Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

India's top 10 populated cities 2017 in hindi

India ek developing country he jiski Population karib 1,336,286,256 [ 1.3 billion ] he. Jo ki duniya ki dusri sabse badi population he . India se pahle china aata he . India ki population world ki population ka 18% he . Bharat ke lakho - croro log abhi bhi gaanvo me rahte he. Ye log bade bade cities me job ke liye aate he.

Aaj me aapko bhart ke 10 sabse aabadi wale cities ke bare me batane ja raha hu.

The top 10 most populated cities in india.


1.  MUMBAI
2.  DELHI
3.   BENGALURU
4.   HYDERABAD
5.   CHENNAI
6.   AHMDABAD
7.   PUNE
8.   SURAT
9.   KOLKATA
10.  JAIPUR


10.   JAIPUR :-






Jaipur rajsthan ki rajdhani he . Yaha ki population karib 3,441,816 he. Ye bharta ka 10 va sabse adhik aabadi wala shahar he . Jaipur apne history ke liye mashhur he.


9.  KOLKATA  :-




Kolkata west bengal ki rajdhani he. Kolkata eastern india ka commercial aur bussiness hub he . Yaha par kai industrial sector aur  IT sector he . Kolkata British raj me india ki rajdhani thi baad me delhi ko indiya ki rajdhani banai gai .


8.  SURAT :-




Surat ki population 6,043,737 he jo ki india ki 8 vi sabse adhik abadi wali citi he. Surat bharat ki clean cities me se ek he. Surat bharat ka ek bada business hub he . Surat india ki 2017 me 4th sabse tezi se develop hone wali citi he.


7.   PUNE  :-




Pune ko manufacturing aur automobile industries ke taur par bhi jana jata he . Iski population 60 lakh se bhi jyada he.

6.  AHMDABAD :-




Ahmdabad gujarat ki rajdhani he . Iski kul aabadi 8 million he . Yaha ke log trade business man ke rup me jane jate he. Ye city bharat ki tezi se badti hui economy he.

5.  Chennai :-




Chennai tamilnadu ki capital he iski abadi 8.2 million he, ye ek bada business hub he .

4.   HYDERABAD :-




Hyderabad , india ki 4 thi sabse jyada aabadi wali citi he . Jiski aabadi 8.7 million he . Yeh india ka sabse bada IT ( information and technology ) hub he . Yaha duniya ki badi se badi companiya jaise google , Microsoft mojud he.

3.   Bengaluru :-







Bengaluru , karnataka state ki capital he , yaha kai bade educational institutions , factories he . Yaha kai log rojgar ke liye aate he . Iski population 1 crore se bhi uper he . Bengaluru ka world population me 22 va sthan he .

2.   DELHI :-




Delhi india ki rajdhani he. Delhi ki population 1 crore se bhi jyada he . Ye bhart ki dusri sabse jyada aabadi wali city he .


1.   MUMBAI  :-




Mumbai maharashtra ki capital he , iske alawa ye india ki economical capital bhi he. Mumbai ki total aabadi 1.2 crore he . Mumbai duniya ki 5 vi sabse badi city he . Mumbai india economy ka 6.16 % he .

Ye india ki top 10 most populated cities in 2017 the.






This post first appeared on Hindifire - Blogging, SEO, please read the originial post: here

Share the post

India's top 10 populated cities 2017 in hindi

×

Subscribe to Hindifire - Blogging, Seo

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×