Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Vivah – The Knot Of Love

Weddings are beautiful. They hold a lot of importance and significance in our culture. Just like Christianity follows Vows, our culture encompasses of “7 Vachan“, i.e. 7 promises that a couple makes to prove the love they behold in their hearts whilst taking 7 rounds around fire, symbolising fire as god. Let’s have a look on what they actually mean!

Pehla Vachan

Teerthvratoudhyaapan yagyakarm maya sahev priyavayan kuryah,
Vamangamayami tada tvadiyam braviti vaakyam pratham kumar.

The first promise signifies support. Here, the wife asks her husband for the promise of seeking support. She makes him oath on always keeping aside his hesitation and seeking her involvement in facing all troubles in life together. Be it visiting places, fasting or donating and sacrificing for a better future – the couple should move through and forth these phases together.

Vivah mai yeh kanya dwara var se liya gaya pehla vachan hai. Isme vadhu apne var se kehti hai ki aap jab bhi kabhi tirth yatra par jao, to mujhe apne sath mai lekar chalna. Kisi bhi vrat upvaas ya daan dharm ko aap kare to uski sahbhagi mujhe bhi banana. Yadi aap isd vachan ko swikkar karte hai to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.

Kisi bhi tarah ke dharmik puja path mai pati patni ka hona bahut jaruri mana gaya hai. Iss vachan ke madhyam se patni ki har sthan par sahabhagita batai gayi hai.

Dusra Vachan

Pujyo yatha svau pitaro mamaapi tatheshabhakto nijakarm kuryaah,
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam dvitiyam.

The second promise signifies equal respect. The wife seeks the promise of giving equal love and respect of her husband to her parents like he does to his own. She asks her husband to follow the cultural and mythological norms of marriage and prayer and promises to him, her word of loyalty and lifelong relationship.

Iss dusre vachan ka artha hai ki; patni apne pati se vachan mangti hai aur kehti hai jis tarah aap apne mata pita ka aadar aur samman karte hai. Waise hi aap mere mata pita ka bhi samman karenge. Aur kutumb dharm ka palan karte huye ishvar ki puja karenge. Isi vachan ke sath mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.

Iss vachan ke dwara kanya ki durdrashti ka aabhas hota hai. Iss vachan ko dhyaan rakhte huye var ko kanya ke parivaar ke sath sadvyvhaar karna chahiye.

Teesara Vachan

Jeevanam avasthatray mam paalana kuryaah,
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam tratiyam.

The third promise of marriage is about taking responsibilities. The wife seeks her promise of her husband taking the responsibility of their future and family in all phases of life – good or bad.

Iss teesare vachan ke madhayam se kanya apne pati se vachan mangti hai aur kehti hai ki aap jeevan ki aane wali teeno avashthao mai jaise yuvavastha, praudhavastha, vrdhavastha mai mera aur kutumb ke sath ghar mai rehne wale pashuo ka bhi palan poshan karoge to mai aapki ardhangini banna swikaar karti hu.

Choutha Vachan

Kutumbsampalansarvakary kartu pratigyaan yadi kaatan kuryaah,
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam chaturth.

The fourth promise signifies independence. The wife asks her husband to take full responsibility of his family and its needs. Before getting married, he had been living a dependent life, but now she asks of him to lead an independent life where the sole responsibility of the family’s happiness will lie in the hands of the husband.

Shaadi ke 7 vachano mai se chouthe vachan mai patni apne pati se kehti hai ki abhi tak aap ghar parivaar ki chinta se puri tarah mukt the. Ab jab hum vivah ke bandhan mai bandhne ja rahe hai to bhavishya mai hone wali parivar ki sabhi jarurato ko puri karne ki jimmedari aapke kandhe par hogi. Aap iss vachan ko de to mai aapki ardhangini  banna swikar karti hu.

Iss vachan ke madhaym se patni pati ko uske daitva ka bodh karvati hai. Iss vachan se yeh bhi pata chalta hai ki putra ka vivah tab karna chahiye jab wo apne pairo par khada ho.

Panchva Vachan

Svasaghkarye vyavahaar karmanye vyaye mamapi mantrayetha,
Vamangamayami tada tvadiyam broote vach panchamatr kanya.

The fifth promise signifies consultancy. The wife seeks the promise of considering of her opinion in all matters of the house and work – marriages, business, exchanging gifts and valueables with relatives or other expenditures in day-to-day lives. She asks him to give her thoughts equal preference as his’s.

Panchve phere ka panchva vachan mai patni apne pati se kehti hai ki ghar mai hone wale har vivah, vyvahar , len-den  aamdani aur kharch karte wakt aap meri bhi salah lenge. To mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.

Iss vachan se patni ke adhikaro ka pata chalta hai. Yadi kisi bhi karya ko karne se pehle patni ki salah li jaye to isse patni ka samman badta hai. Aur patni ko apne adhikaro ke prati santushti ka abhhav hota hai.

Chhata Vachan

Na mepmaanaman savidhe sakheenaam dyootan na va druvyasan bhanjashchet,
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam cah shashtha.

The sixth promise signifies privacy, respect and honor. The wife expects her husband to not humiliate or offend her infront of her friends, or any other female. Also, she seeks his promise of not indulging into shady habits or negative peer.

Iss vachan ke jariye kanya kehti hai ki yadi mai apne sakhiyo ke sath ya fir kisi aur bhi parichit stri ke sath bethu to aap waha mera apman nahi karenge.

Iske alawa yadi aap jua aur anya kisi buri sangat se duri banaye rakhege to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu. Yeh vachan har pati ko patni ko dena chahiye.

Satva Vachan

Parastriyan matrsamaan sameekshy sneh sada chinmayi kaatan kurya,
Vamangamayami tada tvadiyam broote vach saptamamatr kanya.

The seventh promise signifies loyalty. The wife seeks the promise of loyalty from her husband, where every woman except her, in his life will mean to be a motherly or sisterly figure to him. Also, that no woman should come in between the two and disrespect their marriage and love in any form. This is the most important promise in the relation of marriage as the stregnth of this relation will rely on what the couple shares and of their loyalty, and will always be vital till the relation survives.

Iss akhari vachan mai patni apne pati se kehti hai ki aap mere alawa har stri ko mata aur behan ke saman samjhoge. Pati patni ke bich ke prem mai kisi aur ko bhagidar nahi banaoge. Sada mujh par hi apna prem banye rakhoge.  Yeh vachan sukhi jeevan ke liye bahut mahtvpurn hai. Iss vachan se keval vartman hi nahi apitu bhavishya bhi sukhdpurn bitega.

Inn vachan ke madhyam se kanya apne aane wale bhavishya ko surkshit rakhne ka prayas karti hai. Wo apne pati se kehti hai ki yadi aap is vachan ka palan karoge to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.

So forth the husband seeks his sole promise of support, loyalty, respect, responsibility and serve his parents out of love and with dignity and allows her to become his life partner.

Iske bad var bhi vadhu se apne liye ek vachan mangta hai, ki tum meri salah lekar chalogi, mere vishvaas ko hamesha banaye rakhogi aur mujhse baat karte samay madhur vachano ka prayog karogi, sath hi ghar parivaar se sambhandhit saari jimedariyo mai mera sath dogi, saas sasur ki seva aur humesha patni-vrat ka palan karte huye ishavar bhakti mai leen rahogi to mai tumhe apne jeevan ka hissa banate huye apni ardhangini hone ka adhikar deta hu.

“Sakha sapta pada bhava

Sakhayau saptapada babhuva

Sakhyante gameyam

Sakhyatte mayosham

Sakhyanme mayoshtha”

Meaning: You have walked seven steps with me; be my friend. We have walked seven steps together; let us be friends. Let me get your friendship. Let me not part from your friendship. May you not part from my friendship.

The post Vivah – The Knot Of Love appeared first on The QuickSearch Blog.



This post first appeared on The QuickSearch, please read the originial post: here

Share the post

Vivah – The Knot Of Love

×

Subscribe to The Quicksearch

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×