Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Facebook Page Admin Ko Facebook Page Me Add Aur Remove Kaise Kare

Hello friends, aaj ki post me hum janenge ki Facebook page me facebook page admin ko kaise add karte hai. Facebook page create karne ke kya kya fayde hai ye mein aapko pehle hi bata chuka hu. Phir bhi me aapko bata deta hu ki facebook me page banakar jyada se jyada logo tak jud sakte hai. Aur apne talent, interest aur business ko facebook par promote kar sakte hai. Agar aapke facebook fan page par likes kafi jyada increase ho jate hai, isse aap facebook se earning bhi kar sakte ho.

Facebook page ke admin hone ke nate page par sara control aur rights aapke paas hote hai. Aur kisi karan apne kisi friend ko page ka admin banate ho to vo sabhi rights aur control aapke friends ko bhi mil jayenge. Isliye facebook page admin ko page me add karne se pehle acchi tarah se soch lijiye.

Facebook Page Admin Ko Facebook Page Me Add Aur Remove Kaise Kare

Facebook page admin ko page me add karna bahut hi simple hai. Niche diye easy steps follow karke aap aasani se kisi ko bhi faceboo page ka admin bana sakte hai. To chaliye ab step by step janate hai ki kisi aur ko facebook page ka admin kaise banate hai.

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kare.

Step 2

Login karne ke baad apne uss facebook fan page ko open kare, jisme facebook page admin ko add karna hai.

  1. Settings par click kare.
  2. Left side menu me page roles par click kare.
  3. Assign a new page role ke niche box me uss user ko search kare, jisse facebook page admin banana chahte hai.
  4. Dropdown menu par click kare aur Admin select kare.
  5. Finally Add button par click kar dijiye.

Lijiye facebook page me admin add ho gaya hai. Issi tarah se jisse chahe uss friend ko apane sath facebook page admin bana sakte hai. Aur yahi se admin ko remove or delete bhi kar sakte ho. Yahi nahi aap kisi ko bhi admin ke alawa alag alag role assign kar sakte ho.

For example:-

  • Editor roll bhi admin ke similar hota hai, lekin admin ki tarah pure rights editor ke paas nahi hote hai.
  • Moderator page par comments ka reply kar sakta hai. Aur posts aur messages ko delete kar sakta hai. Page se logo ko remove aur block kar sakta hai. Page par kisne publish kiya hai, view insights aur create ads ko access kar sakta hai.
  • Advertiser insight view aur ad create kar sakta hai. Page par kisne publish kiya ye check kar sakta hai.
  • Analyst insight view check kar sakta hai.
  • Live Contributor mobile device se page par live pahuch sakta hai.

To dosto ab aap samajh gaye honge ki fb fan page me facebook page admin kaise add karte hai. Aur facebook page me alag alag roll kya kya hai. Agar post se related kisi bhi tarah ka saval ho to comment karke jarur puchhe. Aur agar ye post acchi lagi ho to apne dosto ke sath social media par share karna bilkul na bhule.

Ye Bhi Padhe

  • Facebook Group Me Kisi Aur Ko Group Admin Kaise Banaye
  • Facebook Boost Post Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare
  • Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha Kaise Pata Kare
  • Facebook Ke Delete Hue Messages, Pictures, Aur Videos Ko Recover Kaise Kare
  • Facebook Profile Ko Facebook Page Me Kaise Badle
  • Online Status Ko Hide Kaise Kare Facebook Me
  • Facebook Ki Puri Jaankari Ke Liye Yaha Click Kare

The post Facebook Page Admin Ko Facebook Page Me Add Aur Remove Kaise Kare appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Facebook Page Admin Ko Facebook Page Me Add Aur Remove Kaise Kare

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×