Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Google Bookmarks Kya Hai

Dosto aaj is post me hum Google Bookmarks ke bare me janenge. Sabse pahle mai aapko bataunga ki bookmark kya hai aur iska kaam kya hai. Bookmark ek Uniform Resource Identifier (URI) hai jisse hum store karte hai taki hum baad me kabhi bhi usse access kar sake.

Jab bhi seach engine ki baat aati hai to sabse pahla position Google ka aata hai jisse kisi bhi blog ko sabse jyada traffic milti hai yani ki uske madad se sabse jyada visitors blog par aate hai. Google aapko apne blog website ko online bookmark karke rakhne ki features provide karta hai jisse uska use kahi se aur kabhi bhi kiya ja sake. Upar di gayi jankari se aap jan chuke honge ki bookmarks kya hai, to aaye ab jante hai ki Google bookmarks kya hai.

Google bookmarks ek online bookmarking karne ke liye google company dwara di gayi free service hai jiska use kar aap apne blog ya website ko google me bookmark kar sakte hai. Google par jis user account bana hua hai vo is service ka use kar sakta hai. Apne internet use karne ke liye koi browser use kiya hoga aur usme dekha hoga ki vha bhi bookmark ki features hoti hai lekin ye usse alag hai.

Google bookmarks browser me save nahi hota hai ye aapke google account me store ho jata hai jisse ki aapka isse kahi se kisi bhi device par internet se access kar sakte hai. Google hume apne toolbar ka use karne ke liye suggest karta hai jisse ki Google bookmarks ko asaani se access kar sakte hai.

Google Bookmark Me Blog Kaise Add Kare ?

Aaye ab jante Hai Google Bookmarks kaise kiya jata hai .Google bookmarks ka use karne ke liye hamare dwara bataye gaye tarike ko step by step follow kare.

STEPS

Step 1.

Sabse pahle apne google account me login kare.

Step 2.

Ab aap google bookmarks ki website par jaye. Jane ke liye yaha click kare.

Step 3.

Ab aap “Add bookmark” par click kare.

Step 4.

Ab ek form open hoga isse fill karna hai

  1. Apne blog/website ka name likhe.
  2. Blog ka URL likhe.
  3. Apne blog se jude huye kuch keywords likhe.
  4. Ab apne blog ke bare me descriptions likhe.
  5. Ab “Add bookmark” button par click kare.

Ab apka blog google bookmarks me successfully add ho jayega. Jaise ki aap niche diye gaye image me dekh sakte hai.

Umeed karta hu ki aap Google bookmark ke bare me ache se jan chuke hai. Is article se juda aapke pass koi sawal ya sujhav ho to comment kare. Agar ye article aap ko acha laga to share kare.

The post Google Bookmarks Kya Hai appeared first on HindiBlog4U.



This post first appeared on Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi, please read the originial post: here

Share the post

Google Bookmarks Kya Hai

×

Subscribe to Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×