Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare

Hello friends, agar aap Youtube videos banakar facebook me manually share karte hai to ye post aapke liye hi hai. Aapka youtube par channel aur facebook page hai to dono accounts ko connect kar sakte hai. Aur facebook page me youtube videos ka button add kar sakte hai. Iss post me hum janenge ki kis tarah se youtube videos ko facebook page se link kar sakte hai.

Log youtube videos ko alag alag social sites par share karte hai. Aur ye kaam ek ek karke manually karna padta hai, jisme unka kafi time waste hota hai. Agar aap facebook page me bhi youtube videos ko manually share karte hai. To ab aapko aisa karne ki jarurat nahi hai. Aapko sirf apne youtube channel ka tab facebook page me add karna hai. Youtube tab add karne se aapki sabhi new or old videos facebook page me show hogi.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare / How to Connect Youtube Channel with Facebook Page

Facebook page me youtube videos tab add karne se ab aapko koi bhi video manually facebook me share nahi karni padegi. Isse aapka kaafi time save hoga. To chaliye janate hai ki youtube channel video ko facebook page se kaise connect kare.

  • Facebook Profile Ko Facebook Page Me Kaise Badle
  • Apna Facebook Profile Name Change Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle youtube ki official website me jaye aur apne youtube account me login kare.

  1. Dropdown menu par click kare.
  2. My channel par click kare.
  • Bina Internet Ke Youtube Videos Kaise Dekhe
  • Youtube Channel Ke Liye Graphic Intro Video Kaise Banaye

Step 2

My channel par click karne ke baad ab aapko apne channel ki id copy karni hai.

  1. Apne channel ki id copy karne ke liye top right side me profile icon par click kare.
  2. Gear icon par click kare.
  3. Advanced me click kare.
  • Facebook Aur Twitter Account Ko Connect Kaise Kare
  • Facebook Photos Par 5 Minutes Me 5000 Likes Kaise Badhaye

Step 3

Advance option par click karne ke baad, next page me apni youtube channel id ko copy kare.

  • Youtube Se MP3 Song Download Kaise Kare
  • Without Copyright Kisi Dusre Ka Youtube Video Kaise Upload Kare

Step 4

Ab apne facebook account me login kare.

  1. Search box me youtube tab type kare.
  2. Search result me pages ke niche youtube tab par click kare.
  • Facebook Page Par Auto Reply Kaise Start Kare
  • Facebook Friends List Hide Kaise Kare

Step 5

Ab youtube tab ka ek page open hoga, isme use app ke blue button par click karna hai.

  • Youtube Channel Par Video Trailer Kaise Add Kare
  • Youtube Ki Sabhi Videos Me Subscribe Button Kaise Add Kare

Step 6

Ab agle page me apne youtube video tab ko add karne ke liye apna facebook page select karna hai.

  1. Facebook pages dropdown par click karke apna apna fb page select kare.
  2. Add page tab button par click kare.
  • Facebook Me Friends Ko Block Aur Unblock Kaise Karte Hai
  • Facebook Ki Login ID Change Kaise Karte Hai

Step 7

Jaise hi add page tab button par click karte hi aap apne facebook page me redirect ho jayenge. Yaha par aap local discovery video ko dekh sakte hai. Ab aapko apne youtube channel ko yaha par add karna hai.

  1. Youtube channel id enter kare.
  2. Save settings par click kare.

Ab aapke facebook page me youtube button add ho gaya hai. Aur kuch hi der me aapke youtube videos yaha par show hone lag jayenge. Iss tarah se aap apne youtube channel ka button facebook page me add kar sakte hai. Aur youtube videos ko facebook page se link kar sakte hai. Niche image me dekh sakte hai facebook page me youtube button aur videos.

I hope, aap samajh gaye honge ki youtube videos ko facebook page se link kaise karte hai. Post se related aapke koi doubt ya saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

The post Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×