Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Youtube Videos Par 10000 Views Jaldi Se Kaise Badhaye

Dosto aaj hum janenge ki Youtube Videos par 10000 views jaldi se kaise badhaye. Agar aap new youtuber hai aur chahte hai ki jaldi se aapke channel par 10000 views complete ho jaye. To iss post me mein aapko bataunga ki uc web se jaldi se youtube videos par 10000 views kaise increase karte hai.

Uc web se aap bina subscribers ke bhi apne Videos Par Views increase kar sakte ho. Iske liye sabse pehle aapko yahapar apna account create karna hoga. Aur account create karne ke baad usme apne youtube videos ko upload kar publish karna hoga. Uc web par aap ek din me sirf 3 videos hi publish kar sakte hai. Aur approx 3 me se 1 video reject bhi ho sakti hai.

Isliye apni youtube videos ko uc web ki terms and condition ke according insert kar publish Kare. Vaise aap rejected videos ko fir se publish kar sakte hai. Uc web se aap videos publish karke earning bhi kar sakte hai. Iske bare me hum next post me detail se janenge filhal youtube videos se 10000 views jaldi se kaise badhate hai chaliye janate hai.

UC Web Par Account Kaise Banaye

Youtube videos par 10000 views jaldi se badhane ke liye sabse pahle aapko apna account create karna hoga. Uc web par account create kaise karte hai aaiye step by step janate hai.

  • Youtube Videos Ke Liye Free Background Music Download Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle mp.ucweb.com ki site me jaye aur sign up kare.

  1. Apni email id or user name enter kare.
  2. Password set kare.
  3. Blue color me jo captcha code hai usse iss box me enter kare.
  4. Sign up button par click kare.
  • Youtube Videos Ko Another Channel Par Transfer Kaise Kare

Step 2

Ab next page me ek form open hoga, niche diye steps ke according isko fill kare.

  1. Email ke box me apni email id enter kare.
  2. Password box me apna password set kare.
  3. Confirm password ke box me password ko re-enter kare.
  4. Invitation code me referral code enter kar sakte hai otherwise isse blank rehne dijiye.
  5. Verification ke box me diya gaya captcha code enter kare.
  6. Terms and conditions ke tick box me tick kare.
  7. Continue button par click kar dijiye.
  • Youtube Par Mp3 Songs Upload Kaise Kare

Step 3

Ab aapki di gayi email id par ek verification message bheja jayega. Apni email inbox me uss email ko open kare. Aur diye gaye link par click kare.

  • Youtube Videos Me End Screen Annotations Kaise Add Kare

Step 4

Email ke link par click karte hi aap uc web me redirect ho jaoge. Aur aapke samne kuch categories show hongi. Yahapar apne according account type select kare. For example mein ek blogger hu to yahapar mein blogger select kar raha hu.

  1. Apne videos se related category select kare.
  2. Continue ke button par click kare.
  • Facebook Page Me Youtube Video Tab Kaise Add Kare

Step 5

Ab ek aur form open hoga, yahapar aapko apna uc web account information fill karni hai.

  1. Apna account name enter kare.
  2. Account type me personnel or organizational select kare.
  3. Category me apni videos se related category select kare.
  4. Uc web me jiss name se apna account operate karna chahte hai usse set kare.
  5. Yahapar apna pan card number enter kare.
  6. Id file upload par click kar apni profile image upload kare.
  7. Apna 10 digits ka mobile number enter kare.
  8. Language select kare.
  9. Agar aapka blog hai to apne blog url http:// ke sath enter kare.
  10. Uc news ke terms conditions ke tick box me tick kare.
  11. Finally continue button par click kar dijiye.

Continue button par click karte hi aapka uc web account 24 hours me review kiya jayega. Aur 24 hours ke baad aapka account approved kar diya jayega.

Youtube Videos Par 10000 Views Jaldi Se Kaise Badhaye

Uc web me apna account create karne ke baad ab janate hai ki uc web me video publish karke 10000 views jaldi se kaise increase karte hai. Iske liye niche diye gaye easy aur simple steps ko follow kare.

  • Bina Videos Banaye Youtube Se Paise Kaise Kamaye

Step 1

Sabse pehle apne uc web account me username aur password dalkar login kijiye.

  1. Post tab par click kare.
  2. Video ki category select kare.
  3. Language select kare.
  4. New article button par click kare.
  • Youtube Channel Ke Liye Free Graphic Intro Video Kaise Banaye

Step 2

New article par click karne ke baad post editor open hoga, yahapar niche diye steps ko follow kare.

  1. Video ka title enter kare.
  2. Insert video par click kare.
  3. Video url me youtube video ka url enter kare. Iske liye youtube channel me video manager me jaye aur jiss video ko upload karna hai usse open kare. Video open karne ke baad share button par click kare aur box me diye url ko copy kar lijiye.
  4. Dropdown par click kare aur original select kare.
  5. Insert button par click kare.
  • Youtube Se Paise Kaise Kamate Hai

Step 3

Insert button par click karte hi aapki youtube video uc web par upload ho jayegi. Video upload ho jane ke baad kya karna hai iske liye niche diye steps follow kare.

  1. Video insert ho jane ke baad yahapar apni video ka i enter kijiye.
  2. Upload button par click karke apne video ke liye featured image upload kare.
  3. Preview button par click karke post ka preview check kare.
  4. Agar video ko abhi publish nahi karna hai to save button se video ko save kar sakte hai.
  5. Video ko publish karne ke liye publish button par click kare.

Publish button par click karte hi aapki youtube video uc web par publish ho jayegi. Issi tarah se aap apni sabhi youtube videos ko uc web par insert kar publish kar sakte ho. Aur apne channel ke view counts increase kar sakte ho.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki youtube videos par 10000 views kaise badhate hai. Fir bhi aapka koi saval ho ya apna sujhav dena chahte hai to comment kare. Aur agar aapko ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.

The post Youtube Videos Par 10000 Views Jaldi Se Kaise Badhaye appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Youtube Videos Par 10000 Views Jaldi Se Kaise Badhaye

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×