Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Joron Ka Dard Ka Ilaj

Tags: dard mein joron

Joron Ka Dard Ka Ilaj


Joron ke Dard mein na sirf bari umar ke afrad balke nojawan bhi mubtala nazar aate hein, 1 andazay ky mutabiq har 10 mein se 2 afrad ko jism ke kisi na kisi hisse mein joron ke dard ki shikayat zaroor ha. Joron ka dard tab hota ha jab insan ke pat'thay, uzlaat aur aesaab mutasir hote hein. Joron ka dard shru shru mein halki noeit ka hota ha jo thoray arsay baad khud bakhud khatam ho jata ha. Lekin agar is dard ki shiddat mein izafa ho jaye to ye insani jism se mutaliq deegar masail ka mojab bhi ban sakta ha. Aksar log kaam mein izafi bojh aur afratafri par mubni masroof tarz e zindagi ki waja se baqaidgi se khanay peenay aur exercise jesi adaat se ghafil ho jate hein jis se insan ki jismani karkardagi mutasir hoti ha. Lemon ke istemal se insani jism pr intahai khushgawar asraat murattab hote hein aur agar darj zel bataye huway nuskhe ko istemal kiya to lemon ke istemal se joron ke dard se bhi nijat hasil ki ja sakti ha.

Ingredients:  Lemon 2 adad,   Jar 1 adad chotay size ka     Olive oil jar ke hisab se

Tarkeeb Aur Tarika Istemal:
Lemon cheelein aur iska gooda salad waghera mein istemal ke liye fridge mein rakh lein aur iske chilke jar mein daal dein ab jar ko zaitoon ke tail se bhar dein. Jar ke moo ko achi tarah band kar ke 2 hafte tak rakh dein. Is tail ko cotton ki zariye jahan dard ho raat ke waqt lagayen agar mumkin ho sake to is tail ko subah tak laga rehne dein warna kam az kam 3 se 4 hour ke liye laga kar rakhein aur phir pani se saaf kar lein is ke istemal se jismani dard se mukammal nijat mil jayegi.



This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Joron Ka Dard Ka Ilaj

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×