Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Facebook Par Fake ID Ka Pata Kaise Lagaye In Hindi

Facebook Par Fake ID Ka Pata Kaise Lagaye In Hindi






Hello Friends Aaj ka Hamara post hai Facebook par fake id ka kaise pata kare..


Aajka hamara ye post hai Facebook pe ham fake id ko kaise pata kare uske bare me sikhenge.

Aajke jamane me facebook duniya ka sabse popular Social networking site hai, jahapar Har roj karodo new account Create hote hai par kya pata koi account asli hai ya nakli, kai sare accounts asli bante hai to kai sare account nakli.


Facebook par 1 million se bhi jyada log Daily use karte hai, Apne dosto se, Restedaro se baat karne ke liye par Facebook ked ware Jari kiye gye reports ke mutabit Facebook me 50% se jyada face profiles hai aur Ise  5 milion facebook accounts ko fake user handle karte hai.

Aur isme Sabse jyada Matlab ki 90%  Ladkiyo ke name se hi Accounts Hote hai.

To aaiye kuch Yese tarike dekhte hai jisse ki Ham pata laga sake ke Ye profile Asli hai ya Nakli.


Kitne Friends hai Vo dekhe.


Jyadatar Ham dekhte hai ki Fake account hota hai to usme ek normal accounts ke mukable jyada friends hote hai, Fake Profile par kuch anjan Dost banake Uski Personal Details Nikal Lete hai Aur Uska Galat istemal karte hai Jaie ki Atm ka password yato koi aur password aur Uska Galat Istemal karenge.



Status And Profile Pictures Par Dhyan de.

Man lijiye Ki Fake id hai to Iska matlab ki Profile picture bhi fake hogi, Aapko uske profile picture par dhyan dena hai aur dekhna hai ki uski profile me sirf ek hi picture hai agar ha ek picture hai to aapko samaj jana hai ki ye profile fake hai, yato fir Agar koi ladki ke name se profile hai aur usme picture me alag alag Bollywood ki actress ki profile hogi ya to koi aur par aapko sirf ye hi dhyan dena hai ki usme jo potos me face hai vohi face sab profile me hai aapko ye baat ka khas dhyan rakhna hai.


Profile ki Proper Details Check kare.


Koi bhi ID ka Request Aaaye aapke account par to use turant Accept na kare Sabse pehle dhyan de Accont ki details ke bare me ki uski Contact list dekhe, matlab ki About page dekhe. Agar aapko sabkuch sahi lage to aap Uski Request Accept kare.


Female Profile.


Ek jahir si baat hai ki Fake profile jyadatar female ki hi hoti hai, Uske Profile me dekhe agar Male hi Jyada friends list me hai to aapko pata chal jana chahiye ki ye profile fake hai.



Account Details.


Aapko fake id hai ki nahi uska pata lagane ke liye aapko uske accounts ki puri details check karni padegi, sabse pehle aap profile me jaye aur dekhe ki normal information ke hisab se kuch jyada badha chadhke information de gyi hai to man ljiye ki ye profile 90% fake hai.



Jise aap jante nahi uski Request kabhi bhi Accept na kare.



Aapko ek baat ka dhyan rakhna hai ki Aap sirf aapke dost, aapke restedar, ki hi request accept kare jise aap jante hi nahi uski request accept karne se bache.



Celebrity ke name ka account.



Agar aapke account me koi celebrity ke name se Friend Request aati hai to aap Jitna jaldi ho sake us id ki report facebook ko kare kyu ki Celebrity kabhi bhi koi Anjane logo ko request nahi bhejte.



Profile ke user name pe dhyan de.



Aapne Facebook par Aapke account ki link to dekhi hi hogi, Kabhi kabar fake id banana vale log Profile ka User name Change karna bhul jate hai, Isse aap fake id hai ki nahi uska pata laga sakte hai.



Ok dosto aapko abhi Pata to chal gya hoga ki kaise ham facebook ki fake id ko pehchan sakte hai.par agar aapko pata chale ki ye fake id hai to aapko uski report turant facebook ko kar deni chahiye.
To chaliye jante hai ki facebook par fake id ki report kaise kare.

Facebook par fake id ki report kaise kare.


Koi bhi Profile ki Report karne ke liye Sabse pehle aapko Us Profile ki Timeline ko open kare aur uske baad next step me aapko uske Covewr photo me click karna hai, vaha par aapko report ka option mil jayega, vaha se aap koi bhi account ki report kar sakte ho, jaise hi ham profile ki report karenge vaise hi facebook us profile ki puri Details search karega, aur facebook ko lagega ki is profile me kuch galat hai to facebook turant us profile ko Bandh kardega.


To abhi aapko pata chal gya hoga ki fake id se kaise bach sakte hai, aapko jaise hi kuch gadbad lage to aap direct facebook ko report kare. Aur ha ek baat ka dhyan rakhe ki kisi ko bhi apni personal details share nahi kare.





To dosto aapko ye post kaisa laga, aap hame comment karke jarur bataye.

Aur is post ko apne friends ko jarur share kare.


This post first appeared on SupportMeYaar, please read the originial post: here

Share the post

Facebook Par Fake ID Ka Pata Kaise Lagaye In Hindi

×

Subscribe to Supportmeyaar

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×