Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Meri Dastaan Sunana by Zakir Khan

Mera sab Bura Bhi Kahna par Accha Bhi Sab batana,

Mai jab jau is duniya se to Meri Dastaan Sunana.

Ye bhi batana ki kaise samundar jeetne se phle mai hazaaro baar choti choti nadiyo se hara tha.

Wo ghar wo zameen dikhana,koi magroor jo khe to shuruwat meri jarur batana,

batana safar ki dushwariya meri, taki koi jo meri jaisi zameen se aaye

uske liye nadi ki jhaar humesha choti hi rahe aur samunder jitne khwab unki aankho se kabhi jaye nhi.

Par unse meri galtiya bhi mat chupana, koi puche to bta dena ki kis darje ka nakara tha mai.

Kah dena jhootha tha main,batana kaise jaroorat pe kaam na aa saka ,vaade to kiye par nibha na saka,

intkaam saare pure kiye par kuch ishq adhure rahne diye.

Bta dena sabko ki main matlabi bada tha, har bade makaam pe tanha hi khada tha.

Mera sab bura bhi kahna, accha bhi sab btana

Main jab jau is duniya se to meri dastaan sunana…

.

.

By Stand up comedian Zakir Khan

I saw a video in which Zakir poured out heart on story since from his struggling days  at Mehfil of Spoken 2017  where he recited this poetry telling how he want people to remember him after he leave this world and it touched my soul.

For people those who can’t understand  Hindi, I would apologize for not translating the deep emotions….



This post first appeared on Writings By Payal Tyagi, please read the originial post: here

Share the post

Meri Dastaan Sunana by Zakir Khan

×

Subscribe to Writings By Payal Tyagi

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×