Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Aadhar Card Ko Bank Account Or Mobile Number Se De Link Kaise Kare

Hello dosto aaj main aaapko bataunga ki aadhar card ko Bank Account or mobile number se de link kaise kare. bahut se log aise hai jin hone na chahte hue bhi aapne bank account se aadhar card ko link kiya tha. par ab aisa karne ki jarurt nahi hai. ab agar aap nahi chahte to aap aapne aadhar card se bank account or Mobile sim de link kar sakte hai. agar aapne bhi apna aadhar card bank se link kar sakha hai or aap de-link karna chahte hai to aaj main aapko is post mai bataunga ki aadhar card ko bank account or mobile number ko de link kaise kare.

Bahut dino se supreme court mai is bare mai baat ho rahe thi ki adhar card link karna jaruri hai ya nahi. but supreme court ne final disicion liya hai or ya saaf saaf order diye hai ki ahdr card ko bank se or mobile sim se link karna jaruri nahi hai. or agar aapne link kar rakha hai to aap chahe to aap aadhar card ko bank account or mobile number se de link kar sakte hai.

Aadhar card ko bank account or mobile number se de link karne ka sabs bada fayda un logo ko hai jinhone abhi tak apne bank account se adhar card link nahi kiya tha. jin logo ne apne mobile sim se adhar card link nahi kiya tha. but jo log aadhar card ko bank account or mobile number se link kar chuke hai unka kya hoga ?

aadhar card ko bank se de link karne ke liye  ya mobile sim se de link karne ke liye aapko, aapke bank, e-wallet ya fir mobile sim operator ki official website par jana hoga.

ab aap ko my profile ke option par click karna hoga. or fir aapko de link karne ka option mil jayega. jaise hi aapka bank account ya sim de link hogi, aapke pass ek sms aa jayga.

ho sakta hai ki aapko bank ne abi aadhar card ko bank se de link karna ka option add na kiya ho. to aise mai aapk bank branch mai jakar apna account de link karwa sakte. account de link karne ke liye aapko ek form bharna hoga.

Jab aap de link ka form bhar ke bank mai jama karenge to aapn bank se receipt lena na bhule or receipt par dekh le ki bank ki stamp lagi hue hai ya nahi.

Chahiye ab main aapko batata hu ki aadhar card ko bank account se de link karne ka form kaise bhare. apko bank mai jakar adhar de link form lena hai. or kaise is form ko fill karna hai chaliye jante hai.

Aadhar card De-Link Form Kaise Bhare

Date : –/–/—-

Branch Manager : ……….

Bank ka naam : ……….

Address : ……..

Subject : Supreme court ke order ke according mere bank account/mobile number/e-wallet se aadhar number ko de link kiya jaye.

Bank account number/mobile number/e-wallet number…..

Ab aap apna msg likh sakte hai. msg mai aap apne aadhar card ko bank account or mobile number se de link kyu kare is bare mai likh sakte ho. isme aapko jyada detail nahi deni hai. bus aadhar number ko bank account or mobile number se de link karne ke bare mai kahna hai.

Aadhar card ko bank account or mobile number se de link karne ke liye call center se bhi baat kar sakte hai.

Aadhar card ko bank account or mobile number se de link karne ke liye aap bank call center ya fir sim operator call center se call karke bhi delink ke liye baat kar sakte hai. ya de link karne ke liye email bhi kar sakte hai.

chaliye ab main aapko batat hu ki aapko kis kis chez ke liye aadhar card dene ki jarurt nahi hai. supreme court ke order ke according adhar card link karna ya na karna ab aapke liye optional option hai. agar aap chahe to link kar sakte hai or aap chahe to de link kar sakte hai.

Kin Chizo Ke Liye Aadhar Card jaruri Nahi
Salary
Pension
Passport
Admission
Bank Account
Stock Dealing
Providend Fund
Jan Dhan Account
Mobile Number Verification

Chaliye ab main aapko batat hu ki aadhar card ki jarurt kaha hogi.

Kin Kin Chizo Ke Liye Aadhar Card Link Karne KI Jarurt Hai
IT return file karne ke liye aadhar card jaruri hai.
Government scheme ke liye adhar card jaruri hai. taki aapko subsidy milti rahe.
Pan card banawane ke liye aadhar card jaruri hai. or fir pan card ko adhar card se link karna bhi jaruri hai.

To dosto main umeed karta hu ki aapko pata chal gaya hoga ki aadhar card ko bank account or mobile number se de link kaise kare. aadhar card de link karna bahut asaan hai. agar aapko kuch puchna hai to comment kar sakte hai.



This post first appeared on NEERAJWIKI, please read the originial post: here

Share the post

Aadhar Card Ko Bank Account Or Mobile Number Se De Link Kaise Kare

×

Subscribe to Neerajwiki

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×