Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

IGNOU Exam Fee Online Submit Kaise Kare – Online Ignou

Tags: kare ignou kaise

Hello friends, aaj iss article me mein aapko bataunga ki Ignou exam fee ko online kaise bharte hai. Agar aap ignou student hai to jarur janate honge ki abse ignou exam fee online submit karna pad raha hai. Aur bahut se student hai jinko nahi pata ki ignou examination fees ko online kaise bharte hai. Agar aap bhi ignou exam dene wale hai. Aur nahi janate ki ignou ki exam fees ko online kaise jama Kare, to ye post aapke liye hi hai.

Ignou online fees submit karne ki puri process niche step by step aapke sath share kar raha hu. Iski help se jin students ko ignou ki online fees submit karne ki jaankari nahi hai. Vo bhi examination fees ko ignou online form ke through easily sumit kar sakenge. To chaliye ab aapka jyada samay na lete janate hai ki ignou exam fees ko internet se kaise bhare.

IGNOU Exam Fee Online Submit Kaise Kare – Online Ignou

  • 3G Phone Me Reliance Jio Kaise Chalaye

Step 1

Sabse pehle ignou official website me jaye, ya direct iss link exam.ignou.ac.in me click kare. Ab next page me ignou online examination ki guidelines and instructions ka page open hoga. Instructions ko padh sakte hai, iske baad bottom side me jaye.

  1. Declaration ke tick box me tick kare.
  2. Proceed to fill online examination form ke button par click kare.
  • Paypal Kya Hai Aur Paypay Account Kaise Banaye

Step 2

Ab ek TEE form open hoga, isme apna programme code, enrollment number aur payment method submit karna hai.

  1. Programme code enter kare, forexample B.A. B.com etc.
  2. Enrollment number me apna ignou ka roll number enter kare.
  3. Mode of payment me through debit/credit card select kare.
  4. Submit button par click kare.
  • BHIM App Kya Hai Aur BHIM App Kaise Use Kare

Step 3

Ab ek aur form open hoga, jisme top side me aapki detail pehle se hi update hogi. Jaise name, address, program code, email id, phone number etc. Iske sath hi aap per subject fees bhi dekh sakte hai. Ab niche diye steps ke according form me detail enter kare.

  1. Enter examination centre code me uss center ka code enter kare jaha aap exam dena chahte hai. Aap chahe to apne study centre ka 4 digits ka code bhi dal sakte hai. Other examination centers ki detail aap apne course prospectus me check kar sakte hai.
  2. Date of birth me apne birth date, month aur birth year select kare.
  3. Gender me apna gender male or female select kare.
  4. Dropdown par click karke apna course code select kare. 16 fields me se aapke jitne subject hai, utni fields me apna course code enter kare.
  5. Jitne course code aapne select kiye hai, unke asignments submit kiye hai ya nahi. Agar asignment submit kar chuke hai to YES select kare.
  6. Finally submit button par click kar dijiye.
  • Mobile Phone Ke Data Ko Remotely Delete Kaise Kare

Step 4

Submit button par click karte hi, agle page me aapki detail update ho jayegi. Yaha par aap total ignou exam fee check kar sakte hai. Ab pay now button par click kar dijiye.

  • Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye

Step 5

Agle page me aapko ek transaction reference number receive hoga. Yaha par make payment button par click kare.

  • Online Paise Kaise Kamaye

Step 6

Ab agle page me payment option open hoga. Apne card ki detail bhare aur pay now button par click kare.

Jaise hi app pay now button par click karenge, aapki ignou exam fee submit ho jayegi. Aur aapko ek control number milega, isse not kar lijiye. Aur 24 hours ke baad iss control number se apna online fees status check kar sakte hai. Niche image me dekh sakte hai.

I hope ignou online exam form kaise submit karte hai, examination fees ke liye ab aap samajh gaye honge. Phir bhi kisi tarah ki problem ho to comment ke through puch sakte hai. Aur agar ignou online fees bharne ki ye jaankari helpful lagi ho. Aur aapko lage ki ye jaankari aapke friends ki bhi help kar sakte hai. To isse social networking sites par apne friends ke sath jarur share kare.

The post IGNOU Exam Fee Online Submit Kaise Kare – Online Ignou appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

IGNOU Exam Fee Online Submit Kaise Kare – Online Ignou

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×