Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Google Search Me Per Page 10 Se Jyada Results Kaise Dekhe

Dosto agar aap ek internet user hai to aap ache se jante honge ki internet ke duniya me Google ka position sabse top par hai chahe baat Search engine ki ho ya alexa rank ki ho ya fir visitors ki. Agar internet par kisi bhi user ko kuch janana hota hai to vo google search ka hi use karke dundhta hai. Dekha jaye to vaise internet pe aur bhi search engine maujud hai lekin sabse achaa Google hai jo hame sabse achhi results search kar ke deta hai.

Jab bhi kisi website ko ham access karna chahte hai aur hame uska domain naam yaad nahi rehta hai to hum usse google me search karte aur google apne search results me uska naam deta hai. Google search ek web search engine hai jo google company ke dwara bnayi gayi hai aur aaj puri duniya me sabse jyada use hone wali search engine hai.  Web search engine ek tarah ka software hai jisko internet(web) par jaankari(information) dundhane(search) ke liye banaya gaya hua hai.

To dosto ab tak aap jaan chuke honge ki Google search kya hai aur iska kya kaam hai isse kyun use kiya jata hai.  Ab hum apne main topic par aate hai ki Google search me per page 10 se jyada results kaise dekha ja sakta hai. Is page ke title se aap ab tak shayad ek baat jaan chuke honge ki Google search apne results me keval 10 records hi dikha hai ji ha ye sach hai lekin hum isse jyada bhi ek baar me dekh sakte hai. Aaj ke is post me mai aapko bataunga ki Google search me 10 se results per page kaise dekh sakte hai.

Google Bookmarks Kya Hai

Google Search Results Me Blog Post Ko Top Par Kaise Laye

Google search engine me 10 se jyada results ek bar me dekhne ke liye aap hamare dwara bataye gaye steps ko follow kijiye.

Steps to follow

Step 1 :

  1. Sabse pahle aap Google ki site part jaye aur jo information aap dhundhna chahte hai usse type kare
  2. Ab search icon par click kare .
  3. Ab aap Settings par click kare.
  4. Ab aap Search settings par click kare.

Step 2 :

Aapke samne settings ki ek page load ho jayegi. Ab aapko usme kya change karna hai vo bata raha hu.

  1. Results per page me us number ko select kare jitna results aap ek baar me ek page par dekhna chahte hai.

  2. Niche diye gaye Save button par click kare.

Ab aap dekhenge ki aapne jis number ko select kiya hai per age utna results aapko dikhegi. Ab aap koi bhi jankari Google me serach karenge to by default aapko utna results ek page par show hoga jitna aapne select kiya tha.

The post Google Search Me Per Page 10 Se Jyada Results Kaise Dekhe appeared first on HindiBlog4U.



This post first appeared on Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi, please read the originial post: here

Share the post

Google Search Me Per Page 10 Se Jyada Results Kaise Dekhe

×

Subscribe to Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×