Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Wooplr me online product sell karwa kar paise kaise kamaye - Open store

Wooplr se product sell karwa kar online paise kaise kamaye? Internet ki duniya me log sirf Facebook, WhatsApp me apna time waste nahi kar rahe, log internet ka sahi upyog kar online jobs karke 50000Rs se jyada monthly earn kar rahe hai. Agar aap bhi online paise kamana chahte hai, ghar baithe hi apna store open kar product sell karwana chahte hai to ye post aapke liye hai. Is post ke through mai aapse ek aise tarika share karne wala hu jisse aap ghar baithe paise kama Sakte Hai. Ye tarika bilkul naya hone wala hai. Kyoki abhi tak kisi ne is type ka post publish nahi kiya hai. Ye tarika hai Wooplr me ek store bana kar product sell karne wala hai. Jaise Amazaon ki affiliate programs hota hai.

Pichhli post me humne Bina number save kiye WhatsApp me message karna sikhe the. Is post me online paise kamane ke best way ko cover karunga.
So..

How to make money from wooplr online store?


Pahle baat karte hai
Wooplr kya hai?, what is wooplr
Wooplr ek e-commerce service hai jiski shuruwat Arjun Zacharia, Ankit Sabharwal aur kuch members dwara Bangalore Karnataka me hua tha Wooplr ek aisi e-commerce website hai ya ek aisa online store hai jisme bahut se wearing products hai jaise shoes, T-shirt, pants, Shirt, men and women dono ke liye. Jisko sell karwane par aapko commission milta hai. Samjha jaye to ye bhi ek type ka online shopping ka place hai jaise Amazon flipkart hai. But isme abhi utna product available nahi hai jitna Amazon etc me hai. aapne kabhi amazon ya flipkart ke affiliates ke bare me suna hoga wooplr bhi same hi hai. Amazon affiliate me work karne ke liye website me achchi traffic ka hona zaruri rahta hai, approval process rahta hai. but wooplr me aisa nahi hai. Direct register kar product apne store me add karke link kahi bhi share kar sakte hai. news website, virul blog, movie site k liye ye ek achcha option ho sakta hai kyoki aise blog me AdSense approve nahi hai.

Wooplr se paise kamane ke liye kuch requirement:
1. PC/Laptop/Smartphone - Aap is service ko easily PC laptop ya Android mobile se use kar sakte hai.
2. Traffic - Agar aap achcha income karna chahte hai to traffic ka hona bahut zaruri hai. (Traffic ka matlab aapke website me visitor ya facebook me friend/fb page me likes.) Aapke pass ya to website hona chahiye ya facebook me bahut se friend/group ya facebook page.
3. PAN card/Paytm account - payment ke time apna income direct bank me transfer karana chahte hai to PAN card/bank details etc nahi ho to paytm account hona zaruri hai.
Itni chize aapke pass hai to niche diye steps ko follow kar register karen.
1. Wooplr ki website www.wooplr.com me jayen. Click here
2. Signup button me click karen.(yaha se sign up karne par 50Rs ka bonus milega.
3. New account banane ke liye form fill karen. Facebook ya gmail se bhi account bana sakte hai.



4. Aapka account ready ho gaya ho to aapko ek link milega kuch is tarah - https://your-name.wooplr.com, Yahi aapka unique link / store hai jisko share karna hai.
Mere store ka demo dekhne ke liye niche button par click karen.

VIEW DEMO


5. Apne wooplr account me niche scroll karne par bahut sa product dikhayi dega. Usko apne store me add karna hoga, log wahi product aapke store me dekh payenge. Kisi bhi product ke Niche diye Add to store par click kar de wo add ho jayega.



Agar wooplr ke home me koi bhi product dikhayi na de ya kuch bhi product pasnad na aaye to Add Product button par click karen. New page open hone ke baad aapko bahut se product, clothes dikhayi dega. categories wise, Men and women dono ke ke liye alag alag option dikhayi dega.jisse product add karne me aasani hogi. product pasand aane par uske niche ek button show ho raha hoga "Add To Store". us button me click kar apne link/store me add kar lena hai.
6. That's it.. Aapka online shop open ho gaya. Ab isko Facebook page/group me share karen. Website ho to banner ad create kar widget laga de.


Jio Recharge ke liye paise kamaye in top 5 earning apps se
kaise jaane WhatsApp par aapko kisne block kiya..



wooplr se Kitni aur kaise kamayi hogi?


Jis service me earning achchha ho log usi me work karna pasand karte hai. wooplr se earning karna chahte hai to aapko janna zaruri hai ki isse aap kitna aur kaise earn kar sakte hai.
Isme aap 2 actions par aap earning kar sakte hai.
1. Normally view se - Website me widget lagane ke baad ya facebook me share karne ke baad log usme click kar aapke store me jayenge.
Agar 100 log aapke link ko click kar store me jaate hai to aapko 10 Rs milega. Aap soch rahe honge ye to bahut kam hai. Ab traffic bahut jyada ho aapke pass to itna bhi bahut jyada ho jata hai.

YouTube approx 1000 view ke 1$ deti hai jo 60Rs-65Rs ke equal hai. Wooplr 1000 view ke 100Rs degi.

2. Selling par commission - aapke unique link ya aapke store se jo koi bhi kuch buy karta hai to aapko commission milega. Ab ye commission level ke according alag alag hai..
Jaise


  • 1. Beginner Level  @15% earnings - Isme aapko har selling me 15% ka commission milega. Jab aap 1000 ki confirmed earning kar lenge tab aapka level thoda badh jayega aur next level popular level me chale jaoge. Pahle aap beginning me par hai aur aapke store se 1000Rs ka koi samaan buy karta hai to aapko 10% ke hisab se 100 rs mil jayega. Level badha earnings bhi badhi.

  • 2. Popular Level  @18% earnings -  Isme aapko har selling me 18% ka commission milega. Isme bhi Jab aap 1000 ki confirmed earning kar lenge tab aapka level thoda aur badh jayega aur next level expert level me chale jaoge.

  • 3. Expert Level  @20% earnings - isme aapko har sellings ke 20% ka commission mil jagega.

  • 4. Hotshot Level  @25% earnings - jab aap expert level me 5000 ki confirmed earning kar lenge tab hotshot level me aa jaoge jaha aapko 25% ka commission milega. Jab 10000Rs ki confirmed earning kar lenge tab Elite level me

  • 5. Elite Level  @25% earnings - sabse last aur highest level hai Elite level. Yaha 25% ka commission milega.

    To aap 10% se 25% tak commission paa sakte hai. Aur network bada ho to kafi achchha earning kar sakte hai. agar aap college student hai to CEO contest me participate kar gift win kar sakte hai aur extra earning bhi kar sakte hai.


    Android me kitne sensor hote hai aur wirking.
    WhatsApp me blocked contact se khud ko unblock kaise karen


    Become a CEOofMonth - wooplr me become a ceo for month name ka ek competition bhi hai jise aap pura karke extra earning kar sakte hai free gifts receive kar sakte hai. Isme aapko 3 challenge diya jaye jise aapko complete karna hai aur fir aap CEO ban jayenge. is.contest ka first challenge hai contest me registration karna isme aapko first challenge complete karne ke liye #CEO me jaakar firm fill kar resgister karna hoga. Fir dusra challenge aayega jisme aapko ek link diya jayega aur usme product add kar use share karna hai. Facebook ya WhatsApp me 3 group me share karenge to wo bhi challenge complete ho jayega. fir 3rd aur last challenge aata hai target rate ka product sell karwana hai. Aapko target diya gaya ho 5000rs ka to aapko 5000Rs ka product sell karwana hoga. zaruri nahi 5000rs hi de.. kam bhi ho sakta hai aur jyada bhi. Agar aapk challenge complete kar lete hai to.selling par commission thoda jyada milega. Gift to aapko pakka milega.. gift me JBL ka Bluetooth speaker, camera, Netflix ka premium service, Goa ki trip etc mil sakta hai. jo depend karta hai aapke kaam kitna jaldi aur kis tarike se kiye.

    Wooplr se kamaye paise withdra kaise karen.

    Wooplr ka payment system wakayi mast hai. Payment withdrawal ke liye aapko 2 option mil raha hai. Direct bank transfer aur Paytm transfer. jo log 18 year se jyada age wale hai. jiske pass bank account ho aur PAN card ho to wo person bank me apna paisa le sakte hai. jinke pass PAN card na ho, 18years ke kam wale jina PAN nahi bana rahta hai wo Paytm me le sakte hai. Balance transfer ke liye minimum Amount hai 100Rs. bank aur paytm dono ke liye. 50rs joining bonus mil raha hai. bas 50rs view se ya selling ke kama le to turant paise le sakte hai Note : Apni income ko aap tabhi le payenge jab wah confirmed earning me show karega. Jab aap selling karate hai ya views se paise banate hai to pahle uska checking hoga ki fake to nahi.checking kaam kuch time tak chalega fir wo paise automatic aapke confirmed earning wale section me show hone lagega.



    Wooplr ki reach kaise badhaye? effective tarika

    wooplr se paisa kamane ke liye sabse zaruri chiz hai apne store ko logo tak pauchna, jisse sabko new products ke bare me pata chale. Log aapke store ko/product ko dekhenge aur buy karenge to hi aap kama sakte hai. to pahle reach ko target kare ki kaise logo tak isko pahuchaya jaye.
    1. Blog se - Agar aapke pass koi blog hai jisme traffic achchi hai. perday 1000-2000 view aa raha ho to aap easily achchi earning kar sakte hai. AdSense non approval site jaise M0vie Downl0ading site, s0ng d0wnloading sites ya m0dded aap wali site ke liye bhi bahut achcha hai kyoki aise website me traffic bahut jtada hota hai. yadi koi blog nahi hai to blogger/WordPress se blog bana sakte hai. but traffic laane me aapko bahut time lag sakta hai. so 2nd method dekhe.
    2. Facebook, WhatsApp Addiction - Agar aapke facebook me friend list achchi hai profile pics me 400-500 likes aa ja rahe hai to samjho isse earning kar sakte hai. facebook par koi folloer nahi hai to bhi aap 10-20 groups join kar apne wooplr link share kar sakte hai. page me agar likes ho ya boosting expert ho, WhatsApp me 15-20 group me join ho to link waha bhi share kar sakte hai. Instagram ya other social media ka use kar sakte hao.

    3. YouTube - Agar aap ke YouTuber hai aur AdSense ke through earning kar bhi rahe hai to iska use karke apni kamayi ko aur bhi boost kar sakte hai. Description box me wooplar ka link put kar de. vodeo viewer description box check karta hai to link me click bhi kar sakta hai.
    in tariko se apne wooplr link ko reach de sakte hai.

    I hope wooplr se online paise kaise kamaye is question ka answer mil gaya hoga. Uper diye gaye steps bahut easy hai jisse aap bhi apna store open kar sakte hai aur online paise bana sakte hai. Agar aapko kuch problem aa rahi ho to comment karke puchh sakye hai. Post ko Apne kisi blogger friend/facebook addicted friend ke sath share karen taki wo kuch earn kar sake.. Thanks for reading..

    Ise bhi padhe:
    Facebook fake account kaise create karen
    Jio rechage me mile Free coupon ka use kaise kare
    Android me developer option kya hai? ise use kaise karen?
    UC browser me aane wale top 3 problem without solutions


  • This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

    Share the post

    Wooplr me online product sell karwa kar paise kaise kamaye - Open store

    ×

    Subscribe to Itrickguru

    Get updates delivered right to your inbox!

    Thank you for your subscription

    ×