Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Kali Mirch Ke Fayde

Kali Mirch Ke Fayde

kali Mirch ke fawaid

Kali mirch ka naam kis ne nahi suna hoga. Ye dunya bhar Mein aam istemal ki jane wali aur ba asani dastayab mirch ha. Kali mirch ko masalho ki malki bhi kaha jata ha. Black pepper darasal 1 phaldar bail hoti ha jie kasht karne ka maqsad is ka phal hasil karna hota ha. Ise khushk karne ke baad spice ke tor par use kiya jata ha.

Health Benefits Of Black Pepper:
Kali mirch na sirf khanay ka taste barhati ha balke body ko kai aqsam ki disease aur nuqsan pohanchanay walay germs se bhi mehfooz rakhtiha. Youn to kali mirch ke fawaid bohat hein lekin stomach ke liye khaas tor se behad mufeed ha. Kali mirch stomach ko tehreek dekar hydrochloric acid mein izafa ka bai's banti ha aur ye acid protein aur deegar foods ko hazam karne ke lie nihayat zaroori ha.
Foods munasib tarika se hazam hone ke bai's aap kbhi bhi diarrhea ya constipation ka shikar na hongay. Black pepper mein anti oxidant, antiseptic, anti fungal aur antitumor khoosasyat hoti hein. Ye stomach mein kisi bhi qisam ke infection ko hone se rokta ha. Pait ki garmi, bhook na lagne aur liver ko saaf karne ke liye behad mufeed ha. Is se nervous system tez hota ha or pait ke keeray marte hein. Kali mirch se body mein paseena banta ha jis se body ka temperature kam ho jata ha. Kali mirch ko stomach ke different problems hal karne ke liye use karne ke chand asan tarike darj zel hein:

Black Pepper For Gastritis:
Gastric ke marz ke liye 1 cup water mein half lemon nichor lein. Ab is mein 1 fist kali mirch powder daal dein. Is pani ko khanay ke baad din mein 2 times piyen stomach ko kafi aram milega.

Black Pepper For Digestion:
Agar khana hazam karne mein dair lagti ho to pisi hui kali mirch, sonth ka powder, pisa huwa zeera aur namak barabar ki miqdar mein mix kar lein. Is chooran ko din mein 2 times khane ke baad garam pani ke sath use karein. Stomach khana jaldi hazam karega.

Black Pepper For Gas:
Agar pait mein gas ban jati ho to lassi ki malai hata kar is mein 1 chutki kali mirch aur 1 chutki pisa huwa zeera mila kar pee lein. Iske ilawa khana pakane mein bhi agar red pepper ki black pepper istemal kiya jaye to ye problem kafi had tak hal ho sakta ha. Kali mirch na sirf pait se gas khatam karti ha balke mazeed gas banne se bhi roktiha.

Black Pepper For Stomach:
Pait mein keeray ho jana 1 aam istala ha jise maiday ki bimari mein 1 beemari tasawur kiya jata ha. Aksar bacho ko ye takleef ho jati ha. Ye bari aant mein hona wala 1 aesa infection hota ha jis se khana sahi tarah hazam nahi ho pata jis ke bai's pait mein dard rehne lagta ha. Ye pain raat ke waqt ziyada barh jata ha. Kali mirch pait k keeray ke liye useful ha.

Black Pepper For Diarrhea:
Food poisoning ya vomiting ki shikayat ho to chutki bhr pisi kali mirch 1 chotay spoon butter mein mila kar rakh lein. Is ki thori thori miqdar waqfay waqfay se use karein. Ye nuskha diarrhea patient ke liye faida mand ha.

Black Pepper For Constipation:
Kali mirch ke patient ke liye bhi fayde mand ha. Qabz se nijat hasil karne ke liye khano mein kali mirch ka istemal barhayen.





 


This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Kali Mirch Ke Fayde

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×