Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Izzat ki barat...

pata nahi ye sayad mera last post ho ya kuch aur Kabhi likh paun..... lekin haan ye confirm ho gaya... ki ab Main us ladki ko sayad kabhi na pa sakun kyunki kuch hi mahine baad meri shadi hai aur sabhi kehte hain ki uske baad life main sab change ho jayega... maine bhi finally apne aap ko samjha liya hai ki sayad yahi sahi ho...

kyunki meri lakh koshishon ke baad bhi bhawna ki taraf se koi answer nahi hai vaise bhi vo apne phone number change kar chuka hai, contact ka koi tarika jo bhi maine apna lagbhag pichle 2 saale main khatam ho chuaka hai...

kai baar socha bhi ki ye life hi khatam kar doon jisme ab bacha kya hai... lekin na jaane har baat kyun ek baat mujhe ye karne se rok leti hai ki agar marna hi hai to kuch karke maro.. kisi ne tumhe galat sabit kiya aur tum har kar ja rahe ho mana ki vo nahi mil payegi ab life time but kya main apne aap ko prove nahi kar sakta..

aaj jab me ye likh raha hoon tab bhi mujhe nahi pata ki life ke end tak main kuch kar bhi paunga ya hawa main yoo hin batein bhenkta rahunga... lekin ek yakeen jaroor hai ki apni poori jindagi laga dunga, kabhi rokar kabhi haskar aur agar ek bhi chance mujhe mila to in sabhi logo ko prove karke hi marunga..

ki aisi jhoothi izzat ka aap kya karoge jiska ek word bhi tum marte waqt saath nahi lekar jaoge...

kya karoge aise attitude ka jo kisi ko vapas 1 moka tak nahi deta.....
kya guarantee hai is baat ki ki apni caste main shadi karne par hi aap khush rahoge aur sabse badi baad vo jo bahut badi izzat hai vo aapko bahut khush kar degi..


meri nazar main to khushi in sab factors par mil jaye jaroori nahi, khushi to bina paise greebi main bhi mil jaati, without castism bhi mil jaati hai...

kisi ko 1 chance phir se dekar bhi mil jaati hai...

jab bhi kisi ki death par samsan jaata hoon to sochta hoon kya lekar gaya ye paise, izzat, society main name kuch bhi to nahi...

aur jin logo ki ye parvah kar raha tha 10 minute bhi nahi ruke iske pass...

phir kyun ye sab kiya jata hai izzat ke naam par, sayad is post ke baad 2 batein confirm ho jayegi...


1. Aaj ke baad sayad bhawna kadyan ke baare main kabhi na sochun aur vo sab kuch khatam ho jaye jo maine uske saath jiya ek ek pal, uski mom sanyogi, uske papa veerpal singh, uska bhai arjun kadyan sab....

sab ko sirf or sirf izzat pyari thi..

2. Aur us bhagwan ke samne gidgida kar baar baar use mangna...., mere papa aur bhai aur unka vo izzat ko lekar drama sab kuch khatam ho jayega..


Lekin mera ye question sayad hi kabhi khatam ho paye.. ki aakhir jeet kiski hui pyar ki ya izzat ki..... castism ki ya insaniya ki...


sayad ye jawab liye bager hi main is duniya se chala jaun lekin yakeen hai mujhe kabhi na kabhi koi ye sab padhkar jaroor vapas mudega meri taraf..... kabhi na kabhi kisi ko mujh par yakeen aayega ki 1 galti maaf ki ja sakti thi


par tab tak bahut der ho chuki hogi main sayad life main aage badh chuka hunga ya sayad tab tak rahun bhi ya nahi.....

alvida bhawna..... tere saath bitaya hua ek ek pal vo 6 years mujhe hamesha yaad rahenge, hamesha hamesha.....

aur yakeen rakhna ek din main aayunga us har jagah jahan hum aksar jaate the....


This post first appeared on Pyar Ki Kahaniya-Love Stories, please read the originial post: here

Share the post

Izzat ki barat...

×

Subscribe to Pyar Ki Kahaniya-love Stories

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×