Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

बाल दिवस कब और क्यों मनाया जाता है

Aaj ke is lekh me aap children’s day ke bare me purn rup se janenge. Children’s day ko Hindi me Bal Diwas bola jata hai. Sabse pahle aapke mann me swal aa raha hoga ki Bal Diwas Kab Manaya Jata Hai date to aap ko bata de ki Bal Diwas 14 November ko manaya jata hai.

Is lekh me aapko bal diwas se juri sabhi jankari janene ko milegi jaise ki bal diwas kab se manaya jata hai, bal diwas kab manaya jata hai date, bal diwas kab aur kyu manaya jata hai, bal diwas in hindi,antar rashtriya bal diwas kab manaya jata hai. Aaye Bal Diwas ke bare vistaar me jane.

बाल दिवस कब और क्यों मनाया जाता है (Why and When do we celebrate Children’s Day)

Desh ke pehle pradhan mantri Pandit Jawahar Lal Nehru ke janam din 14 November ko bal divas ke rup me manyaa jata hai.Nehru ji ko bachho se bahut pyar tha aur bachhe bhi unhe bahut prem karte the. Unhe bachho ke sath samay bitana bahut achha lagta tha. Pandit Nehru ko bachhe chacha nehru kah kar bulate the. Isliye bharat desh me chacha nehru ke janam din ko bal divas ke rup me manaya jata hai. Bal divas ke din bachoo ke dekhbhal adhikar aur siksha ke prati logo me jagrukata lane ki koshish ki jati hai.

बाल दिवस का इतिहास (Children’s Day History)

Bal divas manane ki shuruat sall 1925 me ki gayi thi uske baad saal 1953 me isse duniya bhar me manayata mili. Duniya bhar me manane ke baad sanyukt rashta dwara 20 november ko antar rashtriya bal divas ki ghosna ki gayi.Bahut sare desh me 20 nov ko hi abhi bhi bal divas manaya jata hai.

बाल दिवस कैसे मनाया जाता है (How children’s day is celebrated) ?

Bal divas ke awsar par sabhi vidaylayo me anek parkar ke patiyogita aur karkaryam aayojit ki jati hai. Is din bacche chacha nehru ke bare me nibandh likhte hai aur pratiyogta me bhag lete hai.

The post बाल दिवस कब और क्यों मनाया जाता है appeared first on HindiBlog4U.



This post first appeared on Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi, please read the originial post: here

Share the post

बाल दिवस कब और क्यों मनाया जाता है

×

Subscribe to Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×