Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare In Hindi

Election commission of india dwara jaari kiya gaya Voter id card aapka pehchan patra hai. Election ke time ye humari identity proof hota hai aur isko issue karne ka main purpose bhi yahi tha. Voter id card aur bhi bahut se work ke liye identity proof ke liye use hota hai. Isliye isme di gayi detail ka sahi hona bahut jaruri hai. Agar koi galat information card me hai to aap usme online sudhar kar sakte hai. Agar aap nahi janate ki voter id card me online correction kaise karte hai, to iss post ko dhanyn se padhe.

Aapko naya sim card kharidna hai, government documents submit karna ho ya passport banwana hai. Inn sabhi kaamo me identify proof ke liye voter id card ka use hota hai. Isliye voter card (matdata pehchan patra) ki kya importance hai, ye aap acchi tarah se janate honge.

Agar aapko nahi pata ki voter id card me apna name, address, age kaise change karte hai. Ya phir aap nahi janate ki voter id card me gender, photograph, card number or mother/father name kaise change karte hai. To iski jaankari mein aapko iss article me batane jaa raha hu.

Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare

Matdata pehchan patra (voter id card) me koi bhi badlav karna bahut simple hai. Apne voter card ki koi bhi jaankari change karne ke liye niche diye steps ko follow Kare.

  • PAN Card Kya Hai Aur PAN Card Ke Liye Online Apply Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle online voter registration ki official site par jaye. Iske liye National Voters Services Portal ke iss link par click kare. Thoda scroll down kare aur Correction of entries in electoral roll tab par click kare.

  • Paytm Kya Hai Aur Paytm Ke Account Kaise Banaye

Step 2

Ab agle page me aapke samne kuch options open honge. Jisme voter id card ke liye 5 alag alag form type dekh sakte hai. Iske samne form description me kaunsa form kisliye hai iski detail di gayi hai. Voter id card se related form kis tarike se bharna hai, form filling instruction me pdf file ko open karke dekh sakte hai.

Election voter id card (matdata card) card me badlav karne ke liye 4th option Form 8 par click kare.

  • Chori Hone Par Apne Mobile Phone Ke Data Ko Remotely Delete Kaise Kare

Step 3

Form 8 par click karte hi ek form open hoga, Isme voter id card me change karne se related sabhi jaruri jaankari bhare. Form bharne se pehle apna voter id card apne paas rakh lijiye.

  1. Apna electoral registration state select kare.
  2. Constituency select kare.
  3. Apna pura name bhare.
  4. Electoral roll ka part number aur uss part ka seriel number enter kare. Inn dono numbers ki detail aapko election commission ki official website me milegi.
  5. Apna gender select kare.
  6. Current year ki 1 january ko aapki age kya hai, Iske liye year aur month select kare.
  7. Agar aapko apni date of birth yaad hai to yaha bhare. Aur 1 january ko aapki age kya hai isse ignore kar dijiye.
  8. Father’s/Mother’s/Husband’s kisi ek ka pura name enter kare.
  9. Father’s/Mother’s/Husband’s me jiss name ko bhara hai, unse reletion select kare.

Thoda scroll down kare aur niche di gayi detail bhare.

  1. Apna pura residence address bhare.
  2. Eletoral photo identiry card (photo pehchan patra) ki detail bhare.
  3. Supporting documents upload kare.
  4. Name, address, age, card number, gender, photograph. Ya mother father name change karne ke liye related tick box me tick kare.
  5. Apna place, mobile number, email id aur date enter kare.
  6. Submit button par click kar dijiye.

Lijiye submit button par click karte hi aapka form submit ho jayega. Voter id card me changes update hote hi aapki email id or phone number par notification bhej diya jayega. Track application status par click karke voter id card me changes ki jaankari kisi bhi time check kar sakte hai.

Ye Bhi Padhe

  • Advance Excel Ki Jaankari Hindi Me
  • Adobe Photoshop Ki Jaankari Hindi Tutorial
  • Online Paise Kaise Kamaye
  • Facebook Ki Jaankari
  • Twitter Ke Bare me Jane
  • Youtube Ki Jaankari

I hope, aap samajh gaye honge ki voter id card me online correction kaise kiya jata hai. Phir bhi aapko koi saval ho to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye jaankari helpful lage to isse social media me share jarur kare.

The post Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare In Hindi appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare In Hindi

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×