Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Developer option kya hai aur iske uses kya hai? - part 1

Developer option kya hai aur iske use kya haiAndroid phone to har koi chalana janta hai, but smartly tariko se bahut kam ko hi aata hai. Android phone chalane wale isme kya kya features hai isko achchhe se nahi jaan pate aur dusre third party application ki help se kaam Karte Hai. jaise brightness level kam karne ke liye, battery savings ke liye etc. aaj hum developer option ke bare me baat karenge jo aapke liye useful hogi. ye aapke Android chalne ke experience ko next level pe leke jayegi.
developer option har ek Android phone me hoti hai but maximum log ise nahi jaan pate kyoki ye hidden hoti hai to aaj hum usko visible kar uske features ke bare me janenge
Developer Option ka har ek option apne place me useful hai but fir bhi kuch options problem dene wala ho sakta hai. so ise carefully read karen.

Developer Option kya hai aur Kaha hota hai, ise Activate Kaise kare

jaise ki maine uper bataya hai ki ye hidden hoti hai matlab chhupi huyi hoti hai. kisi mobile me jaise intex, micromax me ye option pahle se hi visible rahti hai but Samsung, lg etc me hudden rahti hai. agar aap Samsung user hai to ise activate karna padega. To baat karte hai ye developer option hota kaha hai aur visible kaise karte hai.

Developer option aapko Apne mobile ke setting me sabse last but option About Phone ke uper hota hai.
Agar aapke phone me is tarah ka koi option nahi dikh raha hai, matlab Aapka developer Option Abhi active nahi hua hai. to is aapko active karna hoga.
To ise activate kaise kaise?

  • Iske liye sabse pahle aap Apne phone ke setting me jaye..
  • about phone par click karen
  • Yaha par aapko ek option Build number khojna hai,
  • Build number mil jaye to ise continuously 7 baar click karna hai.



    7th click me apko ek chhota sa popup message dikhega ki aapka developer option activate ho chuka hai.




    now back ho kar fir setting par jaye, ab aapko last me ye option nil jayega.

    ab baat karte hai iske uses ki.

    Voice se ya sirf bolkar chalye apna smartphone
    Secret Tricks - WhatsApp ko kaise banaye colorful bina koi theme ke

    Developer Option ke kuch khaas Option Aur iske uses..


    Developer Option ke andar to aapko Mobile aur uske Android version ke according options milenge, jo har ek version me alag-alag hota hai.
    Iska har ek option bahut hi khas aur useful hota hai, lekin 1 - 2 option thoda harmful bhi hai.

    Fir bhi hum baat karte hai kuch useful options ke baare me lag-bhag aapko apne mobile ke developer option me mil jayega jo bahut hi kaam ke hai aur bilkul bhi harmful nahi hai. Jo thoda bhi harmful hai usse humne red color me highlight kar diye hai

    #Stay Awake


    Ye ek developer options ka ek option hai, jab aap stay awake ko active kar dete hai to aapka mobile charging ke time screen on rahega.
    Matlab aapka screen light off nahi hoga jab tak aapka mobile charge par hai. Iska kuch khas upyog nahi nahi hai. Aapko ise off rakhna chahiye kyonki ye faltu me battery consume karega.

    #Desktop Backup Password


    ye ek useful option hai. Desktop backup password ka use karke aap apne mobile ke data ko aur bhi jyada secure kar sakte hai.
    agar Aapne ise enable kar diya hai to jab bhi mobile ko backup ya restore karne ke liye apne mobile ko PC se connect karte hai to yeh uss time password enter karne bolega.


    #Show Touches


    Agar aap ek YouTube Creater hai to ye Aapke liye bahut hi useful hai Iska use aapko tab hai jab app screen video recording karte hai. Show touches activate karne par, Aap jaha-jaha touch karte hai waha-waha ek point show hota hai.. Isse aapke viewer ko aasani se pata chal jayega ki aap kaha touch kar rahe hai.

    #Show pointer Location


    Isko activate karne par mobile screen par sabse uper status bar me XY ka graph ban jata hai.
    Aap screen par jaha jaha touch karte hai waha ka location dikhata hai ki kis angle me touch hua hai aur waha mark bhi ho jata hai.

    #Show layout boundaries


    Friends aap jab ise activate karte hai to aapke mobile ka har value par boundary ban jata hai. Matlab mobile ka har letter, app icon, status bar ka battery icon network icon, timing sab boundary se ghir jata hai. dikhne me to utna achchha nahi lagta but fir bhi apne friends ko prank kar sakte hai.

    #Force RTL layout

    Friend isko activate karte hi aapka pura mobile screen Right se Left turn ho jayega, isse aap apne mobile ko ek naya look de sakte hai.
    Aapne urdu me likhe huye word to dekhe honge, Ye bhi urdu jaisa Right to Left ho jaye, status bar ka battery icon, network icon, time sab Right to left ho jayega. is option se aap apne friend ko prank bhi kar sakte hai

    #Mock location App

    iska use aapko fake location create karne me aata hai.
    Iski help se aap fake location bana kar Facebook, WhatsApp par share kar sakte hai. Ghar baithe apna America, paris ya pure world me kahi bhi apna location set kar sakte hai. But iske liye aapko ek aur tool ki zarurat padti hai. jise Fake location kaise share karen is post par detail se bataya gaya hai.

    #Longer buffer time


    Agar aap online video dekhte hai ya YouTube use karte hai to ye aapke liye hai, Iske use se aap video buffering size ko badha sakte hai ya ghata bhi sakte hai.
    Default me to ye 256KB hota hai matlab aapka video buffer ho raha hai to 256KB Buffer tak hoga aur fir video play hoga, Aap ise kam matlab 64 KB bhi kar sakte hai. Ya 1MB, 4MB bhi ya 16 MB bhi kar sakte hai, Aapne 2MB select kar liya matlab 2MB buffer hone ke baad hi video play hoga. mujhe ye wala option bhi bahut achchha laga.

    #Keep Mobile data turned on

    Dosto ise activate karne se aapka mobile data anytime on rahega.
    Aap mobile data ko off nahi kar sakte
    matlab ye totally mobile ka battery cobsume karega, to turn on na kare, agar shauk hai to try kar sakte hai. Even WiFi use karte time bhi aapka data on rahega.

    Developer Option me bahut options hai to ye blog thoda long ho gaya tha so humne ise do part me divide kar diye hai taki aap bhi bore naa ho..
    Aap aage ke useful option ko humare next options ko is blog me read kar sakte hai...

  • Developer Option Ek bade kaam ka Option- Part 2 i hope Developer option kya hai aur iske use kya hai ye post aapko pasand aayi hogi. iska dusra part bhi zarur read karen. agar aapko kuch problem aati hai ya kuch queries hai to comments karke puchh sakte hai. thanks for visiting.

    Ise bhi padhe :
    International number ko kaise banaye apna WhatsApp number
    PAN Card aur ATM Card ke kuch unknown information
    Ek phone me kaise use karen  WhatsApp ke 10 account
    Mobile Ki battery ko jane karib se -  Batteries ke hidden facts


    This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

    Share the post

    Developer option kya hai aur iske uses kya hai? - part 1

    ×

    Subscribe to Itrickguru

    Get updates delivered right to your inbox!

    Thank you for your subscription

    ×