Kabhi kabhi life Main kuch aisi cheezein hoti hai ki insan bilkul samajh hi nahi pata ki ye kya ho raha hai aur aakhir kyun.. Log
Aisa lagta hai ki log bus apni hi kahani mujhe sunana chahte hain aur jab main kuch bolun to log kehte hain sorry yaar hamein kaam hai baad main baat karte hain... sayad vivekanand ji ki baat ek dum sahi hai ki jindagi main ek vichar bana lo aur phir marte jeete usi main raho usi main jiyo usi me maro... sayad mujhe bhi aisa hi kuch karna chahiye main ek pal main koi pyar se bolne lagta hai to sochta hoon kitna apna hai ek pal koi baat karne se mana kar deta hai to sab kuch khatam.
Samajh main nahi aa raha hai ki jindagi ko kis taraf le jaun.... kai baar man karta hai ki ye saari jindagi dusro par luta de aur propkar ke liye ye saari life laga de.. kyunki vaise bhi such pucha jaye to jabardasti ki kuch kamnao ke alawa mere liye kuch bacha bhi nahi hai ek pyar tha mera jo ab sayad jindagi bhar kabhi mujhe na mile aur ab bhagwan maaf kare mujhe but aisa lagta hai ki jabaradasti ka drama hai otherwise life main rakkha bhi kya hai.
Kabhi kabhi bhawna par gussa bhi bahut aata hai ki 1 chance nahi diya mujhe sirf 1 chance, kabhi ek baar sudhane ka moka to deti, aur kabhi lagta hai ki sab jaaton ko maar giraun...par mujhe na jaane kis bebkoof bhagwan ki vo line yaad aa jaati hai ki pyar se sabka hal hota hai nafrat se aaj tak koi nahi jeeta agar koi nahi jeeta to ye kyun jeet rahe hain sab...
kai baar man karta hai ki aaun tere dar aur sir fodkar mar jaun, ki chahe to meri boti boti kar daal lekin ek baar sirf 10 minute ke liye mere pyar ko jitade is castism ko hara deta lekin dusre hi pal khayal aata hai ki kyun peeche pada hai na ab koi pyar karne wala hai or na koi tera bholenath jo teri sunkar aa jayega aur tu hi konsa doodh ka dhula hai ..... Nirasha bhari cheezein main nahi likhna chahta lekin andar ka lava kabhi bhar aata hai aur kehta hai kyun jana chahta hai aakhir tu mandir, kon hai vahan tera use to logo ke aansu dekh kar jyada maza aata hai ki dekho ab aayenge mere pass bheekh mangne aur main aur tadpaunga..
Agar itna maza aata hai to rula is akele baat ke liye lekin main tera bhikhari banne ko taiyaar hoon, aur hoon bhi tere dar ka bhikhari tu ek baar sirf 10 minute ke liye pyar ko jitate phir meri jaan bhi le lena ishar..