Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Introduction Of Seo - Search Engine Optimization

Seo ek aisi take nik hai jis se hum apni site ko search engine per promote kar sakte hai or in search engines se traffic apni website per la sakte hai.
Seo se jab ap apni website ko kisi search engine per promote kerte hai to is se net user apni marzi ki malumaat hasil karte hai.Farz karay k ek shaks mobile price jan'na chahta hai.To wo kisi search engine ( Yahoo, Google, Msn ) me ja kar likhe ga mobile price to us k samne se website ki ek list nikal aye gi.Lekin ager wo pakistan me mobile price maloom karna chahe ga to wo search engine me mobile price in pakistan likhe ga to is se mutalka malumaat is k samne ajaye gi.
Is tarha log boht se key word se b apni zarurat ki cheez ko search karte hai jesa k neeche misaal me bataya gaya hai.

NOKIA MOBILE PRICE IN PAKISTAN
SAMSUNG MOBILE PRICE IN PAKISTAN
MOBILE COMPANIES IN PAKISTAN
Isi tarha her insaan ki koshish hoti hai k wo apni matluba site talaash karay.Or wahaan se apni matluba malumaat hasil kar sake jab sarif search engine me ja k kisi cheez ko search karay or wo us ko mil jaye to dubara b aye ga us site pe mager ainda wo site pe direct jaye ga.Sarif apni matluba malumaat hasil karne k liye different method use karta hai.Or jab us ki matluba cheez us ko mil jaye wo us site ko yad kar leta hai ya phir bookmark kar leta hai.Takay dubara zarurat parhny pe wo dubara us website pe asani se ja sakay.Ye sab batein batane ka maqsad ye hai k sirf key word hi website me ehmiyat nhi rakhte balkay website k content or design b boht ehmiyat k hamil hote hai.Dunya me net user ki ek boht barhi tadaad search engines use karti hai.Jin me se chand manderja zeel hai.


( Google, Yahoo, Msn, Ask etc )

Ab hum is bat ki tarf atay hai k sarif ap ki site per kese ata hai.

╚Sarif search engine k zariye ap ki site per asakta hai.
╚Sarif k kisi friends ne bataya ho to wo ap ki site per asakta hai.
╚Sarif kisi news paper, website, banner ya TV pe advertising dekh k ap ki site pe asakta hai.

Is tarha or b boht zariye hai jin se sarif ap ki site pe asakta hai.Lekin ziyada tar log search engine ka sahara lete hai.Jis ki tadaad kam se kam 80% se ziyada hai.Kyu k sarif search engine ko ziyada ehmiyat deta hai.Or wahaan se website ko talaash kar k sarif website pe apne matluba mawaad ki talaash me pohch jata hai.

Ap ko maloom hoga k ek site ki ranking jitni barhti jaye gi.Wo site google me phele page pe ajaye gi .Me koshish karu ga k ap ko SEO ki asaan take nik bataon takay ap apni website ko search engine me top pe laa sakay.

TITLE TAG

Title tag ap k HTML page k sab se uper likha jata hai ye title hi Search Engine ko batata hai k ap ki site me kya mawaad hai.Jab ap browser me koi page kholte hai to yehi wo alfaaz hote hai jo screen me sab se uper title bar me nazar atay hai ager ap chahte hai k ye google me pura nazar aye to in alfaaz me 64 hurf hon.Title tag is tarha likha jata hai.

<title>Your Web Site Title</title> 

META DESCRIBTION TAG

Ye tag hi ap k web page ko bayan karta hai.Ye meta tag ap k page k sath her Search engine pe dikhai dega.Is tag k liye ap ko ache or asaan alfaaz use karne honge.Jo k takreeban 225 alfaaz per mushtamil ho.Ap is me is bat ka dihaan rakhe k alfaaz spam na ho.Ap key words ko 2 se ziyada dafa na likhe kuch different alfaaz se b madad li ja sakti hai.

ANCHOR TAG  OR URL 

Anchor tag websites me link lagane k kaam ata hai.Is tag me ap ka title or kuch main key words hona lazmi hai.Anchor tag underline or click-able hona lazmi hai jese k.

<a href="file name title"=keyword here"></a>

╚BACK LINK TALAASH KARNA
Hight ranking ki kamyabi ka raaz mutalka ki quality achi honi chahye.Boht se mahireen ka khena hai k ap ko main key word anchor tag me b likhne chahye.Ager ap apni site k back link maloom karna chahte hai to google search me ja kar ye likhe.

link:www.yoururl.com

Is link se google ap ko wo tamaam back link dega jo ap website me mojood hai.Google ap ko saray back link nhi dega.Is liye ap ko mazeed link yahoo pe ja kar search karne honge yahoo search me ja kar ye likhe.

linkdomain:www.yoururl.com

INDEX PAGE CHECK KARNA

Ap ko ye jan'na b zaruri hai k ap ki website k link kis tarteeb se nazar atay hai.Ye b dekh le k koi title ya wazahaat kisi page se gayab to nhi.Ager ap ye dekhna chahte hai k ap ki website k total kitne index google pe nazar atay hai to google search me ja kar ye likhe.

site:www.yoururl.com

GOOGLE HISTORY CHECK KARNA

Ap google history b dekh sakte hai.Is history me ap dekh sakte hai k google ne last time kab or kitni bar ap site ko search kiya.History dekhne k liye google search me ja kar ye likhe.

cache:www.yoururl.com 
  

MUSHTARKA KEY WORD TALAASH KARNA

Mushtarka key word internet ka dil hota hai.Bas ap ko is bat ki tasdeeq honi chahye k ap k main key word meta tag me b likhe ho 

To be Continue....


This post first appeared on ADSENSE AND SEO TRAINING IN URDU, please read the originial post: here

Share the post

Introduction Of Seo - Search Engine Optimization

×

Subscribe to Adsense And Seo Training In Urdu

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×