Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Alerji Ka Ilaj In Urdu

Alerji Ka Ilaj In Urdu


Skin allergy, daad, chanbal, kharish aur legs par hone wali fungus kisi bhi insan ko pareshan karne ke liye kafi ha. Agar aap in dono mein se kisi 1 takleef ka shikar heien ya rahe hein to aap achi tarah ye jaan sakte hein ke is se mutaliq kisi achay natural treatment ko dhoondna kitna mushkil ho jata ha.
Is tarah ke masail ke liye bohat se ilaj mojood hein. Lekin masla ye ha ke in tariko mein cortisone aur steroids waghera shmail hote hein jin ke nuqsanat ke baray mein agar aap ko knowledge ho jaye to aap inhein kabhi apne body mein dakhil na hone dein. Lekin aap ke liye khushkhabri ye ha ke in masail se mutaliq natural tarika ilaj mojood hein. Aaj jo nuskha mein aap ko batane ja rahi hoo ye aazmooda ha aur bohat hi zabardast fawaid ka hamil ha. Ye na sirf kehnio ke khurdary pan aur jild ki allergy ko khatam karta ha balke bohat saray problems skin problems ka bhi hal ha.

Ingredients:

Aloe vera gel: Half cup
Fish Oil:      2 Teaspoon

Method & Use:

Aloe vera gel ko kisi bartan mein daal kar is mein fish oil bhi shamil kar lein. aur ise achi tarah mix kar lein. Lijiye aap ka nuskha tayyar ha. Ab aap ise din mein kai martaba jab bhi aap ko zaroorat mehsoos ho ise istemal karein. Agar mumkin ho to sone se phel garam pani ke sath nahayen aur is doran aap kisi bhi qisam ka soap ya shawar cream use kar sakti hein. Is ke baad skin dry hone ke baad lagyen aur so jayen. Ise mehfooz rakhne ke liye fridge ke andar rakhye. Ye 3 months tak mehfooz reh sakta ha. Aloe vera gel, fish oil ke andar mojood fatty acid 3 ke sath milkar intahai zabardast result aap ko deta ha jis se aap ki skin be daagh aur allergy se pak ho jati ha. Aloe vera ko kora gandal bhi kaha jata ha aur aloe vera gel ko gond kateera bhi kaha jata ha. Aloe vera gel, aloe vera ke leaves se direct nikali jati ha aur is ke skin disease, shadabi aur farhat ke hawale se bohat zabardast results hein.

Zaroori Hidayat:

Aap machli ka tail ki jaga khopray ka tail ya alsi ke beejo ka tail bhi use kar sakte hein lekin behtar result ke liye fish oil hi use karein.


This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Alerji Ka Ilaj In Urdu

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×