Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

PART 3 Email Hacking (All About Email) In Hindi-Ethical Hacking Full Course ~ GNIITHELP

  • Email kya hai?
  • Email address kya Hota Hai detail me ek ek word janenge.
  • Types Of Email Server?
  • Email work kaise karta hai step by step?
  • Hum apna email account par login kaise kar lete hai puri process step by step
  • Apne Khud Ka Email Server Kaise Setup Kare?
  • Email hacking kya hai?
  • Email hack karne ke best tarike

Email Kya Hai?

Email ek short term hai Electronic mail ka ,aur email ka matlab hota hai letter bas isko exchange hum alag alag tarike se karte hai.Email messages simply ASCII Text me encoded hote hai.Lekin iska matlab ye nhi hai ki hum sirf text hi email ke jariye bhej sakte hai balki aap kisi media file ya fir documents ko bhi apne email me attach kar sakte hai jo binary stream me send kiye jate hai.Aapko pata hona chahiye ki internet par sabse pehle email ka hi use hona start hua tha aur aaj bhi ye ek popular way hai apni baat kisi dusre ko samjhane ka ya simply usse comunicate karne ka.Internet ka large percetage of total traffic email ke jariye hi aata hai.

Must read:

Email Address Kya Hota Hai Detail Me Ek Ek Word Janiye

Ye to hum jante hi hai ki agar hume kisi ko koi mail karna hai to jaahir hai ki uska email address aur mere email address ka hona bahut jaruri hai.Hum sabhi jante hai ki gmail ,yahoo,hotmail etc hume free me email address provide kara dete hai ,lekin ye koi jyada purani sites nhi hai gmail ki launching 1st april 2004 me hui thi to sochiye isse pehle kaise email send kiye jate the.Aapko bata du pehle internet service provider(ISP) par account banana padta tha aur wo useally hume ek email address provide kara deta tha jisse hume email send aur recieve karne me help milti thi.

ISP ke bare me simple langauge me sirf aap itna hi janiye ki jab hum mobile me internet chalate hai maan lo AIRTEL ki sim se net chala rahe hai to airtel ka khud ka ek ISP hota hai jiski wajah se hum airtel ki sim se net chala pate hai.Aur aapko ye bhi janna chahiye ki airtel company ke paas aapki sari detail hoti hai wo jab chahe aapko expose kar sakte hai.Aapni sari detail jo bhi hum search karte hai internet par Airtel ka use karke wo sab kuchh uske ISP se hokar gujarta hai.

Apne email id to dekhi hi hogi ,aapne sayad ye bhi gaur kiya ho ki usme 2 part hote hai ,Baise to email ka format kuchh is tarah hota hai

User_name@ddomain_name
 
Yanha aap saf saf dekh sakte hai ki user_name aur domain_name 2 alag alag part hai.

pehla part- me kisi person ka username hota hai ,ho sakta hai ye username ek abbriviation bhi ho jaise koi no. ya fir short character bhi ho sakte hai ya pura full name bhi ho sakta hai.
 
Dusra part- Ye ek domain name hota hai jo batata hai ki kis email server par ye email address on hai.Domain name to aap jante hi honge jaise extratipstricks.com bhi to ek domain name hi hai dosto .Aap confuse mat hona .com ki jagah agar aapki domain me .org ya koi country specific domain jaise india ki .in aur united kingdom ki .uk to fir usi hisab se second part dikhega aapke email address ka.Yani apka email ka format kuchh tarah ho sakta hai.
computer_name.domain_type.country
yanha par computer name kuch bhi ho skta hai jo computer administrator ne register kiya ho .aur domain type hota hai jaise .com, .org ,.edu etc.And country se matlab hai jaise .in ,.au , .us etc.

Ab maan lo koi Amerika ki company hai jiska admin name hai Obama and  domain name hai www.obama.com.us to fir uska email address aisa dikhega [email protected] .I hope ab aap meri baat samjh gaye honge.chalo aage badhte hai. 

Email Server Kya Hota Hai?

upar abhi email server ki baat hui thi ek jagah par to maine socha ye bhi apko batata chalu ki email server simply ek server hota hai jise hum computer me install kar dete hai ,aapko janna hai ki ek simple se server ko kaise computer me install karte hai to link par jayiye.Aapko bata du ki email server ek physical device hoti hai jo humare dwara bheje gaye email ko store ,organize and ek user se dusri user ko bhejta hai.Bina email server ke hum kabhi bhi apne email ko send nhi kar payenge kisi dusre user ko kyonki yahi ek madhaym hai email ko transfer karne ka.

Email server ek bade se computer me install hota hai jiski hard disk itni badi hoti hai ki bo kafi sara data apne andar store kar sake.Issse ye to saf hai ki jitni bhi email hosting company hoti hai jaise gmail ho gayi unke paas ek server to hoga nhi ,aise bahut se server honge unke paas.Lekin haa wo sabhi server ek dusre se connect jarur hote hai.In servers ki sankhya hundreds and thousands bhi hoti hai tabhi to hum ek country se dusri country me apne email ko asani se bhej dete hai.Ab google ko hi le lo iska ek server to hai nhi iske kafi sare server hai jo pure world me faile huye hai,aap jab google.com kholte honge to google.in khul kar aata hoga kyon kyonki uska india me bhi ek server hai.  

Types Of Email Server?

Email server 2 type ke hote hai,aur aapke liye ye janna bahut jaruri hai ki ye kaise work karte hai .
1. Outgoing email server
2. Incoming email server 

1. Outgoing email server
 
Outgoing server ko Simple mail trasnfer protocol servers (SMTP ) kehte hai.SMTP ek aisa protocol hai jo email server email ko send and recieve karne me use karta hai. Jb hum kisi ko mail karte hai to SMPT protocol kya karta hai us email ko recieve karta hai fir ye dekhta hai ki email kanha jana hai aur wo use find out karta hai (ye dekhta hai ki ye mail kis hosting ka hai kis domain name ka hai aur kisi country specific ka hai ),aur jab find kar leta hai to SMTP uske sever se permission mangta hai email ko send karne ki  aur usko us recipient ke paas divert kar deta hai jisko apne email bhejna chaha tha.

2. Incoming email server

Ye 2 type ke hote hai pehla hota hai 

POP 3 - Ise post office protocol version 3 kehte hai,inka kaam hota hai local pc ki hard drive me sent aur recieve email ko store karna .
IMAP- Ise ineternet message access protocol kehte hai,iska kaam hota hai message ki copy ko server me store karke rakhna.Bahut se Pop3 server bhi message ko store rakh sakte hai server me. Ye ek bahut hi complcated server hota hai isi wajha se bahut se Internet service provider (ISP) And email hosting company IMAP ko support nhi karti hai.

Email Work Kaise Karta Hai Step By Step?

Neeche diye gaye steps se aap email ki working samjh jayenge aur koi confusion nhi hoga.
 
Step:1- Sabse pehle maan lo aapko email bhejna hai [email protected] baale adress ko yaani mujhe,aur aapka email address hai [email protected] .
 
Step:2- Jaise hi aap email mujhe send karoge to wo mail pehle aapke yahoo ke pop 3 ya IMAP server ke paas jayega kyonki aapki email id yahoo par create hui hai na.

Note: Agar apne jise email kiya hai uska email gmail par bana hai aur aapka bhi gmail par bana hai to simply aapka gmail smtp dekhega ki ye message to same domain par jana hai to wo us mail ko apne pop 3 ya IMAP ke server ko rout kr dega directly. 

Step:3- Ab aapka yahoo ka smtp server dekhega ki [email protected] ko ye mail send karna hai to usko ye pata chal hi jayega email address dekhkar ki ye email gmail par create hua hai to wo seedhe gmail ke Smtp se contact karega aur usse permission mangega ki main aapko ek email send karna chahta hoo jo mere smpt server par aaayi email id [email protected] se aapke server ki email id [email protected] par send ki gyi hai.

I think aap asani s samjh gaye honge puri baat ko kyonki maine yanha par aapko confuse na ho isi wajah se kuchh aur word add nhi kiye hai lekin aapko itna hi janne ki jarurat hai mere khayal se.Isse aap jaan gaye honge ki SMTP server  aur pop3 server and IMAP server kya hote hai aur kaise work karte hai.Aur kaise hum email sent ya recieve karte hai.

Must read:

Hum Apna Email Account Par Login Kaise Kar Lete Hai Puri Process Step By Step

Ye janna bhi aapke liye jaruri hai ki kaise aap apna username aur password dalne ke baad apne account ko access kar lete hai,main neeche kuchh point bata raha hoon aap asani se samjh jayenge.
 
step:1- Maan lo aapko apna gmail id open karna hai to iske liye aap sabse pehle gmail.com par jaoge .
 
step:2- iske bad wanha par aap apna email address aur password daloge aur login ya sign in par click karoge.
 
step:3- Ab jaise hi aapne sign in kiya  to aapka email id aur password dono forward ho jayenge aapke gmail server ke paas janha par sabhi logo ke accounts saved hote hai pehle se hi ,to yanha par wo aapka email id aur password match karta hai.
 
Step:4- Ab agar aapki detail sahi hogi to wo server aapke acount ko internet se connect kar dega aur aise hi aapka acount aapke samne khul kar aa jata hai

Apne Khud Ka Email Server Kaise Setup Kare?

Aap kya sochte hai ki email server setup karna koi badi baat hai to aap galat soch rahe ye bahut hi asan hai ,aur bas thodi bahut hi techincal knwoledge ki jarurat hai jo i think ab aap jaan chuke honge agar aapne upar ka pura post sahi se padha hoga.Aapko bata du ki jis computer me email server setup kiya jata hai wo koi super computer nhi hota hai hum logo ke computer ki tarah simple sa hota hai ha bas uska configuration thoda change hota hai lekin itna bhi jyada menga nhi hota hia wo aur naa hi extraordinary hota hai.

Agar apne computer ko ek email server banana hai to hume bas kuchh softwares hi install karne honge apne computer me jo internet par available bhi hai,unme se kuch software ke naam me bata raha hoon jinse aap apne computer ko email server me convert kar sakte hai ,aur in sabhi softwares ko use karna bahut hi asan hai,agar mujhe time mila to kisi ek softwrare ki help se aapko bataunga ki kis tarah aap apne desktop ko convert karenge email server me.Lekin filhal abhi sirf ap in softwrares ke naam hi yaad kar lo  ,Aap inhe inki official website se download kar sakte hai.
 
Postcast server
Hmail server
Surgemail server
Free smpt server

Email Hacking Kya Hai?

Agar aap soch rahe hai ki koi hacker directly hi email ko hack kar sakta hai to aapko bata du koi bhi insaan email hosting comapny jaise gmail,yahoo etc ke server ko hack nhi kar sakte hai,lekin iska matlab ye nhi hai ki email ko hack nhi kiya ja sakta hai,kiya ja sakta hai but indirectly.Socho agar koi hacker kisi mail ko uske server tak hi na pahuchne de to use asani se hack kiya ja sakta hai,is clint side attack kehte hai.Hum aage aur bhimethod janenge email hacking ke aur unse apne aap ko secure karne ke bhi.

Email hack karne ke best tarike ?

Main kuchh attack ke baare me aapko bata raha hoon jisse apka acount koi hac kar sakta hai jaise..
 
A. sending fake mails method
B. phishing method
C. Desktop phishing method
D. keyloger
 
chalo ek ek karke dekhte hai sabhi method....

A. Sending Fake Mails Method

Spoofing word to aapne suna hi hoga jaise mac spoofing,phone spoofing,etc iska matlab hota hai same hu ba hu dusre ke jaise kisi cheej ko create karna .To isi tarah email spoofing bhi hoti hai jisme hacker kya karte hai ki apke kisi relative ya family member ki emai id find out kar lete hai aur same usi id ki ek apoofing email ed create karte hai ,actual me create nhi karte hai wo sirf change kar dete hai ,abhi aapko bataunga aur achhe se rukiye thoda.Aap jab us hacker ka mail recieve karenge to aapko lagega ki aapke relative ne apko mail kiya hai lekin actual me usne apni original id ki jagah aapki relative ki id sender ke roop me add kar di hai .Aisa karne ke liye use jyada mehnat nhi karni padti hai .

Aap soch rahe honge ki aise kaise ho sakta hai ki koi kaise kisi dusri ke email id se kisi dusre ko email kar sakta hai to aapko bata du dosto yahi email spoofing kehlati hai,aurye bhi bata du ki is problem ka abhi tak koi solution bhi nhi nikal paya hai isiliye ye attack abhi tak work karta hai,ye possible is wajah se hai kyonki jo humara smpt server hota hai usme authentication ki mechanism nhi hoti hai ,matlab smpt server ke paas aisa koi tarika nhi hai jisse bo pata laga le ki dusri hosting server ne uska mail sahi hi revieve kiya hai ho skata hai uske beech me ko teesar ghus gaya ho usne uske mail ke header ko change kar diya ho ,to is problem ki wajah se is attack ka use bahut jyada hota hai,to simply hum yeh keh sakte hai ye sab sirf aur sirf SMTP server ki wajah se possible hai.

Actual me hacker kya karta hai ki email ka header bala part change kar deta hai jisme likha hota hai To and From ,to dekhne bala to yahi sochega ki ye message usi mail id se aaya hai.Lekin reality to kuchh aur hi hoti hai.

Fake Mail Send Karne Ka Tarika

Fake mail send karne ke 3 tarike hai.

1. Scripts ka use karke
2. Third party website use karke
3. Using server softwares 

1. Scripts Ka Use Karke

script ka matlab to aap samjhte hi honge dosto ,ye ek tarike se kuchh lines ki coding hoti hai jo programming language jaise php,asp.net,java etc me likhe jati hai.Yanha par main aapko php script ki coding dunga jiski help se aap email spoofing kar sakenge.neeche diye gaye steps ko follow karke aap ke kaam kar sakte hai.
 
Step:1) sabse pehle aap neeche diye gaye code ko apne khali notepad par likh lo ,notepad to aap jante hi honge na dosto .

>
 
Step:2) iske baad isko code ko aapko save karna hoga iske liye windws computer me ctrl+s dabana aur is file ko save kar dena spoof.php ke naam se ( naam kuchh bhi ho bas extension .php jarur last me lagana isko nhi lagaya to ye file sahi nhi banegi.)
 
Step:3) Iske baad ab aapko is file ko kisi webhosting sitepar upload karna hoga jisme php enable ho aur php support karti ho.
Bas dosto itna hi karna hai.

2. Third Party Website Use Karke

Kuchh aisi websites bhi internet par maujud hai jo same yahi work karti hai aur aapko allowed kati hai kisi dusre ki email id se mail karne ke liye jaise ki kuchh websites ke naam main aapko neeche bata raha hoon,aap koi bhi website use kar sakte ho. Lekin inme se kuch free hai aur kisi kisi me aapko rupay dene padenge.
 
Anonymailer.net
 
Deadfake.com
 
Fakemailer.com
 
Snakemail.com
 
Fastmail.fm

3. Using Server Softwares

kuchh server softwares bhi aise hai jinki help se aap spoofed email send kar sakte hai.Ye softwares ek smpt mail server program hote hai jo badi hi asani se aapki ISP ke SMPT ko Completly replace kar dete hai.Main neeche kuchh softwares bata rha hoon jo aapki help karenge spoofed email send karne me ,Aap inhe inki official website se download kar sakte hai.
 
1. Post cast server
 
2. Hmail server
 
3. Surgemail server

Kaise Pata Lagaye Ki Koi Email Spoofed Hai?

Baise to bahut se tarike hai lekin bo sab manually method hai lekin main aapko kuchh softwares ke naam bata rha hoon jinko install kar ke aap kisi bhi email ki reality ka pata laga sakte hai,ho sakta hai koi aapko bho spoofed email send kar de to fir aap kaise pata lagayenge ki wo spoofed emails hai ,iske liye neche diye kisi ek softwares ka prayog karke is attack se bach sakte hai.Aap in softwares ko  inki official website se download kar sakte hai.

1. Email tracing
 
2. Email tracker pro
 
3. Neo trace pro
 
4. Visual pro

B. Phishing Method

Ye ek bahut hi popular aur trending topic hai jo lagbhag 20 saalo se abhi tak work kar rha hai ,aur to aur abhi bhi hum logo me se bahut se log is attack ke sikar ho jate hai ,yanha tak ki iske baare me ho sakta hai aapne bhi thoda bahut suna ho.Baise aapko bata du ki Email  hack karne ka yahi ek sabse achha tarika  hai,bacically is tarike me hota kya hai ki hacker ek fake /spoof/duplicate page bana lete hai jo dikhne me same original gmail ki tarah hi dikhta hai lekin wo actual me hote duplicate aur nakli .Aap agar is phishing method ko detail me janna chahte hai to aap ye post padhiyephishing method kya hai isse kaise account hack arte hai  isse aapko phishing ke baare har ek point samjh me aa jayega,aur sabse badi baat hai ki aapko is phishing method se khud ko aaj hi secure hona hoga ,to ye janne ke liye ki kaise aap apne aap ko phishing attack se bacha sakte hai aap ye post padhiye apne aap ko protect kaise kare sabhi type ke attacks se

C. Desktop Phishing Method

iske baare me maine alag se ek post hacking karne ke 6 method me samjhaaya hai aap is post me jakar iske bare me padh sakte hai.

E. Keyloger Method

iske baare me maine alag se ek post me samjhaaya hai ki kaise keylogger ki help se hacking ki jati hai aap is post me jakar iske bare me padh sakte hai.



(Update-March 2017Ethical Hacking ka part 4 ab likha ja chuka hai aap ise padh sakte hai  



Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek security tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko share karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.


This post first appeared on GNIITHELP, please read the originial post: here

Share the post

PART 3 Email Hacking (All About Email) In Hindi-Ethical Hacking Full Course ~ GNIITHELP

×

Subscribe to Gniithelp

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×