Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Gmail User Id Change Kaise Kare In Hindi

Tags: gmail kare kaise

Hello friends, Gmail user id change kaise karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Internet use karne wale lagbhag sabhi logo ka gmail account hoga. Gmail signup karte time hume username select karna padta hai ye to aap acchi tarah se janate hi honge. Bahut se log starting me apna primary user name apne nick name se create karte hai. Aur baad me apna full name update karne ke liye. Ya phir koi spelling mistake ko sudharne ke liye vo isse change karna chahte hai.

Agar aap bhi apna primary username change karna chahte hai aur nahi janate ki gmail username ko change kaise karte hai. To aap sahi jagah par hai yahapar mein aapko gmail user name ko change karne ke do method bataunga. Inn do tariko ki help se aap easily apna gmail user id change kar sakte hai to chaliye start karte hai.

Gmail User Id Change Kaise Kare In Hindi

  • Google Me Copyright Free Images Ko Check Aur Download Kaise Kare
  • Kaise Pata Kare Google Me Abtak Kya Search Kiya Hai Complete History
  • Google Account Ko Delete Kaise Kare
  • Gmail Account Ko Delete Kaise Kare

Method #1

Step 1

Gmail user id change karne ke liye sabse pehle apne gmail account me login kijiye.

  1. Setting icon par click kare.
  2. Settings par click kare.

Step 2
Ab next window me aap gmail ki general setting me pahuch jayenge. Gmail user id change karne ke liye niche steps follow kare.

  1. Accounts and Import section me click kare.
  2. Edit info link par click kare.

Step 3

Ab ek popup window open hogi, yahapar aapko apni gmail user id change karne ke liye option show hoga.

  1. New user name ke tick box me tick kare.
  2. Box me apna new gmail user name enter kare.
  3. Save changes button par click kar dijiye.

Lijiye ab aapki gmail user id change ho gayi hai, issi tarah se aap gmail me apna user name change kar sakte hai. Wapas accounts and import setting me aap dekh sakte hai ki pehle gmail user name Ramesh Singh tha jo ab change hokar R S Rawat ho chuka hai.

  • Delete Huye Gmail Account Ko Recover Kaise Kare
  • Google Plus Par Account Kaise Banaye
  • Google Adwords Me Account Kaise Banaye
  • Kisi Bhi Website Ka Font Style Kaise Check Kare

Method #2

Step 1

Sabse pehle apne gmail account me login kare aur myaccount.google.com ki site me jaye. Yahapar your personal info link par click kare.

Step 2

Next window me aap apne personal information page par pahuch jaoge. yahapar apne gmail user name par click kare.

Step 3

Ab next page me aapke google name ko edit karne kar option aayega. Yahapar pencil ke icon par click kare.

Step 4

Ab ek popup box khulega jisme aapka old gmail user name hoga. Isme apna old name remove kare aur new gmail name enter kijiye.

  1. Apna first aur last name enter kare.
  2. Done button par click kare.

Lijiye ab aapki gmail user id change ho gayi hai. Issi tarah se aap second method ki help se bhi apna gmail user name change kar sakte hai.

Dosto ab aap samajh hi gaye honge ki gmail user id change kaise karte hai. Ummeed karta hu ki aapko ye article pasand aaya hoga. Phir bhi agar aapka koi saval ho ya koi sujhav dena chahte hai to comment jarur kare. Aur agar aapko ye article helpful lag raha ho to please isse social sites par apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

The post Gmail User Id Change Kaise Kare In Hindi appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Gmail User Id Change Kaise Kare In Hindi

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×