Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

tum ek gorakh dhanda ho nusrat lyrics

Tags: mein nahin dete
Kabhi Yehan Tumhein Dhoondha Kabhi Wahan Puhancha 
Tumhari Deed Ki Khatir Kahan Kahan Puhancha 
Ghareeb Mit Gaye, Pamaal Ho Gaye Lekin 
Kissi Talak Na Tera Aaj Tak Nishan Puhancha 
Ho Bhi Nahin Aur... 
Ho Bhi Nahin Aur Har Jaa Ho 
Tum Ek Gorakh Dhandha Ho... 

Chorus... 

Har Zarre Mein Kiss Shaan Se Tu Jalwa Numa Hai 
Hairan Hai Magar Akal Ke Kaisa Hai Tu Kya Hai 

Tujhe Der-o-haram Mein Mein Ne Dhoonda Tu Nahin Milta 
Lekin Tujh Ko Tashreef Farman Apne Dil Me Dekha Hai 

Dhoondhay Nahin Milay Ho Na Dhoondhay Se Kabhi Tum 
Aur Phir Ye Tamasha Hai Ke Jahan Hum Hain Wahin Tum Ho 

Jab Bajud Tere Koi Doosra Maujood Nahin 
Phir Samajh Mein Nahin Aata Tera Parda Karna 

Haram O Dehr Mein Hai Jalwa-e-purfan Tera 
Do Gharon Ka Hai Charagh Purkh-e-raushan Tera 

Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai 
Ussi Khoay Huay Ko Kuch Mila Hai 
Na But-khanay Na Kaabay Mein Mila Hai 
Magar Tootay Huay Dil Mein Mila Hai 
Adam Ban Kar Kahin Tu Chup Gaya Hai 
Kahin Tu Hasst Ban Kar Aa Gaya Hai 
Nahin Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa 
Nafi Bhi Tere Honay Ka Pata Hai 
Mein Jiss To Keh Raha Hoon Apni Hasti 
Agar Woh Tu Nahin To Aur Kya Hai 
Nahin Aaya Khayalon Mein Agar Tu 
To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai 

Hairan Hoon Iss Baat Pe Tum Kaun Ho Kya Ho 
Haat Aao To But, Haath Naa Aao To Khuda Ho 

Aqal Mein Jo Ghir Gaya, La-intaha Kyonkar Hua 
Jo Samajh Mein Aa Gaya, Phir Khuda Kyonkar Hua 

Falsafi Ko Behas Ke Andar Khuda Milta Nahin 
Dor Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahin 

Pata Yun To Bata Dete Ho Sab Ko La-makaan Apna 
Taaujub Hai Magar Rehte Ho Tum Tootay Huay Dil Mein 

Jab Ke Tujh Bin Nahin Koi Maujood 
Phir Ye Hangama Aye Khuda Kya Hai 

Chuptay Nahin Ho Saamne Aatay Nahin Ho Tum 
Jalwa Dikha Ke Jalwa Dikhatay Nahin Ho Tum 
Dehr-o-haram Ke Jhagray Mitatay Nahin Ho Tum 
Jo Asal Baat Hai Woh Batate Nahin Ho Tum 
Hairan Hoon Mere Dil Mein Samaaye Ho Kiss Tarha 
Halanke Do Jahan Mein Samaatay Nahin Ho Tum 
Yeh Maabad-o-haram Ye Kaleesa-o-dehr Kyon 
Harjaai Ho Jabhi To Batatay Nahin Ho Tum 

Chorus 

Dil Pe Hairat Ne Ajab Rang Jama Rakha Hai 
Ek Uljhi Hui Tasweer Bana Rakha Hai 
Kuch Samajh Mein Nahin Aata Ke Ye Chakr Kya Hai 
Khel Kya Tum Ne Azal Se Ye Racha Rakha Hai 
Rooh Ko Jism Ke Pinjray Ka Bana Kar Kaidi 
Uss Pe Phir Maut Ka Pehra Bhi Bitha Rakha Hai 
De Ke Tadbeer Kay Panchi Ko Uraanein Tum Ne 
Tam-e-takdeer Mein Har Simt Bicha Rakha Hai 
Kar Ke Araaishein Konain Ki Barson Tum Ne 
Khatm Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai 
Lamaqami Ka Baharhal Hai Daawa Bhi Tumhein 
Nahme Aqrab Ka Bhi Paigham Suna Rakha Hai 
Yeh Burai, Woh Bhalai, Yeh Jahanum, Woh Bahisht 
Iss Ulat Khel Mein Farmao To Kya Rakha Hai 
Jurm Adam Ne Kiya, Aur Saza Beton Ko 
Adal-o-insaaf Ka Mayyar Bhi Kya Rakha Hai 
De Ke Insaan Ko Duniya Mein Khalafat Apni 
Ek Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai 
Apni Pehchan Ki Khatir Hai Banaya Sab Ko 
Sab Ki Nazron Se Magar Khud Ko Chupa Rakha Hai 

Chorus... 

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Dete Ho 
Jaane Kis Jurm-e-tamana Ki Saza Dete Ho 
Kabhi Kankar Ko Bana Dete Ho Heeray Ki Kani 
Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Dete Ho 
Jindagi Kitnay Hi Murdon Ko Ata Ki Jiss Ne 
Woh Maseeha Bhi Saleebon Pe Saja Dete Ho 
Khwahish-e-deed Jo Kar Baithe Sar-e-toor Koi 
Toor Hi Bark-e-tajalli Se Jala Dete Ho 
Naar-e-namrood Mein Dalwatay Hu Khud Apna Khaleel 
Khud Hi Phir Naar Ko Gulzaar Bana Dete Ho 
Chahe Kinaan Mein Phainko Kabhi Mahe In Aan 
Noor Yakuub Ki Aankhon Ka Bujha Dete Ho 
Becho Yusuf Ko Kabhi Misr Ke Baazaaron Mein 
Akhir-e-kaar Shah-e-misr Bana Dete Ho 
Jazb-o-masti Ki Jo Manzil Pe Puhanchta Hai Koi 
Baith Kar Dil Mein An-al-haq Ki Sada Dete Ho 
Khud Hi Lagwatay Ho Phir Kufr Ke Fatway Uss Par 
Khud Hi Mansoor Ko Sooli Pe Charha Dete Ho 
Apni Hasti Bhi Woh Ik Roz Ganwa Baithta Hai 
Apne Darshan Ki Lagan Jis Ko Laga Dete Ho 
Koi Raanjha Jo Kabhi Khoj Mein Nilklay Tumkar 
Tum Ussay Jhang Ke Bele Mein Rula Deta Ho 
Justajoo Le Ke Tumhari Jo Chale Kais Koi 
Uss Ko Majnoon Kissi Laila Ka Bana Dete Ho 
Jot Sassi Ke Agar Mann Mein Tumhari Jaagay 
Tum Usse Tapte Huay Thal Mein Jala Dete Ho 
Sohni Gar Tum Ko Mahiwal Tasawwur Kar Le 
Uss Ko Biphri Hui Lehron Mein Baha Dete Ho 
Khud Jo Chaaho To Sar-e-arsh Bula Kar Mehboob 
Ek Hi Raat Mein Mairaaj Kara Dete Ho 

Chorus 

Aap Hi Apna Parda Ho 
Aap Hi Apna Pardaa Ho 
Tum Ek Gorakh Dhandha Ho 

Jo Kehta Hoon Maana, Tumhein Lagta Hai Bura Sa 
Phir Bhi Hai Mujhe Tum Se Baharhaal Gila Sa 
Chup Chaap Rahe Dekthe Tum Arsh-e-bareen Par 
Tapte Huay Karbal Mein Muhammad Ka Nawasa 
Kiss Tarhe Pilata Tha Lahoo Apna Wafa Ko 
Khud Teen Dinon Se Wo Agarche Tha Piyasa 
Dushman To Bahar Taur Thay Dushman Magar Afsos 
Tum Ne Bhi Faraham Na Kiya Paani Zara Sa 
Har Zulm Ki Taufeeq Hai Zalim Ki Wirasat 
Mazloom Ke Hissay Mein Tassali Na Dilasa 
Kal Taaj Saja Dekha Tha Jiss Shakhs Ke Sar Par 
Hai Aaj Ussi Shakhs Ke Hathon Mein Hikasa 
Yeh Kya Hai Agar Poochoon To Kehte Ho Jawaban 
Iss Raaz Se Ho Sakta Nahin Koi Shanasa 


Chorus 

Hairat Ki Ek Duniya Ho 
Hairat Ki Ek Duniya Ho 
Tum Ek Gorakh Dhandha Ho 

Har Ek Jaa Pe Ho Lekin Pata Nahin Maaloom 
Tumhara Naam Suna Hai Nishaan Nahin Maaloom 

Dil Se Arman Jo Nikal Jaaye To Jugnoon Ho Jaye 
Aur Aankhon Mein Simat Aaye To Aansoo Ho Jaye 
Japeya Huu Ka Jo Be Huu Kare Huu Mein Kho Kar 
Uss Ko Sultaniyan Mil Jayen Wo Ba Huu Jo Jaye 
Baal Beeka Na Kissi Ka Ho Churri Ke Neeche 
Halk-e-asghar Mein Kabhi Teer Tarazoo Ho Jaye 

Chorus 

Kiss Kadar Be-niyaz Ho Tum Bhi 
Daastaan-e-daraaz Ho Tum Bhi 

Ni Re Sa 
Sa Re Ni Re Ma Sa Ni Re....... 
(nfk Vs. Tabla)-tabla Looses 


Aah-e-tehkeek Mein Har Gam Pe Uljhan Dekhoon 
Wohi Haalat-o-khayalat Mein An Ban Dekhoon 
Ban Ke Reh Jaata Hoon Tasweer Pareshani Ki 
Ghaur Se Jab Bhi Kabhi Duniya Ka Darpan Dekhoon 
Ek Hi Khaak Pe Fitrat Ke Tazaadat Itnay 
Kitnay Hisson Mein Bata Ek Hi Aangan Dekhoon 
Kahin Zehmat Ki Sulagti Hui Patjhar Ka Samaan 
Kahin Rehmat Ke Baraste Huay Sawan Dekhoon 
Kahin Phunkaarte Darya, Kahin Khamosh Pahaar 
Kahin Jangal, Kahin Sehra, Kahin Gulshan Dekhoon 
Khun Rulata Hai Yeh Takseem Ka Andaaz Mujhe 
Koi Dhanwaan Yehan Par Koi Nirdhan Dekhoon 
Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Sooraj 
Raat Ki Maang Sitaron Se Muzzayyan Dekhoon 
Kahin Murjhaaye Huay Phool Hain Sacchai Ke 
Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pe Bhi Joban Dekhoon 
Shams Ki Kaal Kahin Khichti Nazar Aati Hai 
Kahin Sarmad Ki Uttarti Hui Gardan Dekhoon 
Raat Kya Shai Hai Saweera Kya Hai 
Yeh Ujala Yeh Andhera Kya Hai 
Mein Bhi Nayib Hun Tumhara Akhir 
Kyon Yeh Kehte Ho Ke Tera Kya Hai 

Chorus 

Dekhne Wala Tujhe Kya Dekhta 
Tu Ne Har Har Samt Se Parda Kiya 

Masjid Mandir... 
Masjid, Mandir, Yeh Maikhane 
Koi Yeh Maane, Koi Woh Maane 
Masjid, Mandir, Yeh Maikhane 
Koi Yeh Maane, Koi Woh Maane 
Sab Tere Hain Jaana Aashanay 
Koi Yeh Maane, Koi Woh Maane 
Ek Honay Ka Tere Kaayil Hai 
Inkaar Pe Koi Maayil Hai 
Asleeyat Lekin Tu Jaane 
Koi Yeh Maanay Koi Woh Maane 
Ek Khalk Mein Shamil Karta Hai 
Ek Sab Se Akela Rehta Hai 
Hain Dono Teray Mastaanay 
Koi Yeh Maanay Koi Woh Maane 
Sab Hain Jab Aashiq Tumhare Naam Ke 
Kyon Yeh Jhagre Hain Raheem-o-raam Ke 


Chorus 

Dehr Mein Tu, Haram Mein Tu 
Dehr Mein Tu, Haram Mein Tu 
Arsh Pe Tu, Jameen Pe Tu 
Dehr Mein Tu, Haram Mein Tu 
Arsh Pe Tu, Jameen Pe Tu 
Jiss Ki Puhanch Jahan Talak 
Uss Ke Liye Wahin Pe Tu 



This post first appeared on Poetry, please read the originial post: here

Share the post

tum ek gorakh dhanda ho nusrat lyrics

×

Subscribe to Poetry

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×