Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Amazing Ghazal from Nasir Kazmi

Tags: karte kazmi ajab


 Kya zamaana tha ki hum roz mila Karte they

raat bhar chaand ke humrah phira karte they


Jahan tanhaaiyaan sar phod ke so jaati hain

In makaano mein Ajab log raha karte they


Dekh kar jo hamein chup chaap guzar jaata hai

Kabhi us shakhs se hum pyaar kiye karte they


Kar diya aaj zamaane ne inhein bhi majboor

Kabhi ye log mere dukh ki dava karte they


Ittfaqat-e-zamaana bhi ajab hai Naasir

Aaj wo dekh rahe hain jo suna karte they


Nasir Kazmi



This post first appeared on I Blog Therefore I Am!, please read the originial post: here

Share the post

Amazing Ghazal from Nasir Kazmi

×

Subscribe to I Blog Therefore I Am!

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×