Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Email account ko hack hone se bachane ke liye 6 best tips


Aaj ke digitel duniya me bhuat se logo ke paas Email Account hai. agar aap android smartphone use karte hai to aap ke pas bhi hoga. email id istemaal ka internet par lag -bhag har jagah par hota hai. phir hum uski safety par dhayan nahi dete hai. bas ek baar email account banake koi acha sa password dene se aapka email account safe nahi rahega. kuch din pahle ki baat hai, aapne bhi news me dekha ya padha hoga. ki 71 million email account hacker ne hack kar liya hai. email account hack karne ke baad hackero ne ise internet par leak kar diya hai. isme victim ka email address, password, aur uska phone number, aur unke importent mail etc leak kiya gaya hai. agar aapka email account hack ho gaya hai to is post ko padhkar aasani se check kar sakte hai. kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi kaise pata kare.










Mai nahi chahata ki aap me se ab koi hackers ka shikaar bane. isliye mai aapko apna email account secure rakhe ke liye kuch tips batane wala ho aap in tips ko follow karke apne email id ko safe rakh sakte hai.



Apna Email Account kaise secure kare.

Email account karne ke liye mai aapko 6 tips batane wala ho. Aur saath me ek fake email ka screensht bhi dikhane wala ho. aap in tips ko ache se padhe aur isko follow kare.

1 - dual security option on kare.
Aap apna email account ko secure rakhane ke liye dual security system ke option ko on kare. isko on karne se aap jab bhi apne account me login karege, to ek message aapko mobile par bheja jayega. jisme me ek code hoga ye code jab aap apne login account me inter karge. tab jake aapka account open hoga.  


2 - apna password regularly change kare.
Aap apne email account ka password 3 se 6 mahine ke ander change kar dena chahiye. aksar hum apna email account banane ke time jo password dalne hai. phir usko salo saal change nahi karte hai. ye aapke liye dangerous sabit ho sakta hai. isiliye aap apna password regularly change karte rehna chahiye.


3 - dusro ka pc mobile use na kare.
ek galati hum baar - baar karte hai. hum apna email account kisi anjaan ya apne dost aur ristedaar ke pc ya mobile me open karte hai. bhuat se log to isse bhi badi galati karte hai. ye apna email id ya dusra login id kisi Cyber cafes, libraries ya office me open karte hai. dhayan rahe ye galati aapke liye dangerous sabit ho sakta hai.



4 - Unknown mails open na kare.
Internet par bhuat se chor aur thag hai. jo aapko apne jaal me phasane ke liye tarah - tarah ka lalach dete hai. isliye aap koi bhi anjana mail ko open na kare. kyuki isme virus hone ke jada chances hota hai. in mails ko bas open kar dene se se aapka account hack ho jayega. ek baar aapka account hack hone ke baad ye aapki sari jankariya chura lega.

Mere email id par ye mail 1 saal pahle aaya tha. wo mai aapko dikhana deta ho. taaki aap kisi ke chikni chupdi baato na aa jaye.

 












Aap is mail ko ache se kud padh lo. dehkiye isme stella naam ki ladki ne mujhse kya - kya maga hai. usne mera naam, house address, occupation, identity, age, telephone mumber. uska maga huya sabhi jankari dene ke baad ye mujhe 4.5 million us dollars ka patner banne ka offer de rahi hai. kya ye biswas karne layak hai. comment karke jarur bataye.




5 - Free wifi ka use na kare.
maine pahle bhi kai posts me public wifi yani free wifi ka use nahi karne ke bare bataya hai. abhi fir ek baar bata deta ho. free wifi me hacker apna jaal laga ke rakhata jaise hi aap wifi se connect hote hai. wo aapko hack kar leta hai. yesa sabhi free wifi me nahi hota hai. phir bhi aapko alert rahne ki jarurat hai.





6 - Antivirus ka use kare.

Apne pc ya laptop me antivirus ka istemaal jarur kare. aur ise regularly scan aur update karte rehna chahiye. isse aapke laptop aur pc me virus nahi aayega.   


Gmail se related in posts ko bhi jarur padhe:

Gmail se photos aur jaruri docoments kaise bheje.
Ek acha Email likhne ke liye 5 jaruri tips
Gmail par new Email account kaise banaye.


I hope aap in tips ko follow karke apne Email account ko hack hone se bacha lenge. aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataye. aur is post ko share karna mat bhule.



Ise bhi padhe:
mobile ka internet data save karne ke 5 best tarikaa.
6 Amazing Websites Jiske bare me nahi jaante hoge
phone kharidne se pehle 10 baato ka rakhe dhayan.
mobile hang hone se rokane ke liye 6 best tarike.
developer option android phone me kaise enable kare.


This post first appeared on Latest Tech Gyan, please read the originial post: here

Share the post

Email account ko hack hone se bachane ke liye 6 best tips

×

Subscribe to Latest Tech Gyan

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×