Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Adobe Photoshop Me Crop Tool Ka Use Kaise Kare

Adobe photoshop me Crop Tool ka use kaise karte hai iss photoshop tutorial me aaj hum janenge. Other photoshop tools ki tarah hi crop tool bhi ek bahut hi useful tool hai.

Agar aap adobe photoshop ke crop tool ki puri jankari chahte hai to iss post ko dhyan se padhe. Aur niche bataye gaye crop tool ko use karne ke steps ko follow kare.

  • Passport Size Photo Kaise Banaye Photoshop Ki Help Se
  • PhotoShop Se Photo Ka Background Kaise Change Kare

Crop Tool Kya Hai

Adobe photoshop toolbox me crop tool third number par located hota hai. Crop tool ki help se hum kisi image ke perticular area ko select Kar Sakte Hai. Aur selection ke outside area ko discard kar sakte hai.

Dusre selection tools ki tarah hi crop tool bhi ek selection tool hai. Aur crop tool ka use photo ke kisi part ko select karne ke liye kiya jata hai. Aur selected part ke alawa baki bacha hua part aap remove kar sakte hai.

  • Adobe Photoshop Me Marquee Tool Ka Use Kaise Kare
  • Photoshop Me Move Tool Ka Use Kaise Kare

Adobe Photoshop Me Crop Tool Ka Use Kaise Kare / How to Use Crop Tool in Adobe Photoshop

Dusre photoshop tools ki tarah hi crop tool ka use karna bahut hi aasan hai. Aur photo ke kisi bhi area ko iss tool ki help se easily select kiya ja sakta hai. Crop tool ka istemal kaise karte hai puri jankari ke liye niche diye easy steps ko follow kare.

Step 1

Sabse pehle adobe photoshop ko open kare aur ek photo ko select kare. Photo select karne ke liye aap Ctrl+O button press karke photo select kar sakte hai.

Step 2

Adopt photoshop me photo open ho jane ke baad. Left side me photoshop tools me se crop tool ko select karna hai aur photo ka jitna part aap select karna chahte hai usse selcect karna hai.

  1. Photoshop tools box me crop tool par click kare.
  2. Ab mouse se selection ke starting point par click hold karte huye end point par click chhod dijiye.

Step 3

Photo ka jitna part hume select karna tha vo ho chuka hai. Ab keyboard se Enter button press kare.

Jaise hi aap enter button press karenge aap dekhenge ki jitna part aapne select kiya tha. Sirf utna hi part select hua hai aur baki ka outside area remove ho chuka hai. Issi tarah se aap adobe photoshop me crop tool ka use kar sakte hai. Aur photo ya kisi bhi image ke kisi perticular area ya kisi part ko easily select kar sakte hai.

  • Adobe Photoshop Me Lasso Tool Ka Use Kaise Kare
  • Magic Wand Tool Ka Use Kaise Kare

I hope ab aap samajh gaye honge ki adopbe photoshop me crop tool ka istemal kaise kiya jata hai. Agar aapka crop tool se related koi suggestion ho to comment box me de sakte hai. Aur agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.

The post Adobe Photoshop Me Crop Tool Ka Use Kaise Kare appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Adobe Photoshop Me Crop Tool Ka Use Kaise Kare

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×