Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Wo Sunnat e Nabvi Jo Heart Attack Aur Sugar Se Bachaye

Wo Sunnat e Nabvi Jo Heart Attack Aur Sugar Se Bachaye


Khalal karna Sunnat e Nabvi ha aur is par amal karna aap ko several Jan Lewa Amraz se bacha sakta ha.
Ye baat America Mein hone wali 1 tibbi research mein samne aai ha.
Research ke mutabi ye to pehle sabit ho chuka ha ke gums ke amraz diabetes, heart disease, khoon ki sharyanein ke masail ya joron ke dard ka khatra barhate hein.
Taham khalal karne ko adat bana lena healthy life guzarne mein madad de sakta ha.
Research mein mazeed bataya gaya ke khalal karna moo ke andar germs ki miqdar kam karta ha aur moo mein swelling ka amkan bhi ho jata ha.
Jab gums mein swelling nahi hogi to in se bleeding ka amkan bhi kam hoga.
Inhon ne mazeed kaha ke moo ke sehat maintain rakhna bacteria ko dorane khoon mein jane se rokta ha aur is tarah several jan lewa amraz se tahaffuz milta ha.
Isi tarah khalal na karna Saans Mein Boo ka amkan barhata ha kiyounke ghiza ke zarrat danto ke darmiyan phans kr saans mein boo barhane walay bacteria ki tadad barhate hein.
Is se pehle American Dental Association ne bhi apni 1 research mein bataya tha ke darmiyani age mein logo ko danto ke masail ka samna is liye hota ha kiyounke wo khalal nahi karta.
American Dental Association ke mutabiq din mein kam az kam 1 danto ka khalal karne se danto ke is darmiyani khala mein bacteria ko hatane mein madad milti ha jahan tooth brush pohanch nahi pata.
Doosri soorat mein gums ke amraz aur keeray lagne ka khatra barh jata ha.


This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Wo Sunnat e Nabvi Jo Heart Attack Aur Sugar Se Bachaye

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×