset/delete karna.

Agar method 1 aapke Mobile ke sath kaam nahi kiya to method 2 App ka data kaise reset karen ye work karegi.
To iske liye aapko us app ki data ko permanently delete karna hai jo process niche hai.

Warning : agar aap storage data reset karte hai aur App pahle se install hai. Usko bahut time se use kar rahe hai to usme data save rahta hai jaise settings, account, sab delete ho jayega, to aap us app ke data ka backup rakh le agar wo app bahut hi important hai to.

App ki Storage data delete karna bhi iska ek solution ho sakta hai. Ye method maximum cases me work karti hai. Kyki app data reset karna matlab app ko fir se new karna hai.
kisi app ka data, account, setting kaise delete
karen?
To app ki storage data delete karne ke liye
1. sabse pahle apne phone ki setting me jaye
2. App/Application/ Application manager search karen aur waha click karen.
3. Application option me click karne par us app ko search karen jise problem hai.
4. App milne par uspar click kare. Next me aapko ek storage options dikhayi dega jaise niche picture me dikhaya gaya hai.
5. Storage me click karne par ek button hoga Clear data ka. Us par click kar den.



6. Us app ke sabhi data permanently delete ho jayega, jaise account, settings, uploads, etc. Agar wo app koi game app hai to use game me Cross kiye level bhi delete ho jayega.

To method se definitely aapka ye problem solve ho jayega. Maximum cases me work karti hai.

Method 1 aur Method 2 aapke sath kaam nahi kiya ya ye process aap nahi kar paa rahe hai to method 3 use karen jo bahut hi simple trick hai.

PAN Card aur ATM Card ke kuch hidden information
Ek phone me kaise use karen WhatsApp ke 10 account

#Method 3 : Application Reinstall karen ya update karen

App ko reinstall karna ya fir se install karna is problem ka ek different solution hai.

App reinstall / update kaise karen?
Iske liye.
1. Method 1 ka step number 1, 2 aur 3 follow karen.
2. Isko follow karne ke baad, app manager me pahuchne ke baad us app par click karen
3. waha ek uninstall button dikhega. Just click kar app uninstall kar de.
4. Google Play Store ya SDCard me save us app ko dubara install karen.
5. Ya app uninstall nahi karna chahte to ek baar app update karen, sometime app ke older version me bugs hone ke karan launch nahi ho pata. So ek baar app update karen jisse wo fix ho jayen.

Voice se ya sirf bolkar chalye apna smartphone
Secret Tricks - WhatsApp ko kaise banaye colorful bina koi theme ke

#method 4 : Install older version of the App

App ko update karne se ye fix ho gayi ho to achhi baat hai. But agar fir bhi problem sath nahi chhod rahi hai to us app ka older version install karen. Kuch app ke current version me bugs rahti hai. (Kamiya ko hi technical language me bug kahte hai). App maker company in bugs ko fix karti hai to hume bina bugs wale ya working app ke liye usko update karna padta hai. Lekin kisi app ka koi bhi update nahi mil raha hai. Google Play Store par us app ko update karne ke liye nahi de raha hai to uska older version install karke bhi dekh sakte hai. Aapke mann me question hoga.
Kisi app ka older version kaise nikale ya install karen? To internet par bahut sari website di gayi hai jisme kisi app ka pura staring se last tak ke version ka app rahta hai. Mera best website hai
Www.Apkmirror.com chahe to aap bhi visit kar sakte hai.

Facebook WhatsApp par kaise share karen Fake location
International number ko kaise banaye apna WhatsApp number

#Method 5 : Reset Your Mobile

Upper me diye gaye 4 methods work nahi kiya to ho sakta hai problem aapke mobile me ho sakta hai. Generally in 4 method se App unfortunately has stopped problem solve ho jata, ban jata hai.
But kisi ne bhi work nahi kiya to ek baar mobile factory reset karen.. Ya format karen.
To factory data reset kaise karen.
1. Sabse pahle apne phone ki setting me jaye
2. Scroll kar Backup and reset option dekhe aur waha click karen.
3. Waha aapko new option dikhayi dega Factory reset ka, waha click karen.



4. Agar ye password puchhe to apna password daale jo lock screen ke liye laga hai.
5. Lock screen me koi bhi password/pattern lock nahi hai fir bhi password maange to.
6. 1234, 12345, 0000, 00000 ye daal ke dekhe, jo alag alag mobile me alag rahta hai.
7. Password daalte hi mobile format ho jayega

Free me domain ko host kaise karen
Free website kaise banaye - Free me domain kaise le

To guys App in Top 5 tarike App unfortunately has stopped problem fix karne se aapke mobile ka problem fix ho jayega. Android ke kisi bhi problem ke solution ke liye ye website visit karen. Agar problem aapke friend ke sath bhi hai to is post ko share karen. Thanks
Keep visiting..


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

Top 5 ways - App unfortunately has stopped problem kya hai kaise solve karen?

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×